qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

aurton main naak kaan chhidwane ka riwaj kab se pada aur balyan pehle kisne pehni In Islamic history which women wore earring at first

qarn awwal main sahabiyat apne kanon main baliyan pehenti thin

In Islamic history which women wore earring at first

islam main kanon main aurten jo baliyan pehanti hain ye baliyan aurton ka kab se shuru hua hai aur islam main kin khawateen ne sabse pehle kanon main baliyan pehnna shuru kiya aaj ke is article main wohi chiz batane wala hoon ke sabse pehle kanon main baliyan kisne pehna ?

lekin aaiye isi se Related aurton ke masail ke bare main aur jaan lete hain 

kya auraten loha peetal almuniyam ke zewar bhi pehn sakti hain ?

to iska jawab ye hai ke aurton ko sone aur chandi ke zewrat ke siwa dusri tamam dhaton ka zewar pehenna najaiz wa haram hai aur mardon ke liye bhi mardon ko sirf 4.5 masha se kam chandi ki ek anghuthi jaiz hai (raddul mohtar j9 s518)

mard aur aurat donon ke liye ye jaiz nahi hai ke woh loha tanba peetal jast wagairah ki anguthi pehne ye haram hai mard ke liye sirf chandi ki anguthi jaiz hai aur aurat sona aur chandi dono ki anguthi pehen sakti hai iske alawa dusri dhaton maslan loha tanba peetal almuniyam kansa jast wagairah ki anguthi mard aurat dono ke liye haram hai aur yeh baat bhi jaan len ke khawah mard ho ya aurat agar in dhaton ko yani loha peetal tanba jast inko pehankar agar namaz padhenge to unki namaz makrooh tehrimi hogi yani us namaz ko dobara padhna wajib hoga 

aurtat ko ghungru wala zewar pehnna kaisa hai ?

aurat ko ghungru wala zewar pehnna mana hai hazrat umar farooq radiAllahu anhu farmate hain ke maine nabi kareem sallallahu alahi wasallam se suna hai ke har ghungru ke sath shaitan hota hai maloom hua ke ghungru wala zewar pehnna mana hai 

ab aaiye us sawal ke taraf chalte hain jo hamne shuru main uthaya tha yani sabse pehle kanon main baliyan kisne pehna isi main ek sawal aur hai woh yeh hai ke jo aurten kanon main baliyan pehnti hain to lazmi taur par kanon ko chhidwana padta hai yani ke kanon main surakh karna padta hai to sawal yeh hai ke kya surakh ek se ziyada karwana jaiz hai to iska jawab yeh hai ke ladkiyon ke kaan naak chhedna jaiz hai is main ek ya do ya teen ki qaid nahi matlab ek se ziyada kanon main surakh kara sakti hain 

qarn awwal main sahabiyat apne kanon main baliyan pehenti thin

hadees : hazrat abdullah bin abbas radi Allahu anhu bayan karte hain ke nabi sallallahu alahi wasallam ne eid ke din 2 rakat ada ki aur na to is se pehle koi namaz padhi aur na hi baad main phir aap sallallahu alaihi wasallam bilal radiAllahu anhu ke sath aurton ki janib aaye aur unhain sadqa ka hukm diya to aurten apne kaan ki baliyan nikalne lagin (sahih bukhari ) to maloom hua ke qarn awwal main sahabiyat apne kanon main baliyan pehna karti thin 

sawal naak kaan chhidwane ka riwaj kab se hai aur kya ladkiyon ka kaan chhedne ke liye koi khas hissa muqarrar hai 

jawab ek riwayat main hai ke sabse pehle naak kaan hazrat saarah ne hazrat hajirah radiAllahu anhuma ke chhede the dono hi hazrat ibraheem alaihissalam ki biwiyan thin tabhi se aurton main naak kaan chhidwane ka riwaj chala aa raha hai (merajun nubuwwah j1 s621)

aur shara main ladkiyon ke naak kaan chhedne ka koi khas hissa muqarrar nahi jahan chahe jaise chahen chhidwa sakti hain 

mujhe ummid hai ke is article se aap ko zaroor nafa hoga 

Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.