qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Mahe safar main shadi nikah karna kaisa?


Mahe Safar Main Shadi Nikah

Assalamu Alaikum! Is post mein aap padhenge ke Mahe Safar, yani Safar ul Muzaffar ke mahine mein nikah karna jaiz hai ya nahi. 

Mahe Safar Ki Ahmiyat

Is mazmoon ko aage badhane se pehle yeh jaan lein ke Mahe Safar Islami saal ka dusra mahina hai jo Muharram ul Haram ke baad aata hai. Islami saal ka pehla mahina Muharram Shareef hai aur dusra mahina Safar ul Muzaffar hai.

Galat Fehmiyan Aur Aqeedatain

Agar hum Muslim samaj ka jaiza len to yeh baat samajh aati hai ke Muslim samaj mein Mahe Safar ke bare mein bahut galat fehmiyan paayi jati hain. Misal ke taur par:

- Kuchh log Safar mahine ko manhoos samajhte hain.

- Kuchh log is mahine ki pehli 1 se 13 tarikh tak ko bura mante hain aur inko "Terah Tezi" kehte hain.

- Baaz log samajhte hain ke is mahine mein balayen aati hain.

Yeh sab jahalat aur be-bunyad aqeedatain hain jo haqeeqat se door hain.

Mahe Safar Mein Nikah

Isi tarah kuchh log yeh samajhte hain ke Safar ke mahine mein shaadi nikah nahi karna chahiye. Magar haqeeqat yeh hai ke nikah kisi bhi mahine mein ho sakta hai, jab tak koi shari'i wajah na ho. Islami usoolon ke mutabiq kisi makhsoos din ya mahine mein nikah najaiz nahi hai.

Jahalat Aur Galat Aqaid

Baaz awam mein yeh mashhoor hai ke Mahe Muharram ul Haram aur Mahe Safar mein nikah nahi karna chahiye kyunki yeh mahine sog aur gami ke hain. Log samajhte hain ke agar is mahine mein shadi ki to talaq ho jayegi, ya mian-biwi mein fasad paida hoga. 

yeh tamam baten be buniyad aur be asal hain haqeeqat se unhain door door ka wasta nahi hai

 Paigham-e-Ala Hazrat

Chunanche Imam Ahle Sunnat Imam Ahmad Raza Khan RadiAllahu Anhu se Mahe Muharram aur Mahe Safar mein nikah ke mutaaliq daryaft kiya gaya to aapne irshad farmaya:

"Nikah kisi mahine mein mana nahi." (Al Malfooz)

 Khulasa

Yeh baat sabit ho gayi ke shadi nikah kisi bhi mahine mein mana nahi hai, chahe Safar ho ya koi aur mahina. Shariat mein kisi bhi mahine mein nikah karna jaiz hai, Allah humein sachai aur haqq samajhne ki taufeeq ata farmaye. Ameen.


0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.