Ad
Scroll to continue reading
Ad

balon ko kala yani color lagakar siyah karna kaisa In Islam can we use powder for hair dye

             

Balon Ko Kala Karna Kaisa (Islam Mein Hukm)

balon ko kala yani color lagakar siyah karna kaisa: aksar insan ke baal jab waqt se pehle safed ho jate hain to log balon ki safedi ko door karne ke liye kai qism ke tariqe dhundte hain koi doctor se rabta karta hai to koi hakimo ke yahan hazir hota hai to koi ghareloo nuskhe apnata hai take balon ki jo safedi sar aur dadhi main chamak rahi hoti hai use door kiya jaye aur balon ka rang badal jaye yani baal kale ho jayen aur phir se jawan dikhne lagen

Balon Ko Kala Karne Ke Formule

balon ko kale karne ke formule bahut hain: ji han aap jab balon ko kala karne ke formule ke liye google main search karenge to bahut sare ilaaj aur tareeqe bahut sare powder mil jayenge jo aapke safed balon ko kala karke aap ko jawan dikha sakte hain

Sar Ke Baal Allah Ki Nemat

sar ke baal bhi Allah ki nemat hain: ji han hamare jo sar ke baal hain ye bhi Allah ki ek nemat hain ke balon se aadmi ki khubsoorti main izafa hota hai aur balon se hamare sar ki bhi hifazat hoti hai wagairah beherhal ab main asal topic ki taraf aata hoon yani safed balon ko kala siyah karna kaisa (islam main)

Safed Baal Noor Hain

safed baal noor hain: insan ke baal jo safed ho jate hain to safed balon ko nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ne noor farmaya hai ke safed baal noor hain aur inko ukhadne se bhi mana farmaya hai yahi safed baal qayamat ke din noor honge

Baalon Ko Siyah (Kala) Karna Kaisa

yahan kuchh baton ka khayal rakhen maslan agar aapke baal safed ho gaye hain aur aap unko color karna chahte hain ke jis se balon ki safedi ka color badal jaye to aap balon ko color kar sakte hain sirf is baat ka aap khyal rakhen ke kala khizab ko chhod kar aap koi bhi rang color istemal kar sakte hain is main koi haraj nahi hai

Siyah Khizab Par Wa’eed

balon ko siyah kala karne walon ke liye waeed: nabi kareem sallallahu alaihi wasallam farmate hain ke "aakhir zamane main kuchh log honge jo siyah khizab karenge jaise kabootar ke potte woh log jannat ki khushboo nahi payenge "

Behtareen Rang (Mehndi Aur Kutum)

aur baalon ka safed rang badalne ke bare main huzur ka farman hai

"sabse achchhi chiz jis se balon ka rang badla jaye mehndi ya kutum hai" yani mehndi lagai jaye ya kutum

ek aur riwayat hai main hai ke nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ke samne ek shakhs guzra jisne mehndi ka khizab kiya hua tha farmaya ye bahut acha hai fir ek dusra shakhs guzra jisne mehndi aur kutum ka khizab kiya tha farmaya yeh us se bhi acha hai phir ek teesra shakhs guzra jisne zard khizab kiya tha farmaya yeh un sab se achha hai

Khulasa

khulasa yeh hai ke aadmi sar aur dadhi main khizab kar sakta hai magar siyah (kala) khizab lagana jaaiz nahi hai albatta kala khizab chhodkar aap zard surkh rang wagairah ka istemal kar sakte hain is main koi  harj nahi hai

Important Note

(not) bazaron main jo tarah tarah ke powder milte hain jinko lagane se baal kale hote hon to aise powder ka istemal karna bilkul bhi jaiz nahi hai

khatma

Doston, humein chahiye ke hum apni zindagi mein sunnat ke mutabiq amal karein aur har kaam shariyat ke daayre mein reh kar karein. Allah Ta’ala humein sahi samajh aur amal ki taufeeq ata farmaaye. Aameen!

Yah Bhi Padhen
Tag:
Latest Post
  • balon ko kala yani color lagakar siyah karna kaisa In Islam can we use powder for hair dye
  • balon ko kala yani color lagakar siyah karna kaisa In Islam can we use powder for hair dye
  • balon ko kala yani color lagakar siyah karna kaisa In Islam can we use powder for hair dye
  • balon ko kala yani color lagakar siyah karna kaisa In Islam can we use powder for hair dye
  • balon ko kala yani color lagakar siyah karna kaisa In Islam can we use powder for hair dye
  • balon ko kala yani color lagakar siyah karna kaisa In Islam can we use powder for hair dye
Post a Comment
Ad
Ad
Close Ads
Ad