qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Hasad karne wale ka anjam bure ka anjaam bura hota hai

Hasad Karne Wale Ka Anjam  

Doston, sabse pahle aap hasad ko samajhiye ke hasad kya hai. Hasad kise kehte hain? Hasad yani kisi ki ne'mat ka zawal chahna, jalan, keena, badkhwahi. To yeh saare ma'ani hasad ke hain. Aur ek misaal se samajhiye hasad ko:  
Misaal ke taur par, Allah ne kisi shakhs ko ne'maton se nawaza hai. Ab koi dusra shakhs un ne'maton ko dekh kar yeh sochta hai, yeh chahta hai ke us shakhs ke paas jo ne'maten hain woh sab khatam ho jayein ya mujhe mil jayein. Yahi hasad kehlata hai.  

 Ek Waqia Hasad Ke Baare Mein  

Hazrat Sheikh Abu Bakar bin Abdullah farmate hain ke ek shakhs badshah ke paas aaya karta tha aur kehta tha:  
"Mohsin par ehsan kar, taake bure ki burai tere upar asar andaz na ho sake."  

Ek shakhs mein hasad jagi aur usne tadbeer sochi ke isko is martabe se giraye. Usne badshah se kaha:  
"Jo shakhs tujh se humkalam hota hai, kehta hai ke badshah ke munh se badbu aati hai." 
Badshah ne kaha:  
"Kaise yaqeen ho ke woh aisa kehta hai?"  
Hasid ne kaha:  
"Aazmaish shart hai. Dekhna, kal jab woh aapke qareeb aayega, kalam karte waqt apne munh par roomal daal kar baat karega. Yeh sirf tere munh ki badbu ki wajah se karega."  
Idhar hasid badshah se yeh alfaaz kehne ke baad seedha us shakhs ke paas pohanch gaya aur usne us shakhs ko apne ghar dawat par bulaya. Us shakhs ne dawat qubool karli. Hasid ne khane mein kuch kacha lahsun mila diya.  
Khane se farigh hokar woh shakhs seedha badshah ke paas chala gaya aur hasbe dastoor kalam shuru kar diya, lekin qadre door khada hokar. Badshah ne farmaya:  
"Zara qareeb ho jaiye."  
Us shakhs ne is khatrah se ke badshah ko uske munh se lahsun ki badbu ki wajah se nafrat na ho, apne munh par roomal daal diya. Badshah ko hasid ki baat ka yaqeen aa gaya.  
Chunanche badshah ne gusse mein aakar ek khat likha aur use kaha:  
"Yeh khat falan hakim ko de aao."  

Us khat mein likha tha ke jab yeh shakhs tumhare paas aaye, to ise qatal kar ke gosht ke tukde tukde kar ke aur khaal utaar kar mere haan bhej dena.  
Yeh shakhs khat lekar bahar nikla to raaste mein wahi hasid mila. Maajra poocha to us shakhs ne kaha:  
"Mujhe badshah ne yeh khat diya hai taake falan hakam ko pohuncha doon."  
Hasid ne nihayat ijz o inkisari se khat maanga, is lalach se ke shayad isme inam o ikraam likha ho, jaisa ke is se pehle badshah ki aadat thi. Us shakhs ne hasid ke ijz ko dekh kar khat usse de diya.  
Jab hasid ne khat hakam ko pohunchaya, hakam ne khat padha aur hasid ko bataya:  
"Isme likha hai ke tumhein qatal kar diya jaye aur gosht ke tukde kar ke badshah ko bhej diya jaye."  
Hasid cheekha, chillaya, qasmen khaai ke yeh khat mere naam ka nahi, dusre shakhs ka hai. Hakam ne kaha:  
"Yeh mere bas ki baat nahi."
Hakam ne fauran hukum ki tameel ki aur gosht ke tukde tukde karke aur khaal utaar kar badshah ke paas bhej diya.  
Agle din hasb-e-mamool woh shakhs badshah ki khidmat mein haazir hua. Badshah mutaajjib hua aur poocha:  
"Kal maine jo tumhein khat diya tha, uska kya hua?" 
Arz kiya:  
"Falan shakhs mujhse ba-mannat samaajhat le gaya."  
Badshah ne poocha:  
"Kal mujhse humkalam hote waqt tumne munh par roomal kyun daala?"  
Arz kiya:  
"Huzoor, usi shakhs ne mujhe khana khilaya tha, jisme kacha lahsun tha. Idhar aapki khidmat mein haazir hua to baat karte hue sharam aaye ke kahin mere munh ki badbu aapko takleef na de. Maine munh par roomal daal liya."  
Yeh sunkar badshah hans pada aur kehne laga:  
"Waqai, bure ka anjaam bura hota hai."  

Nateeja  

Is waqia se humein yeh sabaq milta hai ke hasad insaan ko barbad kar deta hai. Hasad karne wala apni chal mein khud phasta hai. Kisi ne khoob kaha hai:  
"Jo bhi neki ya burai karta hai, waisi hi paata hai."  
Humein chahiye ke hum dusron ki taraqqi aur khushhali dekh kar hasad na karein, balke apni mehnat aur imaandari se apni zindagi behtar banayein.  
Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.