qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

khuf e khuda ki fazeelat Allah se darne wale ke liye do jannaten hain


 Khauf-e-Khuda Ki Barkatain

 Assalamu Alaikum doston,

 Aap is mazmoon mein khauf-e-Khuda ki barkatain aur is ki fazeelat ke baare mein padhenge. Hadees ki roshni mein samjhaya gaya hai ke kaise Allah ka khauf insaan ke dil ko paak karta hai aur usay do jannatein ata karta hai. Aakhir mein, aap is baat ko samajh payenge ke sirf zubaan se dawa karna kaafi nahin, balke amal bhi zaroori hai. Khauf-e-Khuda insani zindagi ko behtareen banata aur Allah ka qurb hasil karne ka sabab banta hai.

Hadee Shareef

 Hazrat Abu Darda Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ke wo farmate hain, unho ne Nabi Kareem alaihis salatu wassalam ko mimbar par waaz karte hue suna. Aap alaihis salatu wassalam farmate the:

 "Wali-man khafa maqa-ma rabbihi jannataan"

 (Us ke liye do jannatein hain jo apne Rab ke samne khade hone se dare).

Hazrat Abu Darda Radi-Allahu-Anhu ne arz kiya:

 "Wa in zana wa in saraqa?"

 (Aur agarche ziana kar le aur agarche chori kar le, ya Rasulullah sallahu-alaihi-wasallam?)

Nabi Kareem alaihis salatu wassalam ne phir dobara pahle wali baat  irshad farmayi:

 "Wali-man khafa maqa-ma rabbihi jannataan"

 (Us ke liye do jannatein hain jo apne Rab ke samne khade hone se dare).

Hazrat Abu Darda  Radi-Allahu-Anhu ne dobaara arz kiya:

 "Ya Rasulullah shallallahu-alaihi-wasallam, agarche woh ziana kar le aur chori kare?"

Nabi Kareem shallallahu-alaihi-wasallam ne teesri martaba farmaya:

 "Wa in ragama anfu Abi Darda"

 (Aur agarche Abu Darda ki naak bhi ragad di jaye).

 Jo shaks is khauf ke sabab gunah chhod de ya toba karta rahe ke kal use Rab ke huzoor pesh hona hai aur apne aamaal ka hisaab dena hai, usay do jannatein ata hongi:

Ek jannat khauf-e-Khuda ke iwaz.

Ek jannat gunah chhodne ke iwaz.

Khauf-e-Ilahi ka Fawaid:

 Khauf-e-Ilahi wo roohani saabun hai jo dil ke sare mail dhoke paak kar deta hai.

 Aakhir mein, Nabi Kareem shallallahu-alaihi-wasallam ne Hazrat Abu Darda Radi-Allahu-Anhu ke sawalat ke jawab mein farmaya:

 "Aye Abu Darda, agar tum sawal karte karte apni naak bhi ragad do, tab bhi yehi hukm rahega ke Allah se darne wala do jannaton ka mustahiq hoga."

Natija:

 Doston, aapne khauf-e-Khuda ke silsile mein Hadees Mubarak padha, jisse yeh pata chala ke jo shaks Allah se darta hai aur apne dil mein khauf-e-Khuda rakhta hai, uske liye do jannatein hain. Allah Ta'ala se dua hai ke humein bhi khauf-e-Khuda ki taufeeq ata farmaaye. Aameen!

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.