Ek Be-Namazi Ki Wajah Se Poori Basti Ka Tabah Hona
Assalamu Alaikum,Is post mein aap namaz ki ahmiyat aur iske chhodne ke nateejon ke bare mein padhenge. Namaz ek ahem farz hai, jo insaan ke liye dheron sawab aur barkat ka zariya hai. Lekin iske baraks, namaz chhodne par sakht azab ka zikr bhi kiya gaya hai. Anees-ul-Majalis mein ek waqia bayan kiya gaya hai jo is baat ki misaal hai ke kaise ek be-namazi ki wajah se poori basti tabah ho gayi.
Waqia
Ek dafa Hazrat Isa Alaihissalam safar kar rahe the. Aap ek basti ke paas se guzre jahan ke rehne wale Allah ki ibadat mein badi sanjeedgi se masroof the. Woh log bade aajzi aur inkesaari ke sath ibadat karte the aur aalishaan mehalon mein rahte the.Hazrat Isa Alaihissalam unke paas tashreef le gaye aur dekha ke unke paas lazeez khane, mukhtalif qisam ke phal, aur khaalis sharab thi. Unki aulaad badi khubsurat thi aur unki biwiyan husn o jamal ka paikar thin. Woh log har qisam ki zinat se aarasta the. Aap unka yeh khubsurat manzar dekh kar wahan se aage barh gaye.
Kuch arsa baad, Hazrat Isa Alaihissalam ka dobara us basti se guzar hua. Aap hairan reh gaye dekh kar ke tamam ahle basti, unki aulaad, aur azwaaj halak ho chuke the. Woh basti safa-e-hasti se mit chuki thi.
Hazrat Isa Alaihissalam ne unki is halat par afsos kiya aur Allah ki bargaah mein arz kiya:
"Aye mere Parwardigaar, unhein yeh saza kis wajah se di gayi hai? Kya unhone teri itaat chhod di thi? Kya woh tarrik-us-salat ho gaye the? Ya kisi aise gunaah ke murtakib huye jis se tu naraz ho gaya aur unhein mita diya?"
Allah Ta’ala ne irshad farmaya:
"Aye Ruhullah, aisa nahi. Balki ek namaz chhodne wala unke paas se guzra tha. Usne unke chashmon se pani le kar apna munh dhoya tha. Uska istemal kiya hua pani unki zameenon aur gharon par waaqe hua. Uss namaz chhodne wale ki nahusat se yeh log is tabahi ka shikar ho gaye."
Nateeja
Doston, is waqia se humein yeh samajhna chahiye ke Ek be-namazi ki nahusat se bhi tabahi aasakti hai, to sochiye jo khud namaz chhodta hai, uska kya anjaam hoga. Allah Ta’ala se dua hai ke humein panch waqt ki namaz jamat ke sath ada karne ki taufeeq ata farmaye.Ameen.
Post a Comment