Khana Samne Rakh Kar Quran Wa Zikr O Azkar Karna
Hamare muashre mein Isal-e-Sawab ke mukhtalif tareeqe raij hain jin mein qul khwani، daswan، chaleeswan aur barsi waghera ke mauqon par Quran-e-Majeed ki tilawat، zikr o azkar aur dua ka ehtimam kiya jata hai۔ In mahafil mein hasb-e-taufiq pani، phal aur khana samne rakha jata hai aur khatm-e-Quran ke baad us ka sawab marhoomeen ko bakhsha jata hai۔ Baaz log is amal ke mutalliq sawal karte hain، halanke Ahadees-e-Mubarakah aur buzurgan-e-deen ke mamoolat se is ki asal sabit hai۔ Zel mein isi mauzu ki tafseel pesh ki ja rahi hai۔
Khana Samne Rakh Kar Dua Aur Zikr Karna
Hamare yahan qul khwani ، daswan ، chaleeswan، barsi mein Quran wa zikr o azkar kar ke us ka sawab marne wale ko isal kiya jata hai۔ Khatm ke dauran hasb-e-taufiq pani aur phal wa taam samne rakha jata hai۔ Is tarah taam samne rakh kar muqaddas zikr waghera karna aur dua mangna hadees se sabit hai۔ Mishkat Shareef ki hadees pak hai ” Tarjuma: Hazrat Abu Hurairah raziAllahu anhu se marwi farmate hain mein Sarkar sallallahu alaihi wasallam ki bargah mein khajooren le kar arz guzar hua Ya Rasool Allah sallallahu alaihi wasallam in mein barkat ki dua farmadain pas Aap ne un ko milaya ya phir mere liye un mein dua-e-barkat ki۔
(Mishkatul Masabeeh، Kitabul Fazail Wash Shamail، Bab Fazail Sayyidil Mursaleen، Jild 3، Safha 290، Al Maktab Al Islami، Beirut)
Ijtimai Dua Ki Fazilat
Is mauqe par ijtimai taur par dua mangna bahut faida mand hai۔ Imam Nawawi rahmatullah alaih ne Al Azkar mein hadees pak naql ki " Tarjuma: Jis ne Quran Majeed ki tilawat ki phir dua mangi us ki dua par chaar hazaar farishte Aameen kehte hain۔
(Al Azkar ، Safha 98 ، Dar Ihya At Turath Al Arabi ، Beirut)
Ijtimai Quran Khwani Ka Saboot
Mufti Waqaruddin Qadri Razvi rahmatullah alaih farmate hain: ” Ijtimai taur par Quran khwani karna jaiz hai۔ Hazrat Anas Ibn Malik raziAllahu anhu khatm Quran ke mauqe par logon ko madعو karte the ۔ Al Azkar Imam Nawawi mein hai Tarjuma: Anas bin Malik khatm Quran ke mauqe par logon ko jama karte aur dua farmate ۔
(Al Azkar، Safha 97، Dar Ihya At Turath Al Arabi، Beirut)
Khatm Quran Par Rehmat Ka Nuzool
Hazrat Mujahid raziAllahu anhu se sahih riwayat ke saath manqool hai ke buzurgan-e-deen khatm Quran ke mauqe par majma ka ehtimam farmate the ”عن مجاهد قال كانوا يجتمعون عند ختم القرآن يقولون تنزل الرحمة“ aur Hazrat Mujahid raziAllahu anhu se riwayat hai unhon ne farmaya ke log khatm Quran ke mauqe par jama hote the۔ Woh kehte hain ke aise mauqe par rehmat nazil hoti hai۔ (Waqarul Fatawa ، Jild 1، Safha 207، Bazm-e-Waqaruddin، Karachi)
Dobarah Dua Mangne Ka Hukm
Yeh bhi dekhne mein aaya hai ke jab khatm mein ijtimai taur par dua mang li jati hai to foran baad koi dobara dua ka keh deta hai۔ Dobarah dua mangne mein koi harj nahi jabke khushu wa khuzu se mangi jaye ghafil dil se na mangi jaye ۔ Dobarah jab dua ka kaha jaye to mukhtasar dua mang li jaye taa ke kehne wala bhi khush ho jaye aur log ke liye bhi uktaahat ka baais na ho۔
Ikhtitamiya
Mazkoora Ahadees-e-Mubarakah، Aasaar-e-Sahaba aur buzurgan-e-deen ke mamoolat se maloom hua ke Quran khwani، zikr o azkar aur ijtimai dua ke waqt taam ya pani samne rakhna jaiz aur baais-e-barkat amal hai۔ Isi tarah khatm-e-Quran ke baad ijtimai dua karna aur isal-e-sawab karna bhi ek mustahsan amal hai jis ke zariye marhoomeen ko faida pahunchta hai aur rehmat-e-ilahi nazil hoti hai۔ Lehaza in aamaal ko shariat ke daire mein rehte hue muhabbat wa ikhlas ke saath anjaam dena baais-e-ajr o sawab hai۔

