qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Hadees-e-Mubarak: Sarkar-e-Do Alam (sallallahu alaihi wasallam) ki Burdbaari aur Rehmat ka Behtareen Namuna


Sarkar-e-Do Alam Alaihissalatu Wassalam ki Burdbaari aur Rehmat

Is Hadees-e-Mubarak mein Rasool Allah Alaihissalatu Wassalam ke Akhlaaq-e-Haseen, Burdbaari aur Sabr ka Bayan kiya gaya hai. Yeh Waqia is baat ki Gawahi deta hai ke Aap Alaihissalatu Wassalam apne Ummat ke liye Rehmat bankar aaye aur har Takleef o Aziyat par bhi Darguzar se kaam lete the.

Is Hadees-e-Mubarak mein Rasool Allah (Alaihissalatu Wassalam) ke Husn-e-Akhlaaq, Sabr aur Burdbaari ka bayan kiya gaya hai. Jane kese Aap (Alaihissalatu Wassalam) ne sakhti ka jawab meharbani se diya aur Ummat ko narmi aur hidaayat ki raah dikhai. Padhe pura waqia aur seekhe Akhlaaq-e-Hasana ka behtareen namuna. 

Sarkar-e-Do Alam (Alaihissalatu Wassalam) ki Burdbaari aur Rehmat - Hadees-e-Mubarak ka Waqia 

Hadees-e-Mubarak:  

Hadees-e-Mubarak: Hazrat Anas RAdi Allahu Anhu ki Riwayat

Hazrat Anas (Raziyallahu Anhu) se Riwayat hai, Farmate hain: Main Rasool Allah Alaihissalatu Wassalam ke saath ja raha tha. Aap Alaihissalatu Wassalam ne ek Najrani Chadar Mubarak odhi hui thi, jiska kinara mota tha. Is dauraan Aap Alaihissalatu Wassalam ko ek Arabi (Dehati Aadmi) mila aur usne Aap Alaihissalatu Wassalam ki Chadar Mubarak ko sakhti se kheecha. Maine Aap Alaihissalatu Wassalam ke Noorani Kandhe ki janib dekha to us par Chadar Mubarak ko sakhti se kheechne ki wajah se Nishanat pad gaye. Phir woh Arabi kehne laga: "Ya Muhammad (Alaihissalatu Wassalam), Aap Alaihissalatu Wassalam ke paas Allah (Tabarak wa Ta'ala) ka jo maal hai, us maal mein se mujhe bhi dene ke liye Hukm farmaayein (yani mujhe bhi maal dein)." Aap Alaihissalatu Wassalam uski taraf Mutawajja hokar muskuraaye aur phir use dene ka Hukm farmaya.

  Najrani Chadar ka Waqia aur Rasool Allah (Alaihissalatu Wassalam) ka Sabr

Najran Yemen ka ek shehar hai, uski taraf Mansoob Chadar ko Najrani Chadar kehte hain. Is Chadar ka Hashiya bahut mota tha, jiske kheenchne ke sabab se Sarwar-e-Kainat Alaihissalatu Wassalam ki Gardan Mubarak mein Nishan pad gaye the. Is Hadees Sharif se Wazeh hota hai ke Sarkar-e-Kainat Rehmatullil Alameen Alaihissalatu Wassalam Qawitar, Burdbaar, Azeem Quwwat-e-Bardaasht ke maalik aur Jaan o Maal mein Aziyat pahunchne par Sakht Sabr farmane wale hain. Aap Alaihissalatu Wassalam is ummeed par ke log Imaan le aayein, unke zor o jafa par Darguzar farmate taake baad mein aane wale Hukmaran Aap Alaihissalatu Wassalam ke Khulq-e-Azeem o Jameel ki Iqtida karte hue Chashmposhi se kaam lein aur Ahsan tareeqe se Sakht Quloob walon ki Mudafaat karen.  

Sarkar-e-Kainat (Alaihissalatu Wassalam) ke Husn-e-Akhlaaq ka Behtareen Namuna

Is Hadees-e-Mubarak se yeh Wazeh hota hai ke Rasool Allah Alaihissalatu Wassalam Intihai Burdbaar aur Sabr wale the. Aapki Rehmat sirf Dost aur Chahne walon tak Mahdood nahi thi, balki jo log sakhti se pesh aate, unke liye bhi Aap Alaihissalatu Wassalam ne Husn-e-Akhlaaq ka behtareen namuna pesh kiya. 

Ummat ke liye Hidayat aur Narmi ki Seekh

Is Hadees se Ummat ko yeh sikh milti hai ke Bad-tameezi aur Sakhti ka jawab Ghusse se nahi, balki Narmi aur Burdbaari se dena chahiye, taake dilon mein narmi paida ho aur log Hidayat ki raah par aa saken.

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.