qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

aurat ke sar ke baal katna kaisa aur shariat ka hukm kya hai When to cut hairs of a young girl in Islamic religion?

aurat sar ke balon ko kaat ya katwa sakti hai kya ?

is article main aap aurton ke sar ke balon ke bare main padhenge aur janenge ke aurat ke sar ke lambe aur ghane baal jo uski zeenat hain aur uski khubsoorti main char chand lagate hain to kya unko kaata bhi ja sakta hai shariat main kya hukm hai islam kya kehta hai aaiye jante hain 

Ab ham balon ki zeenat ke talluq se dekhen to aurat ke aaraish wa zebaish  mein balon Ka bhi ek aham kirdar hota Hai balon ka lamba Siyah aur Ghana hona hi uski khubsurti Hai balon ko sawarne ke tariqe bhi muddaton se raij Hain kahin balon ki choti banai jaati hai aur kahin judaa Kahin kahin balon mein Moti sajae jaate Hain khubsurat pine clip aur sone chandi ke zeorat bhi khususan balon Ki Aaraish ke liye banae jaate Hain aur kahin balon ko Tarah Tarah Ke rangon se rangeen banaya jata hai aur kahin asli balon ki chotiyan aur Rog istemal Kiya jata hai Hai To in tamam chizon ki shariat mein kya haisiyat hai aur kis had tak istemal ki ja sakti hain aaiye jante hain  

hazrat umme Salma se riwayat hai ki unhone Nabi paak sallallahu Alaihi wasllam se poochha Ke mein sar ke bal goondh ti hun kya gusl e  janabat mein mujhe bal kholna chahie aapne farmaya Nahin bas itna kafi hai ki sar per teen chullu Pani Dal liya karo Jin se balon Ki jaden bhig jaen (sahih Muslim) 

rasool Allah ne farmaya jiske bal hon unka ikram Kare yani unko dhoe Tel lagae aur kangha Kare (sunan Abu dawood) 
in ahadees Pak se maloom hua ke azwaj e mutahirat bal gundhne ka ehtemam karti thin Aur balon ko saaf suthra rakhna Tel lagana yahi uski asal zeenat Hai magar iske upar izaafa karna yani balon mein sone chandi ke motiyan shishe Aur rang Aur khubsurat clip se balon ki aaraish karana bhi jaaiz wa mustahsan hai
 
auraten apni chotiyon mein pot (yani shishe ya kanch ke Dane aur chandi sone ke dane laga sakti hain (bahar e shariat jild 3)

Aurat ke baal katna ya katwana Aur kale karna kaisa?

To iska jawab yeh hai ke balon ko katna ya katwana Aur balon ko Kala karna Tel yah mehndi ke zariye aur asli balon ki chotiyan jo aajkal bazaron mein bik rahi hain aur abru ke baal bhi nochwana Na jaaiz wa haram Hai jaisa ke bahar e  shariat mein hai auraton Ke sar ke bal katwana jaisa Ke is zamane mein nasrani auraton ne katwane shuru kar diye Hain Najaiz wa gunah hai aur is per laanat aai hai shohar ne agar aisa karne ko kaha jab bhi yahi hukm Hai Ki aurat aisa karne mein gunagaar hogi kyunki shariat ki nafarmani karne mein Kisi Ka kehna Nahin mana Jayega (bahar e shariat)
 
To pata chal gaya ke aurat ke liye sar ke baal katwana jaaiz Nahin to mundwa ya ladkon Ki Tarah karvana badarja e aula Na jaaiz Hai auraton per mardana haiyyat ikhteyar karne par lanat aai hai hazrat Abu huraira Radi Allahu anhu se riwayat Hai Allah ne lanat farmai Hai baal jodne aur judwane wali per aur godne aur godne wali per (Bukhari Sharif) 

chahe baal Jin ko jodkar choti ya Juda banaya Gaya khud isi aurat ka ho ya Kisi gair ka donon Suraton main haram Hai han oun ya tage ki choti ho to haraj Nahin  

agar post pasand aaye to comment box main rai ka izhar zaroor karen 
Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.