Parde ki ahmiyat aur afadiyat
Islam Mein Parde ki bahut ahmiyat hai Kyunki Parda Haya ka zaamin hai Aur haya aur pakizgi ko Allah Tala Pasand Pharma Ta Hai Parda jahan Allah Tala aur uske Rasool Sallallahu Alaihi wasllam ki hukm Ki tameel Hai Vahi Ba haya aur ba Parda auraten Kisi bhi muashre Mein reh kar pak damani ke sath zindagi Guzar sakti hain Kyunki Mardon pe ishq o Mohabbat Ka Junoon Jin Chand wajuhat se Sawar Hota Hai un mein ek aham tareen vajah khubsurti Aur banao Singar bhi hai aur jab auraten Parde Mein hongi Apni khubsurti aur banao Singar ko Chhupa kar rakhe Gi To mardon Ki Hawas Bhari nazron se Mahfooz Rahegi aur Mard bhi khwahishate nafsani ke fitne Ka Shikar Na Honge aur Parda hi Aurat ko Shaitan aur Shaitaan sifat Insan ke Shar se Mehfooz bhi Rakhta Hai Hamare urooj ke daur mein yani zamana Rasool Sallallahu Alaihi wasllam aur khulafa e rashedeen radiAllahu anhum aur salatine Islamia ke zamane Mein Na Is qadar buraiyan thi na hi is khayal Ke Log yah Ham isliye Bata rahe hain ki Kyunki Koi kah sakta hai ki aapki tajveez Mein buraiyon ki roktham mein kamyabi aur na Kami donon ke imkaan hain is Waqt unhen Apne urooj ke adwar ka Munh bolta Subot padhwaya Ja sakta hai aur Shayad isiliye Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne ise Imaan ka hissa bataya hai
Magar Jab Ham Pichhle Dhai Sau sal ke Maazi ka jayza Lete Hain To Pata Chalta Hai Ki Magribi tehzibo tamaddun ne Ba zabta Saazishen rachkar Islam aur musalmanon ko bharpur kamzor karne ki koshish ki aur apne maqsad mein bahut had Tak Kamyab bhi Hui Jahan musalmanon Ki Tijarat ejadad Hathiyar vagera ke zariye tarqqi aur taqat ki raah mein rukawat Bani (Muslim mumalik per hamle aur qabze ke zariye) Vahi Magrib ne Islam aur musalmanon ko dakiyanusi aur qadeem khyal bata kar Islami ahkaam ko freedom ka mukhalif Bata Kar Islami Talim ka Gala ghutne Mein Koi kasar Na chodi unhi mein se ek Hukum Islam Parde ka bhi hai jise ahle magrib aur unke zar khareed Parwarda Ne Azadi niswan ka mukhalif Bata Kar Jagah Jagah Parda aur Hijab per pabandi aaid ki aur Hamara muaashra yeh to din ba din magrib ki jaal mein fansta ja raha hai ise Ehsas Bhi Nahin ke Hamari riwayat aur iqdar ko Mita kar Khud hamen bhi Safa e Hasti se mukmmal khatma karne ka plan hai aur yah talimat Islam se Duri ki vajah se hai Jiske nataaij bhi Ham Dekh Rahe Hain ki jagah Jagah chhedchhad zina Kari vagaira Sare Aam ho rahe hain Kuchh Kami Hamari bhi hai woh Hai Islami talimat aur libas Ko Na Apna na
Parde ka hukam Quran mein
“tarjuma” “aur Musalman auraton ko Hukm do ke vah apni Nigahen Kuchh nichi rakhen aur apni parsai Ki Hifazat Karen aur apni Zeenat na dikhayen Magar Jitna (Badan ka hissa) khud hi zahir hai aur vah apne Dupatte Apne girebaanon per dale rakhen aur apni Zeenat zahir na Karen Magar Apne Shoharon per ya Apne Baap ya shoharon Ke Baap ya Apne beton ya shoharon ke bete ya Apne bhaiyo ya Apne Bhatijon ya Apne Bhanje ya apni (Musalman) auraton ya apni kanizon per Jo Unki milkiyat hon ya mardon mein se vah naukar Jo shohwat wale Na Hon ya woh bacche jinhen auraton ki sharm ki chizon ki khabar Nahin Aur Zameen Par Apne Paon isliye zor Se Na Mare ke Unki is Zeenat Ka Pata Chal Jaaye Jo unhone Chhupai hui hai aur aye musalmano Tum Sab Allah Ki Taraf Tauba karo is ummid per Ke Tum falah pao (Surah Noor)
dusri jagah ieshad farmata hai “tarjuma” aur Budhi khana Nasheen auraten jinhen Nikah ki Arzoo Nahin UN par Kuchh Gunah Nahin ke apne baalai kapde utaar rakhen Jab Ke Singar na chamkaye aur is se Bachna unke liye Aur behtar hai aur Allah Sunta Jaanta hai
(surah noor)
To aayaten Karima Ka jo tarjuma aapne Padha to is se dalalatan yah Baat Maloom ho rahi hai ki agar Khwateen zarurat ke Waqt Bahar nikalna pade To vah lambi Chadar (ya burqa vagera) pahankar Bahar nikalen is se Parda Sharai ke hukm ki tameel Bhi Ho Jayegi aur bahut sahulat ke sath Sharir Logon se Hifazat bhi JALABEEB JALBAAB ki Jama hai jo lambi Chadar ko kaha Jata Hai jis mein Aurat sar se pair Tak mastoor ho jaaye Jiski haiyat ke mutaliq Hazrat Abdullah Bin Masood unhone farmaya ke vah Chadar hai jo do Patte ke upar Odhi Jaati Hai (ibne kasir)
Hazrat Abdullah ibne Abbas radiAllahu anhu ne Iski Haiyat yeh Bayan farmai Allah Tala Ne musalmanon ki auraton Ko hukm Diya Ke Jab vah Kisi zarurat se apne gharon Se nikalen To Apne saron Ke Upar Se Chadar latka kar chehron ko Chhupa Len aur Aankh (Raste Mein dekhne ke liye) Khuli rakhen (ibne kaseer)
Parde ka hukm ahaadees Ki Roshni mein
Hazrat Abdullah se riwayat hai ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasllam Ne farmaya Aurat Parda Mein Rehne Ki chiz Hai Kyunki Jab vah bahar Nikalti Hai to shaitan use behkaane ke liye mauqa Talash karta hai (Jame timizi)
Hazrat Abdullah Bin Masood se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne farmaya ke aurat ka kamra mein namaz padhna Ghar (Angan) Mein namaz padhne se behtar hai aur andruni Kothri Mein namaz padhna Kamre Mein namaz padhne se behtar hai (sunan Abu Dawood)
Hazrat Umme Salma farmati Hain Ke Maine Rasool Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ke paas thi aur aap Sallallahu alaihi wasallam ke paas Hazrat memuna radi Allahu anha bhi thi Samne se Hazrat Abdullah Bin Maktoom (jo nabina the) tashrif laye aur yah Vaqya Parde Ka Hukum diye Jaane se Baad ka hai Huzoor Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Unse Tum donon Parda Karo Humne Arz Kiya ya rasulullah kya ye naabina Nahi Huzoor Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke kya tum dono bhi Aandhi Ho jo unhe Nahi Dekhti ho (sunan Abu Dawood)
Hazrat Abuzar radiAllahu anhu se rivayat hai ke Rasool Kareem Sallallahu Alaihi wasllam Ne farmaya ke Jisne Ijazat milne se pahle Parda Utha Kar Kisi ke ghar mein Nazar Dali goya ke usne Ghar Ki chhupi Hui chiz dekhli aur usne Aisa kaam Kiya Jo uske liye Halal nahin tha FIR Agar andar Jhankte Waqt Koi uski Aankhen fod deta to main us per Kuchh Na Kehta (yani Badla Na Dilata) aur agar koi shakhs Kisi Aise darwaze Ke Samne se Guzra Jis per Parda nahin tha aur vah Band bhi nahin tha FIR uski Ghar Walon per Nazar pad Gai to ismein uski Koi Galti Nahi balki ghar walon ki galti hai (jame tirmizi) Hazrat aayesha radiAllahu anha farmati Hain qafile hamare pas se Guzarte the aur ham Bahalate ihram Nabi e Akram Sallallahu Alaihi wasallam ke sath Safar e Hajj Mein the to Jab qafile Ke Log Hamare Samne Aate To Ham apni Chadar Sar Se Chehre par latka lete the aur jab qafile Aage badh Jaate To Ham Apne Chehre Khol lete the (sunan Abu Dawood)
Huzoor Akram Sallallahu Alaihi wasllam Ek Khatoon ko nasihat karte hue farmate hain aye haula Apne banao Singar ko Apne shauhar ke alava Kisi Aur Ke Samne zahir mat karna aye haula Kisi bhi khatoon ke liye jaaiz nahin hai ki vah apni khubsurti aur apne Pairon ko Apne shauhar ke alava Kisi gair Ke Liye zahir Kare aur Agar usne Aisa Kiya To vah Hamesha Allah Tala ki lanat aur ghazab Mein Rahegi aur us per Allah aur uske Farishte lanat Karenge aur Allah Qayamat Mein use Dard Nak Azab Mein mubtala Karega
In ahaadees se saaf Pata Chalta Hai Ki Parda karne ki ahmiyat aur zaroorat kya hai aur be pardgi Mein azab kitna hai
Be Pardgi ke Wajuhaat
ibteda Islami Mumalik mein be pardgi angrezi taleem ke zariye Yahoodo nasara ne Islami khwateen ke qulubo azhan Mein Azadi ka khyaal Dala halanke azadi ke naam per auraton ke tahaffuz per Hamla aur Pak damani ki Daag Dari Thi Jise taqreeban aksar musalmanon Ne Bhanp liya siwae Chand gine chune jo magribi tehzibo tamaddun Ke Dil Dada aur magribi taleem se mutasir nafs Parat the Magar Unki talim Ka Asar Badi sust raftari se chal raha tha phir unhone dusra Tarika apnaya yani mardon ko be hayai ke zariye nafs ka gulam Banaya Aur auraton Ko Azadi ki lalach Di to Islami mahaul Thoda Aur bigadne Mein Tez Hua phir video ka Daur Aaya ab sari mangharhat Kisse kahaniyan film ban gai aur Sare novel serial Magar is mein bhi Direct be hayai aur uryaniyat Nahin Dikhai Gai balke Bahut Der Se Asar Karne Wale zehar Ki Tarah Thodi be hayai aur be gerati phir batadreej mahinon Salon aur saikdon Sal mein uryaniyat aur be hayai Is qadar Aam Hui ke Allah Ki panah Ab To Har Haath Mein mobile maujud Hai jismein vah sare Gunah ke Saman Hai Jiske Liye pahle Kitni koshishen aur Jatan karne padte the ab Itni duhaiyon ke baad musalmano ko Ehsas bhi Hota Hai ke Ham magrib ki Jaal Mein fans Chuke Hain Magar Aadat Ne unhen be hayai aur be gerati per majbur kar diya
video ne be hayai ki tarbiyat Main aham kirdar Ada Kiya ke sadiyon Mein hone wala kam aur tajurba mehaz do ghante Mein samet Diya Is video aur Aala video ke zariye vah Apne bachon Ko To aala taleem aur Technology mein maharat Dete Hain Aur aam bashindon Ke Liye tafreeh be hayai aur aapsi Ranjish Ka saman muhyya karate hain Agar ise Bigad aur fasad ki tarbiyat gaah Kahen to mabni bar Hakikat Hoga Kyunki takriban 95% Musalman is Jal Ke Shikar Hain iska natija Hamari barbadi dekh hi rahe hain
Ek galat fehmi ka izaala
Baaz auraten Apne Ghar Ke Afraad Aur Rishtadaron se Parde ka khyal bhi nahin karti Halanke UN Se Parda wajib Hota Hai aur Mard bhi Unse ghul Milkar Rahte Hain Jab Ke UN par bhi ehteyaat lazim Hota Hai maslan ‘devar bhabhi’ ‘bahnoi Sali’ ‘chachi Bhatija’ ‘Jeth nandoi’ vagera baaz jahil to Unse Hansi majaq karna Apna haq samajhte Hain Jo laiqe Afsos hai
Hazrat Uqba Bin Amir radi Allahu anhu se riwayat hai ki rasulullah Sallallahu Alaihi wasllam Ne Irshad farmaya ke “naa Mehram auraton ke pass mat Jaya Karo Ek shaks Ne Arz Kiya Ya Rasool Allah Aurat Ke Sasural ke mardon ke mutaliq kya hukm hai huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne farmaya Ke Sasural Ke rishtedar To Maut Hain”
is hadees mein jo sabse ziyada qabile tawajjah cheez hai woh yeh hai ki Nabi Kareem Sallallahu alaihi wasallam Ne Aurat Ke Sasural ke mardon ko Maut Se tashbeeh di hai iska matlab yeh Hai Ki Aurat Apne Jeth Devar aur nandoi vagaira se aur ISI Tarah Sasural ke na mehram mardon Se Gehra Parda Kare Yun To Har na Mehram Se Parda karna zaruri hai lekin Jeth Devar aur unke dusre rishtedaron Ke Samne Aane Se Is Tarah Bachna zaruri hai Jaise log Maut Se bachne ko zaruri khyal Karte Hain haqiqat yah hai ki UN rishtedaron ke sath bahut zyada ikhtelaat Kiya jata hai aur Hansi Dillagi Tak nobaten aa Jaati Hain aur Shohar yah Samajhta Hai Ki yah To Apne log Hain Unse kiya Rok Tok ki Jaaye lekin Jab donon taraf se jazbat hon aur kasrat se aana jana ho aur Shauhar Ghar Se Bahar ho to Rafta Rafta khatra Ki Surat Ban Jaati Hai in hi Halat ke peshe Nazar Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasllam Ne Sasural ke mardon se bache Rahne aur sakht Parda karne ki takeed farmai hai aur UN Logon Ko Maut Ke Sath tashbeeh Dekar yah Bata diya hai ki UN Logon se Aise Dur Ho Jaise Maut Se Dur Rahte Ho
Har qism ke naa mehramon Se Parda zaroori hai
Baaz auraten Apne Devar Ki Chhoti Umar Mein Parvarish Karti Hain aur Jab vah Bada Ho Jata Hai To usse Parda karne ko Bura mahsus Karti Hain aur aib samajhti hain aur Agar mas,ala bataya jata hai ki yeh na mehram hai is se parda zaroori hai to kehti hain ki isko Humne Bachpan Hi Se Pala Hai Raat Din Sath raha hai is se kya Parda Hai yah bahut Bade Gunah ki baat hai ki aadmi gunah bhi Kare aur hukm e shariyat ke muqable mein apni Baton per arhi rahe yun to Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne devar ko Maut Ke Sath tashbeeh di hai aur jahalat ki vajah se auraten unke Samne Aane ko zaroori samajhti hain yeh Hai Musalman auraton ki Haqiqat
note
Parda haq sahara Hai Shohar ka Haq Nahi bahut si auraten samajhti Hain Ki Shohar Jis Se Parda Karae us se Parda kiya jaaye aur ISI Tarah Shohar Jiske Samne Aane ko Kahe Uske Samne a jaen yeh Soch aur samajh sarasar galat hai Shohar ya Kisi dusre ke Kehne se gunah Karne Ki ijazat Nahin Hoti Khoob samajhna chahie Amuman devar bhabhi behnoi sali Hansi mazaq ke sath Tanhai Mein Bhi Rahte Hain To unke liye Bhi Sune Hazrat Umar Radi Allahu anhu se riwayat hai ki Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad farmaya ke Koi Mard Jab Kisi Aurat ke sath (biwi ke alava) Tanhai Mein Hota Hai To vahan UN dono ke alava Teesra Shaitaan zarur maujud hota hai (tirmizi)
Be pardgi ka anjaam
Jo auraten Parda nahin karti aur alania Parde ki mukhalifat Karti Hain unke bare mein ahaadees mein badi waeed Aayi Hai Hazrat Abu huraira Radi Allahu anhu se riwayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Do giroh dozakhiyon Mein Se Hain Ek auraten Jo bazahir kapde pahne hue hain aur Dar Hakikat nangi Hain (yani Aise kapde pehanti Hain jis se Unka Parda Nahin Hota aur Badan Dikhta Hai aur jo maeel Karne waliyan hain khud mardon ki taraf ragbat karne waliyan ya Dupatta Sar per na dalne waliyan) Maeel karne waliyn matlab Matak chaal chalne waliyan (Taki Ajnabiyon ko farefta aur apne fitne Mein mubtela kar Saken)yeh Jannat mein dakhil nahin hongi aur na iski Boo Payengi halanke Jannat Ki Khushbu itni Duri se Pai Jaati Hai matlab Jannat Ki Khushbu bahut Dur Se Paai Jaati Hai Fir Bhi aisi sifaat ki auraten Khushbu Nahin Payengi (Islam Mein Parde ki ahmiyat)
phir Hadis Meraj mein bhi wazahat hai ke aap Sallallahu alaihi wasallam Aisi auraton ke pas se guzre Jin par sakht Azad ho raha tha jinmen se ek Apne Sar ke balon Ke bal latkai Gai Thi To Kisi Ke Chehre Kuchle ja rahe the kisi ke Honton Ko Aag ki kaichi se Kata ja raha tha jinhen sunkar rongte khade ho Jaate Hain aur yah to Azab ka ek namuna Hai Varna Allaha na Kare Kahin usse Bhi zyada aur Khatarnak Hue To Kya Hoga aur yah Qayamat se qabl qabar ka haal hai phir hashr aur usmein hisab aur baad hisab ka kya hal Hoga
ISI Tarah ek naujawan ek Majlis Mein halfiya Byan de raha tha ki Mere Ek Aziz ki Jawan beti faut Ho Gai tadfeen se farig hokar laute to Uske walid Ko Yad Aaya ke mera ek handbag jismein aham kagzat the vah qabar mein ladki ke sath Dafan ho gaya hai lihaza Humne nahayat Gauro khauz ke bad bag nikalne ke liye Dobara qabar khodi abhi Humne thoda hi khola tha ki khaufo dehshat Ke Mare chikhen nikal Gai Kyunki vah dosheeza Jise Humne abhi 4 ghante pahle thik thak saaf suthre Kafan Mein lapet Kar Dafan kiya tha vah Kafan faad kar uth Baithi Thi vah bhi kaman Ki Tarah terhi Iske balon Se Uske Pairon ko Bandh Diya gaya tha aur Chhote Chhote Kai khaufan Janwar usko lipte Hue The yah dehshat naak manzar Dekh Kar Hamari Himmat Na Hui ke handbag nikaalen aur Jaise Taise Mitti dal kar wapas Laut Ke Ghar Walon Se Uske mutaliq poochha ke Aakhir use Nav Jawan Ladki Ka Kya jurm Tha ke itne Khatarnak Azab Mein girftar Thi Ghar Walon Ne bataya ki koi Khaas Jurm To Nahin Magar Hamesha be pardgi barat ti thi abhi Chand din pahle rishtedar ki shaadi Mein jaane ke liye fashion Mein Baal Katwa diye the (Islam Mein Parde ki ahmiyat)
In waqiat se Hamari bachiyon ko Sabak Hasil karne ki zarurat hai aur apne nafs per control karne ki zarurat hai Varna Anjam Sabke Liye barabar hoga Uske kartoot ke aitbaar se
Auraton ka mazar wagairah par jana
Aksar ulama e mutaqaddimin ne namaz ke liye bhi auraton ko nikalne ko Makrooh qarar Diya Hai phir qabrastan aur Mazar par jane ka kya hal Hoga Iske mutaliq Ek fiqah ke imam Ki Rai bhi Sune Imam Qazi se Sawal hua ke auraton ka Mazar par jana jaiz hai ya nahin farmaya Aisi jagah jawaz aur adam jawaaz Nahin Puchte
Imam Qazi se istifta Sawal Hua ke auraton ka maqabir ko jana jaiz hai ya nahi farmaya Aisi Jagah Jawaz Adam Jawaz yani Jaiz aur na jaiz ka Nahin Puchte yah Poochho ke was mein Aurat par kitni laanat padti hai Jab Ghar se Quboor ki taraf chalne Ka Irada Karti Hai Allah aur farishton ki lanat Hoti Hai Jab Ghar Se Bahar Nikalti Hai Sab taraf se Shaitan use gher Lete Hain Jab qabar tak pahunchti Hai Maiyai ki rooh us per Lanat Karti Hai Jab tak Wapas Aati Hai Allah Ki lanat Mein hoti hai (fatawa rizvia)
Islam Ne auraton ki Izzat Aur aabru Aur pakdamni Ko khas ahmiyat di Hai Bahut Si Ibadat zarur Aham Hai Magar Jis Ibadat ke Ada karne mein Izzat aur Aabroo aur pak daamani ke latakne ka khatra ho to vahan bhi Izzat Ki Hifazat Hi Ko Tarjeeh Hasil Hai maslan huzoor Sallallahu Alaihi wasllam ke Daur Mein auraten Juma Namaz ke liye Parde Ke Sath jaati thi Apne mehramon aur shoharon ke sath Magar Jab Hazrat Umar Ke Daur Mein fitne badhne Lage to unhone auraton ki Izzat aur aabru Ki Hifazat ke pesh Nazar mana kar diya
Umra Bin Abdul Rahman kahti Hain Ki unhone Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki zauja mohtarma Ayesha siddiqa radiallahu anha ko Kahte Hue Suna “Agar Rasool Allah Sallallahu alaihi wasallam aaj auraton ki Karastaniya dekh lete to unhen Masjid mein aane se Mana farma date Jaise Bani Israel ki khwateen Ko Mana Kiya gaya tha” Ravi Kahte Hain Maine Umra Se poochha Kya Bani Israel Ki khwateen ko Masjid mein aane se roka gaya tha to unhone Kaha han (Muslim Sharif)
Chust libas aur burqa par design
Jahan Be hayai aur bepardgi urooj per Hai Vahi Aise kapde bhi wafir miqdar Mein Pai ja rahe hain jinhen auraten pehan kar bhi uryaan hoti hain aur Aaj awam Mein isi Ko maqbooliyat Bhi Hasil Hai yah Libas Kahin bilkul Khule Hote Hain jisse Kabhi Puri aasteen Kabhi pet Kabhi Ran Kabhi Bazu vagaira nange hote hain Allah Mehfooz Rakhe
Phir Aise Libas itne chust Hote Hain ke Badan ke utaar chadhav ke sath Puri hayat nazar Aati Hai is se Bhi zyada sharmnak Baat yah hai ki aajkal ke Naqaab bhi Fashion Ke Taur par banaye Ja Rahe Hain Jo bilkul chust aur design Daar hote hain naqab Parde Ke Liye aur fitne se bachane ke liye the Magar aaj ke design Dar nakab Khud fitne ka hissa hai illa MashAllah
Ek Martaba Hazrat Ayesha siddiqa radiAllahu anha ke pass Hafsa Bint Abdur Rahman Barik Dupatta Ud kar aai to Hazrat Ayesha siddiqa Ne unke Dupatta ko faad Dala aur Mota do Patta de Diya (Mota Imam Malik)
Is se Pata Chalta Hai Ki Barik libas jis se Badan Jhalak raha ho istemal nahin karna chahie
Waldain Ki zimmedari
Har walden Dane ki zimmedari hai ki Apne bachon Ko Bachpan Hi Se Ba haya banaen aur bilkhusus Apne Ghar Ki auraton Aur bacchiyon Ko Parde ka hukm den aur sakhti se shariat ka paband banaen
Allah tala Irshad farmata hai “aye imaan Walo apni janon aur apne ghar Walon Ko us Aag se bachao Jiska Indhan aadmi aur Pathar Hain (Surah tahreem)
Post a Comment