qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Kaba shareef ke bare main aham maloomat

Kaba Shareef Ke Bare Mein Aham Maloomat  

Kaba Shareef, Saudi Arab ke Makka Shehar mein waqe hai aur duniya ke Musalmanon ke liye ibadat ka markazi maqam hai. Yeh woh muqaddas jagah hai jahan har saal duniya bhar ke Musalman hajj aur umrah ke liye aate hain. Kaba Shareef ko "Baitullah" bhi kehte hain, aur kaba shareef hi ki taraf munh karke sari duniya ke musalman namaz padhte hain!

Kaba Shareef Ka Taaruf:  

Kaba Shareef ek chaukor imaarat hai, jiske chaar kone hain jo rukn kehlate hain. Yeh Allah ki ibadat ke liye zameen par sabse pehli tameer hui thi, aur iski azmat aur ahmiyat ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai ke iski taraf dekhna bhi sawab hai.  

Kaba Shareef Ke Rukn Aur Aham Hisse:  

1. Rukn-e-Aswad: 
   - Junoob aur mashriq ke gauche mein waqe hai.  
   - Isme jannati pathar "Hajre Aswad" nasb hai.  

2. Rukn-e-Iraqi: 
   - Iraq ki simt, shumal mashriqi kona hai.  

3. Rukn-e-Shami:  
   - Mulk-e-Sham ki simt, shumal maghribi kona hai.  

4. Rukn-e-Yamani: 
   - Yaman ki janib, junoob maghribi kona hai.  

Baaki Ahm Hisse:  

1. Baab-ul-Kaba:  
   - Rukn-e-Aswad aur Rukn-e-Iraqi ke darmiyan mashriqi deewar par sone ka darwaza hai.  

2. Multazam: 
   - Rukn-e-Aswad aur Baab-ul-Kaba ki darmiyani deewar ka hissa.  

3. Hateem:  
   - Kaba ki shumali deewar ke paas nisf daire ki shakal mein ek boundary ke andar ka hissa. Hateem Kaba ka hissa hai aur isme dakhil hona Kaba mein dakhil hone ke barabar hai.  

4. Mustajar:  
   - Rukn-e-Yamani aur Shami ke darmiyan maghribi deewar ka hissa.  

5. Meezab-e-Rehmat:  
   - Sone ka par nala jo Rukn-e-Iraqi aur Shami ki shumali deewar ki janib chhat par nasb hai.  

6. Mustajab:  
   - Rukn-e-Yamani aur Rukn-e-Aswad ke darmiyan junoobi deewar, jahan sattar hazar farishte dua par "Ameen" kehte hain.  

Muqaddas Maqamat Aur Unki Ahmiyat:  

1. Maqam-e-Ibrahim:  
   - Kaba ke darwaze ke samne waqe ek qubba mein ek jannati pathar, jis par Hazrat Ibrahim (alaihissalam) ne khade hokar Kaba ki tameer ki thi.  
   - Is pathar par unke qadmon ke naqsh aaj bhi mojood hain.  

2. Beer-e-Zamzam:  
   - Woh muqaddas kuan jo Hazrat Ismaeel ((alaihissalam) ke mubarak qadmon ki ragad se jari hua tha.  
   - Iska paani peena aur badan par dalna sawab aur shifa ka sabab hai.  

 Khulasa:  

Kaba Shareef duniya ke Musalmanon ke liye ek markazi maqam hai. Iski mukhtasir jankari har Musalman ke liye faida mand hogi, aur yeh Allah ki  nishaniyon mein se ek azeem nishan hai. Allah se dua hai ke hamen is muqaddas maqam ki hazri aur ziyarat ka sharf hasil ho. Ameen!
0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.