qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Social media ke nuqsanat: jazbati ta'alluq ka fuqdan khud-aitmadi ki kami tafheem aur tadabbur ki kami, aur waqt ka zaya

Social media ke nuqsanat

Social media naujawano ke zehan par kaafi asar pazeer ho raha hai. Naujawano mein social media par lagataar active rehne aur baar baar notification check karne ki aadat unke zehan o fikr par kaafi asar daal rahi hai jis se naujawano ka dimagh kaafi mutasir ho raha hai. America mein aik tehqeeq se yeh baat saabit hui hai wazeh ho ke J.A.M.A Pediatrics mein shai report se yeh baat maloom hui hai. Tehqeeq mein bataya gaya hai ke social media ke lagataar istemal karne se naujawaan tabqa mein samaaj ke tayin had se zyada fikar ho rahi hai. Un mein hamesha samaj se aizaz aur inteqam milne ki umeed har waqt lagi rehti hai. Tehqeeq karne walon ne teen saal tak North Carolina ke qasba numa ilaqon ke schoolon mein taqreeban 170 talib ilmon par gehri nazar rakhi, is dauraan tehqeeq karne walon ne shuruati din se hi din mein kam az kam aik baar aur bees mein se zyada mashhoor social media platform Facebook, Twitter, Snapchat waghera istemal karne ke hisaab par bachon ko taqseem kiya gaya. Yaqeenan agarche social media par baat cheet karne ka maza aur itminan aamne samne guftagu karne jaisa nahi hai lekin phir bhi yeh kaafi mufeed aur kaargar sabit hota hai. Sab se pehla faida to iska yeh hai ke yeh faslon ko samait kar aapke pyaron ko aapke rubaru le aata hai. Iske ilawa aap duniya ke kisi bhi topic ki maloomat ghar baithe hasil kar sakte hain, dost bana sakte hain, mushkil mein madad le sakte hain, muasharti masail ke liye bedari paida kar sakte hain.

Social media ke manfi pehlu

agarche iske nuqsanaat ke mutaliq abhi kam mutaliat mojood hain lekin haqaiq o shawaahid ki roshni mein social media ke chand manfi pehlu samne aaye hain. Jaise yeh kisi ki bhi zahiri shanakht ke liye na kafi hai koi bhi jhooti shanakht ke saath aap se rabta kar sakta hai, jhoothi shaan o shaukat dikha kar aapki izzat e nafs ko majrooh kar sakta hai ya dhoka de sakta hai, iska zaroorat se zyada istemal aapko tanhai ka shikar bana deta hai, aaj kal cyber dhons aam hoti ja rahi hai. Jis ki wajah se khudkushi ki shirah mein izafa ho raha hai.

Jazbati talluq ka faqdān: 

Social media ke zariye kiye jane wale jazbati izhār ki koi haqīqi shakal nahi hoti. Aap is baat se nāwāqif hote hain ke samne wala jo aap se mohabbat ya hamdardi ka izhār kar raha hai, dar haqīqat wo kya soch raha hai ya agar koi aap se maafi talabb kar raha hai to asal mein us ke kya jazbāt hain?

Khud aitmadi ki kami: 

Social media par guftagu karne wale insān mein majlis mein ya mehfil mein baith kar ya majma ke samne baat karne ka i'timād nahi rehta. Wo is baat ke liye ādi ho chuka hota hai ke board ke peechhe baith kar nepe tule alfāz mein apni rāye ka izhār kare. Is mein khul kar ya sab ke samne apni rāye ka izhār karne ki himmat aur qābiliyat khatam ho jati hai.

Tafheem aur tadabbur ki kami: 

Jab tak social media ka āghāz nahi hua tha, log rabte ke liye ek dusre ko khat likha karte the, jis se unka rasm-ul-khat to acha hota hi tha, is ke sath sath alfāz ke istemāl ka gur bhi aata tha. Aaj kal to social media ke istemāl ne insān ki soch ko salb kar ke rakh diya hai. Wo is par istemāl hone wale chand gine chune jumlon se aage soch hi nahi sakta aur na hi likh sakta.

Aitmad main kami: 

Social media ke istemāl ki badolat hum apni baat kehne aur manwane ke gur ko bhoolte ja rahe hain. Aisa zyada tar nojawān tabqe mein dekha ja raha hai jin mein apni baat ko dhang se pesh karne ka tareeqa nāpaid hota ja raha hai.

Khudkushi: 

Haliya mutāla'āt mein ye baat samne aayi hai ke social media ka beja istemāl nojawān tabqe mein khudkushi ke rujhān ko barha raha hai. Is ke peechhe wajah chahe social media bullying ho, blackmailing ho, ehsas-e-kamtari ho, ya koi bhi game. Social media ka beja istemāl insān ko nafsiyāti tor par ghair mustahkam banata ja raha hai. Mu'āshre ki baqā ke liye is ke beja istemāl ko rokne aur kam karne ki zarurat hai.

Durust nuqta-e-nazar: 

Duniya mein Facebook ka istemāl sab se zyada hai. Is waqt ek arab se zyada afrad Facebook istemāl kar rahe hain. Facebook ke baare mein pehle ye ma'ruf tha ke aap kuch bhi upload kar sakte hain aur bol bhi sakte hain. Lekin ab ye baat na'are ki had tak hai. 'Amalan hum kisi ke haq mein kuch mawād upload karna to door ki baat, kuch likh bhi nahi sakte. Is tarah Yemen aur Falasteen ke haq mein aur Israel ke khilaf kuch bhi nahi likh sakte. Hazāron ma'ruf sites, accounts aur IDs block kar di gayi hain. Khud meri do IDs mukammal band ho chuki hain. Nai ID ke liye chehre ki mukhtalif jahāt se video de kar ijāzat mili hai. Ab intehāi ihtiyāt ke bawajood kai posts intibāh ke sath Facebook intizāmiya hata chuki hai. Jo log CNN, Israeli Radio Channel 7 aur Amriki wa Israeli jarā'id ki khabrein aur nuqta-e-nazar phelāyen, un ki IDs ki fa'āliyat ko barha di jati hai. Ye faqat da'wa nahi, zāti tajriba aur mushāheda bhi hai.

Thokar jidhar ko lag gayi jata hoon larhakta Apna thikāna khud mujhe ma'loom nahi hai

Waqt ka ziya: 

Insani zindagi ka qeemati sarmaya waqt hai. Waqt hi ke majmooe se zindagi banti hai. Waqt ko zaya karne ka matlab hai zindagi ko zaya karna. Is se bhi khatarnaak baat yeh hai ke koi social media pe waqt zaya kare to iska matlab hai ke woh paisa de kar apna waqt zaya kar raha hai. Yeh dugna nuqsan hai. Yeh woh log hain jo social media nahi chalatay balki social media unko chalati hai. Woh social media pe sawar nahi balki social media un par sawar hai. Yeh intehai khatarnaak baat hai. Baqol shayar ke:

Thokar jidhar ko lag gayi jata hoon larhakta apna thikana khud mujhe maloom nahi hai.

Fazai majazi: 

Social media ko Farsi mein fazai majazi kaha jata hai. Yani iska haqeeqat se koi talluq nahi. Jin ka salon mahino se apne behan bhaiyon se dua salam nahi woh Facebook pe roz hazaron ko salam karte hain. Amalan jiska koi hum fikr hum nazar dost ahbab na ho Facebook par hazaron dost banate hain. Maan baap ki jo izzat ehtram aur durust dekh bhal na karein woh itaat-e-waliden ki post karte hain.

Ek TikToker ke ek lakh se zayed followers the, qatal hua to janaze mein bara nafar bhi na the. Ek TikToker chand mah tak mazluma bani rahi, baad mein pata chala sab kuch sasti shohrat ke liye pre-planning kiya tha. Teen bachon ki maan TikToker ke followers ek lakh se zyada hue to bachon aur shauhar ko chhod kar bhaag gayi. Is ke ilawa social media propaganda aur shakhsiyat ko maskh karne ke sath shakhsiyat parasti wa khud pasandi ka zariya hai.

Social mediai jhagray aur din raat ki la ya'ni behas baziyaan zehni kofat paida kar deti hain, in cheezon se takhleeqi soch aur zehni sukoon ka yaksar khatma ho jata hai. Sanjeeda aur ilmi mizaj rakhne wale afrad bhoolay se bhi kabhi in cheezon ka hissa nahi bante hain kyun ke unhein khoob ilm hota hai ke in cheezon ka anjam siwaye tazee-e-auqat ke kuch bhi nahi.

Is mizaj ko hadees pak mein husn-e-Islam kaha gaya hai: "Min husn-e-Islam al-mar' tarquhu ma la ya'nihi" (Admi ke Islam ki khoobi mein se hai ke woh la ya'ni, be faida aur fazool baaton ko chhod de).

Huzoor ke yeh kalimat-e-masooda jawami' al-kalim mein se hain. Inki gehraai ko jis ne samajh liya woh inshaAllah kabhi bhi fazooliyat mein nahi padega. Aaj WhatsApp groups aur Facebook comment box mein kis tarah ki be-dhangam, sathi, aur rafaq qisam ki behasain aur jidal rivaaj pa gayi hain andaza bhi nahi-kiya ja-sakta. Jo log is tarah ke ghair muntij mujadilon aur la hasil behason ka hissa bante hain unhein Syedna Sheikh Maroof Karkhi alaihirrahma ke is qoul se ibrat pakarni chahiye:

(Jab Allah Rabbul Izzat kisi bande ke sath bhalai ka irada farmata hai to us ke liye husn-e-amal ka darwaza khol deta hai aur jhagray ka darwaza band kar deta hai. Aur jab kisi bande ko shar mein mubtala karne ka irada farmata hai to us se husn-e-amal ka darwaza band kar deta hai aur jhagray ka darwaza khol deta hai.)

Allah-o-Akbar! Aap ke is qoul mubarak ke amali namoone fi zamana bakasrat dekhe ja sakte hain. Baat baat mein manazirana andaaz ikhtiyar kar lena, ikhtilafi posts daal kar comments batorne ki fikr mein rehna, kaam karne walon ko bila kisi maqsad-e-sahi ke hadaf-e-tanqeed banana, yeh sab cheezen isi zumbre mein aati hain.

Ghair zaroori behas karne se laakh darja behtar hai ke do rakat nafl ada kar liye jayein, chand dafa durood pak parh liya jaye ya kisi deeni kitaab ka nafees mutaala kar liya jaye. Duniya wa aakhirat ki kamiyabi in cheezon mein pinha hai na ke Facebook, WhatsApp ki fazooliyat mein!!! 

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.