Samaaj Se Be Rozgari Door Karne Ka Islami Tarika
Kisi Ko Kaam Ya Rozgaar Se Lagana
Rifaahi kaamon mein ek ahem kaam bekaaron ko baakaar banana, berozgaron ko rozgaar se lagana, unhein rozgaar faraham karna, behunaron ko hunar sikhana aur unhein apne pairo par khada karna hai, aur muashre ke kaaramad fard banana hai.
Aaj kitne hi aise naujawan hain jo mehnat aur mashaqqat kar sakte hain, lekin sirf sarmaya (paisa) na hone ki wajah se koi zariya-e-muaash ikhteyaar nahi kar sakte aur gurbat aur tangdasti ki zindagi guzaarte hain. Agar unki yeh rukawat door kar di jaye, toh woh apne pairo par khade ho sakte hain aur unhein muaashi istaqlaal naseeb ho sakta hai.
Hadees Mubarak Se Rehnumai
Hazrat Anas radiAllahu anhu se riwayat hai ke ek Ansari Rasool Allah sallallahu-alaihi-wasallam ke paas aaya aur usne aap sallallahu-alaihi-wasallam se apni zarurat ke liye kuch maanga. Is par aap sallallahu-alaihi-wasallam ne us se poochha:
"Tumhare ghar mein koi cheez hai?"
Usne kaha:
"Ji haan, mere paas ek baalon se bani ek dari hai, jiska kuch hissa hum odhte hain aur kuch bichha lete hain, aur ek pyala hai jis se hum paani peete hain."
Aap sallallahu-alaihi-wasallam ne farmaya:
"Woh dono mere paas laao."
Chunanche, woh unhein le aaya. Aap sallallahu-alaihi-wasallam ne dono cheezon ko utha kar farmaya:
"Yeh kaun kharidega?"
Majlis mein ek aadmi ne kaha:
"Yeh dono cheezein main ek dirham mein kharidunga."
Phir aap sallallahu-alaihi-wasallam ne farmaya:
"Ek dirham se zyada kaun dega?"
Yeh baat aap sallallahu-alaihi-wasallam ne do ya teen martaba dohraai, toh ek doosre shakhs ne kaha:
"Yeh dono cheezein main do dirham mein kharidunga."
Is par aap sallallahu-alaihi-wasallam ne yeh dono cheezein uske hawale kar di aur do dirham Ansari ko dekar farmaya:
"Jaao, ek dirham se anaaj lekar apne ghar walon ko do, aur doosre dirham se ek kulhaadi kharid kar mere paas le aao."
Phir aap sallallahu-alaihi-wasallam ne us mein apne mubarak haathon se dasta daala aur usse farmaya:
"Jungle mein jao, lakdiyan kaat kar farokht karo, aur pandrah din se pehle main tumhe hargiz na dekhun."
(Pandrah din se pehle wapas na aana.)
Woh shakhs jungle gaya, jahan lakdiyan kaat kar bechta raha. Phir das dirham kama kar laya, jinmein se kuchh dirham se usne kapde aur kuchh se anaaj kharida. Rasool Allah sallallahu-alaihi-wasallamne farmaya:
"Yeh tumhare liye us dast-e-sawal daraz karne se behtar hai, jis sawal ki wajah se Qayamat ke din tumhare chehre par daag ho."
Sawal Ke Jaiz Hone Ki Shartein
Rasool Allah sallallahu-alaihi-wasallam ne irshad farmaya:
"Suwal sirf-teen logon-ke-liye jaiz-hai:
1. Sakht faaqe ki haalat mein mubtala shakhs.
2. Bhari qarz tale dabe hue shakhs.
3. Giraan khoon baha ya jurmana ada karne wale shakhs."
Nabi sallallahu-alaihi-wasallam Ka Amali Tareeqa
1. Nabi sallallahu-alaihi-wasallam ne us Ansari ki sehat aur kamane ki qudrat hone ki wajah se zakat dena munasib nahi samjha, kyunki uske peshewar bhikaari banne ka khatra tha.
2. Nabi sallallahu-alaihi-wasallam ne hukumat ke zimmedaron aur zakat taqseem karne walon ke liye misaal qaim ki ke woh logon ke liye rozgaar ke mawaqe paida karein.
3. Aap sallallahu-alaihi-wasallam ne waaz ya talqeen ke bajaye us shakhs ko amli taur par kaam se lagaya.
4. Aap sallallahu-alaihi-wasallam ne us shakhs ko uske bas ke kaam mein lagakar apne pairo par khada karne ka kaam kiya.
5. Aap sallallahu-alaihi-wasallam ne samajhaya ke halal tareeqe se rozi kamaana izzat-e-nafs ka tahaffuz hai.
Khulasa
Is Islami tareeqe mein be rozgari ka amli namuna hai. Nabi sallallahu-alaihi-wasallam ka yeh tareeqa humein yeh sikhata hai ke gareeb aur be rozgaar logon ki madad ka behtareen tareeqa unhein rozgaar faraham karna aur apne pairo par khada karna hai. Yeh na sirf insani zimmedari hai, balki ek dini farz bhi hai.
Aap Ki Rai
Doston, kya hum sab milkar is nabvi tareeqe ki pairvi karke apne muashre se berozgari ka khatma kar sakte hain? Apni rai comments mein zarur share karein.
Post a Comment