Dawat e Walima
Dawat-e-Walima: Islami Taleemat aur Mojooda Rawaiye
Assalamu Alaikum
Dawat-e-Walima shadi ke dusre ya teesre din dulhe ke khandan ki taraf se azeez-o-aqarib ke liye khane ka intezam hai. Ye sunnat-e-Nabwi alaihis salatu wassalam hai jo bohot fazilat wala amal hai. Magar aaj kal shadi byah ki taqreebat mein sharaiy usool aur Islami ghairat ko nazarandaz kiya ja raha hai, jiski wajah se is sunnat ki asal rooh mutasir ho rahi hai.
Dawat-e-Walima yani shadi ke dusre ya teesre din jo ladke walon ke taraf se rishtadaron, azeez o aqarib ke liye jo khana yani dawat ka ahtemam kiya jata hai use Walima kaha jata hai aur Walima karna sunnat hai. Humein chahiye ke hamara jo bhi kaam ho, program ho, dawat ho, shadi ho, walima ho, har kaam sharai usool aur qawaneen ke mutabiq ho. Lekin aaj kal shadi byah ke moqe par sharai usool aur qawaneen aur dini ghairat aur hamiyat ka janaza jis bedardi se nikala ja raha hai us par siwaye matam ke aur kya kiya ja sakta hai. Barat ke naam par insaniyat aur sharafat ki jo dhajjiyan udaai jati hain unhein dekh kar shaitan bhi mare sharam ke pani-pani ho jata hai. Sitam balaye sitam ye ke sare kaam taraqqi aur tehzeeb ke naam par kiye jate hain, taleem aur tamaddun ke naam par kiye jate hain, balandi khayali aur roshan mizaji ke naam par kiye jate hain. Had ye ke Dawat-e-Walima jo sunnat hai aur Hadees Pak mein jiski fazilat bayan ki gai hai: *“Walima karo agarche ek bakri hi se ho”* (Bukhari Shareef).
Aur Nabi Pak alaihis salatu wassalam ke amal mubarak se bhi Walima ka khana khilana sabit hai, magar afsos ki baat hai ke aaj kal bohot si jagahon par to is sunnat par amal hi nahi hai aur kuchh ilaqon mein ye tareeqa raaij to hai magar Musalman ise jis tarah se apnate hain is se sunnat ki rooh lahu luhaan nazar aati hai. Balke haq to ye hai ke sunnat ki taraf nisbat karte huye imani ghairat tilmila uthti hai.
Nabi Kareem alaihis salatu wassalam farmate hain: *“Bura khana walima ka woh khana hai jis mein maldar log bulaye jate hain aur fuqara chhod diye jate hain.”* Is hadees pak ke peshe nazar Musalmanon ke amal aur kirdar ka jaiza lijiye to yaqeenan aapko pata chal jayega ke aaj is moqe par shehar ke maldaron aur gaon ke sarmayadaron ko to chun chun kar bulaya jata hai, unki aamad par palken bichhai jati hain, unki khoob khoob khatir madarat karke wah-wahi looti jati hai, aur faqeeron ko us gali se guzarne par bhi pabandi laga di jati hai che jaika ke unhein khane ke liye mad’oo kiya jaye. Aur to aur hairat to us waqt sar dhunne lagti hai jab ye baat sunne mein aati hai ke shohrat aur namooshi ke ye matwale apne ghareeb rishtadaron ko bulana kasre shaan samajhte hain aur unmein se aksar o beshtar ko nazarandaz kar jate hain.
Maghrib ki Taqleed
Dusri baat jo is qism ki dawaton mein jad pakadti ja rahi hai woh hai Maghrib ki andha dhund taqleed. Woh Maghrib ki tehzeeb jiske zere asar aaj insaan se insaniyat koson door ja padi hai. Woh Maghribi tehzeeb jis mein na sharam hai aur na haya, na ghairat na paas-e-adab, aur na ehtram-e-insaniyat, na waqar-e-zindagi hai aur na payam-e-zindagi. Isi Maghribi tehzeeb ne Musalmanon ko aqli diwaliya bana diya hai. Maghribi samaj ne insani tareeqa ko laat maar kar janwaron ki tarah khada hokar khana shuru kar diya hai. Aaj Musalmanon ke yahan bhi isi rosh par amal ho raha hai aur hairat ki baat to ye hai ke kalmah ki azmat ko majrooh karne wale ye naam nihaad Musalman isi mein fakhr mehsoos kar rahe hain, isi ko taraqqi ka naam de rahe hain, isi ko zamana ki rosh keh kar apna sar fakhr se buland karne ki napak koshish kar rahe hain.
Musalmanon, Quran o Hadees ki roshni mein zara apne kirdar o amal ka jaiza lekar dekho aur seerat-e-Rasool alaihis salatu wassalam ke aaine mein apni seerat parakh kar dekho. Phir kahin tumhein ehsaas ho.
Zara socho to sahi kya taraqqi isi ka naam hai ke insaan insani rehan sehan aur waza qata bhoolkar janwaron ka tareeqa apna le? Mere khayal se koi bhi saleem ul fitrat insaan ise taraqqi nahi keh sakta. Balke ye to parle darja ki himaqat aur bewakoofi, zillat aur pasti hai. Agar aapko taraqqi ki jalwa samani dekhni hai, agar aapko taraqqi ki roshan shahrah dekhni hai, agar aapko taraqqi aur balandi ka haseen minar dekhna hai to ye aapko Europe aur America ke falak bos imaraton, buland o baala buldingo aur nigahon ko khaira kar dene wale parkon mein na milega. Balke haqiqi taraqqi ke anmol jawahir aapko Makkah ki guzargahon aur Madina ki gali kuchon mein milenge. Isliye apna ideal Europe aur America ko na banao, balke Madina ke Tajdar ko banao aur RasoolAllah alaihis salatu wassalam ke kirdar ko apnao.
Humein Karni Hai Shehanshah-e-Batha Ki Raza Joi Woh Apne Ho Gaye To Rehmat-e-Parwardigar Apni
Walima ek muqaddas sunnat hai jo saadgi aur shariat ke mutabiq anjam dena chahiye. Lekin aaj kal is par amal mein kai kharabiyaan aa chuki hain, jaise dolatmandon ko tarjeeh dena, maghribi tehzeeb ki taqleed, aur ghareebon ko nazarandaz karna. Humein Islami taleemat aur Nabi Kareem alaihis salatu wassalam ke uswa-e-husna ko madde nazar rakhtay hue apne rawaiye ko durust karna zaroori hai.

Humein Karni Hai Shehanshah-e-Batha Ki Raza Joi
Woh Apne Ho Gaye To Rehmat-e-Parwardigar Apni

Post a Comment