qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Nabi Kareem ke Mubarak akhlaaq sallallahu alaihi wasallam


Nabi Kareem  alaihis salatu wassalam ke Mubarak akhlaaq

Assalamu alaikum doston: Nabi Kareem  alaihis salatu wassalam ka husn-e-akhlaaq duniya ke liye ek misali dastoor aur ilm-o-hikmat ka noor hai. Aap  alaihis salatu wassalam ke akhlaaq, Qurani taleemat ka practical namoona hain, jo insaniyat ke liye rehnumai ka behtareen zariya hain Yeh tahreer Aap alaihis salatu wassalam ke akhlaq, unki talimat aur unki misaali zindagi ke chand pehluon ko samajhne ki koshish hai, jo har shakhs ke liye ek rahnumai aur behtareen misaal hai.

Huzoor Aqdas alaihis salatu wassalam ke akhlaq shohra-e-aafaq hain.

 Akhlaq-e-Nabvi
Irshad-e-Bari Ta’ala hai:
 “Wa innaka la’ala khuluqin azeem”
 Aur beshak hum ne aap alaihissalatu wassalam ko khulq-e-azeem se nawaza.
Allah Taala ne apne mehboob Kareem alaihissalatu wassalam ki tareef in alfaz ke zariye farmaayi. Aap alaihissalatu wassalam ke akhlaaq-e-jameela aur aadat-e-shareefa aaj duniya mein zarb-ul-misal hain, aur akhlaaq-e-Muhammadi alaihis salatu wassalam ki aalam mein dhoom hai. Is se zyada kya hoga ke khud Allah paak ne Quran Pak mein aap alaihissalatu wassalam ke akhlaaq ki tareef farmaayi.
Huzoor Akram alaihis salatu wassalam ke akhlaq-e-hasna ka ehaata dushwaar hai. Ahadith-e-Mubarak ki kutub aap alaihis salatu wassalam ke akhlaq se bhari pari hain. Hazrat Anas radi Allahu anhu kehte hain:
“Main ne das baras Huzoor Aqdas alaihis salatu wassalam ki khidmat ki, lekin Huzoor alaihissalam wasallam ne mujhe kisi baat par ‘uff’ tak nahi kaha. Na kisi kaam ke na karne par ye farmaya ke kyun nahi kiya? Huzoor Aqdas sallallahu alaihi wasallam ke akhlaq tamaam duniya se behtar the. Main ne kabhi koi reshmi kapra, khaalis reshmi, ya koi aur narm cheez aisi nahi chooi jo Huzoor alaihis salatu wassalam ke babarkat hatheli se zyada narm ho, aur main ne kabhi kisi qisam ka mushk ya ittar Huzoor alaihis salatu wassalam ke pasina ki khushboo se zyada khushboo dar nahi soongha.”
Aap alaihis salatu wassalam ki ba'ast hi takmeel-e-ikhlaq ke liye hui. Chunanche khud Nabi Akram alaihis salatu wassalam ka irshad hai:
 "Main is liye bheja gaya hoon ke umda ikhlaq ki takmeel karoon."
Is ke bawajood Huzoor Akram alaihis salatu wassalam is ki dua farmaaya karte the:
 "Ya Allah! Jaisa Tu ne mujhe husn-e-soorat ata kiya hai, husn-e-ikhlaq bhi ata kar."
 Halaanke Huzoor Akram alaihis salatu wassalam ke akhlaq ki tareef khud Allah Tabarak wa Ta'ala ne Quran-e-Pak mein farmayi hai.
Nabi Kareem alaihis salatu wassalam ka irshad mubarak hai:
 "Allah Tabarak wa Ta'ala narmi aur naram mizaji ko pasand farmata hai aur narmi par woh sab kuch ata farmata hai jo kisi aur cheez par nahi farmata."
Huzoor Akram alaihis salatu wassalam ka irshad hai:
 "Mujhe tum mein se sabse zyada mahboob woh shakhs hai jis ke ikhlaq sabse ache hon."
Hazrat Anas (radi Allahu anhu) kehte hain ke Huzoor Akram alaihis salatu wassalam ne farmaya:
 "Agar mujhe bakri ka ek khur bhi diya jaye to main qubool karoon, aur agar us ki dawat di jaye to main zarur jaoon."
 Yani, mujhe hadiya qubool karne mein aur kisi jagah jaane mein bhi is ka khayal nahi hota ke itni zara si cheez ke liye kya jaoon. Balki Allah Tabarak wa Ta'ala ki ni'mat samajh kar us ko kamal raghbat se qubool karta hoon. Aur asal baat yeh hai ke dawat ke qubool karne mein woh khana maqsood nahi hota, balki dawat karne wale ki dildari maqsood hoti hai.
Hazrat, Zaid-bin-saabit radi Allahu-anhu ka qaul hai:
Ek jamaat Hazrat, Zaid-bin-Saabit radi Allahu-anhu ke paas hazir hui aur arz kiya ke Huzoor Akram alaihis salatu wassalam ke kuch haalaat sunayein. Unhone farmaya ke Huzoor Akram alaihis salatu wassalam ke kya haalaat sunaun (woh ihata-e-bayan se bahar hain). Main Huzoor Akram alaihis salatu wassalam ka hamsaya tha is liye goya har waqt haazir-baash tha aur aksar haalaat se waqif. Is ke saath hi katib-e-wahi bhi tha. Jab Huzoor Akram alaihis salatu wassalam par wahi nazil hoti to aap mujhe bula bhejte. Main haazir ho kar usko likh leta tha.
Huzoor Akram alaihis salatu wassalam hum logon ke saath nihayat darja dildari aur be-takallufi farmate the. Jis qism ka tazkira hum karte the, Huzoor Akram alaihis salatu wassalam bhi hamare saath waisa hi tazkira farmate the. Jab hum log kuch dunyawi zikr karte to Huzoor Akram laihis salatu wassalam bhi is qisam ka tazkira farmate (yeh nahi ke bas aakhirat hi ka zikr hamare saath karte hon aur duniya ki baat sunna bhi gawara na karein). Aur jis waqt hum aakhirat ki taraf mutawajjah hote to Huzoor Akram alaihis salatu wassalam aakhirat ka tazkire farmate.
Yani jab aakhirat ka koi tazkira shuru ho jata to uske haalaat aur tafseelat Huzoor Akram laihis salatu wassalam bayan farmate. Yani aap alaihis salatu wassalam ke samne jis qisam ka tazkira kiya jata, aap laihis salatu wassalam uske mutabiq jawab ata farmate. (Bahawala: Shama'il Tirmidhi)

Hazrat Ayesha Siddiqa (Radi Allahu Anha) se jab Aap alaihis salatu wassalam ke akhlaaq ke baare mein poocha gaya to Aap (Radi Allahu Anha) ne farmaya: "Aap alaihis salatu wassalam ka khulq Quran-e-Kareem hai." Yani Aap alaihis salatu wassalam Qurani hukm ke tabe aur Qurani manahiyat se mujtanab the. Aap alaihis salatu wassalam ne inhi ikhlaq o adab ka apne aap ko muttasif aur moaddab bana liya tha.
Aap alaihis salatu wassalam itaat-e-Ilahi aur farmanbardari mein bepanah jidd o jehd farmaya karte the, aur bargah-e-Khudawandi mein kamal khushu o khuzu farmate. Awamir ki kama haqqah adaigi farmate. Allah Ta'ala ke bandon se muhabbat farmate aur majmu'i tor par insaniyat ki khair khwahi ke liye koshan rehte. Agar log Aap alaihis salatu wassalam ko eza o takleef dete to Aap alaihis salatu wassalam isay bardasht farmate aur kabhi kisi se zaati inteqam na lete.
Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa (Radi Allahu Anha) se Nabi Kareem alaihis salatu wassalam ki gharelo zindagi ke baare mein pucha gaya to Aap (Radi Allahu Anha) ne farmaya:
 Aap alaihis salatu wassalam apne ghar walon ke sath behtareen sulook farmate. Apne kapre apne haath mubarak se seete, nalain mubarak ko murammat farmate, apne haath mubarak se doodh doh lete, aur apni zaruriyat-e-zindagi ki ashya khud bazaar se kharid late. Al-gharz, har kaam apne haath se farmalete.

Hazrat Anas (Radi Allahu Anhu) farmate hain ke ek din main Sahaba-e-Kiram (Radi Allahu Anhu) ki jamaat ke sath masjid mein baitha tha ke achanak Nabi Kareem alaihis salatu wassalam chadar oadhe tashreef laye. Aap alaihis salatu wassalam ke peeche peeche ek A'rabi aa raha tha. Usne Aap alaihis salatu wassalam ki chadar mubarak ko itne zor se kheencha ke uska kinara Nabi Kareem alaihis salatu wassalam ki gardan mubarak se ja takraya. Chadar ki ragad Aap alaihis salatu wassalam ki gardan mubarak par numayan thi.
Huzoor alaihis salatu wassalam ne nihayat shafqat se A'rabi ki taraf dekha aur farmane lage: "A'rabi, tumhein kisi cheez ki zarurat hai?" Woh kehne laga: "Log jo maal le kar aaye hain, us mein se mujhe bhi hissa milna chahiye." Aap alaihis salatu wassalam ne us maal se usay hissa diya aur muskurate hue usay jaane ki ijazat di.

Ek martaba Hazrat Jibra'il Ameen (alaihis salam) Nabi Kareem alaihis salatu wassalam ke paas aaye aur Allah Tabarak wa Ta'ala ka salam pesh kiya aur kaha ke agar Aap alaihis salatu wassalam chahen to Koh-e-Uhad aur doosre pahadon ko sone aur chandi ka bana diya jaye. To Aap alaihis salatu wassalam ne farmaya:
 "Ae Jibra'il, duniya uske liye ghar hai jiska koi ghar nahi, duniya uske liye dolat hai jiske liye koi dolat nahi. Duniya ke maal-o-dolat ko wahi jama karta hai jiske paas koi 'aql nahi."
Jibra'il (alaihis salam) ne arz-kiya: ya Rasul Allah alaihis salatu wassalam."
 "Aap alaihis salatu wassalam ne sahi qawl se bilkul sach farmaya hai."
Yani, Aap alaihis salatu wassalam ne kabhi duniya ke maal-o-dolat ki lalach nahi ki. Aap alaihis salatu wassalam jis majlis mein tashreef farma hote, to doosron ke liye jagah tang na karte. Sahaba-e-Kiram (radi Allahu anhu) ko unki kuniyat ya laqab ke qabil-e-ehtram naamon se bulate aur achhe naamon se pukarte.
Masakeen aur ghuraba ke sath baith kar khana khate, ahl-e-ilm wa fazl ke sath khush asloobi se pesh aate aur unki izzat-o-takreem karte. Bure logon-se bhi achchha-salook farmate.

Hazrat-Ali (radi Allahu-anhu), jo Aap alaihis salatu wassalam ke tarbiyat yafta the aur aghaz-e-umar se akhir-e-umar tak kam az kam 23 baras Aap alaihis salatu wassalam ki khidmat-e-aqdas mein rahe, ek martaba Hazrat Imam Hussain (radi Allahu anhu) ne unse Aap alaihis salatu wassalam ke ikhlaq ke baare mein sawal kiya. To Hazrat-Ali (radi Allahu-anhu) ne farmaya:
"Aap alaihis salatu wassalam khanda-jabeen, naram-khoo, aur meherban tabiyat ke malik the. Sakht mizaj aur tang dil na the. Kabhi bhi koi bura kalma munh se nahi nikalte the. Agar koi baat Aap alaihis salatu wassalam ko na-pasand hoti to us se aghmaz farma lete. Aap alaihis salatu wassalam na aib-jo the aur na tang-gir."
Doosron ke mutaliq bhi teen baaton se parhaiz farmaate:
Kabhi kisi ko bura nahi kehte the.
Kisi ki aib-geeri nahi karte the.
Kisi ke andaruni halat ki tauh mein nahi rehte the.
Aap wahi batein karte jo mufeed natija de sakti theen. Jab Aap alaihis salatu wassalam kalam farmate to Sahaba-e-Kiram (radi Allahu anhu) is tarah khamosh hokar sunte ke goya unke saron par parindey baithe hain.
Al-gharz, Aap alaihis salatu wassalam husn-e-ikhlaq ka mujassama the.
0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.