qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Har hal mein Allah ka shukar ada kijiye


Har hal mein Allah ka shukar  ada kijiye

Assalamu alaikum 

Dil ka shukr yeh hai ke aadmi ka dil Allah tala ki bepayaan nematon uske bepanah ehsanat aur uske anginat inaamat ke ehsas wa etraf ke jazbe se is tarah labrez rahe jis tarah ek dudhel bakri ka than dudh se labrez rehta hai yeh sirf ek tamseel nahi hai balke lafz shukr ki lugvi haqqeqat bhi kuchh is se milti julti hai

Dil jab Allah tala ki ehsan mandi ke jazbat se labrez rehta hai to jis tarah zara si harkat se ek labrez sagar chhalak jaya karta hai isi tarah Allah tala ki har choti ya badi nemat ki yaad aur uske mushahide se bande ki zaban se shukr ka koi kalma chhalak padta hai 

Jis shakhs ka dil is tarah khuda ki ehsan mandi ke jazbat se labrez rahe uska asar lazmi taur par uske aamal par bhi padta hai usko har woh amal dil se mehboob ho jata hai jis se is jazbe ko taskeen hasil ho sake aur isi ke barabar usko har us amal se nafrat ho jati hai jis se Allah tala ki kisi zahiri ya batini nemat ki na qadri ho rahi ho kisi nemat ki qadar ka haqiqi ehsas agar aadmi ke andar maujood ho to wo is baat par kabhi razi nahi ho sakta ke wo is baat par kabhi razi nahi ho sakta ke woh is nemat ko apne haqiqi mun,im hi ke mansha ke khilaf istemal kare 

Agar ek karam farma hamen ek torch inayat kare ke ham uski madad se andheron ki thokron se bach saken ek talwar inayat kare ke dushman ki mudafiat kar saken ek sawar inayat kare ke paidal chalne ki mashaqqat se bach saken to koi intehai darje ka kamina aur laeem hi hoga jo in sare asbab wa wassail ko usi karam farma ke ghar par hamla aur usi ke zan o farzand ko qatal karne mein istemal kare jisne yeh asbab o aslaha usko inayat farmaye isi tarah jis bande ke andar in nematon ka sacha ehsas hota hai jo khuda ne usko inayat ki hain wo is baat par kabhi raazi nahi hota ke in nematon ko woh shaitan ki baraari mein kharch kar le isi haqeeqat ki taraf hazrat aaisha siddiqa radiAllahu anha apne is khat mein ishara farmaya hai jo unhone hazrat ameer muawiya radiAllahu anhu ko likha tha woh farmati hain ke ,jis shakhs par inaam hua ho uske upar kam se kam jo zimmedari aaid hoti hai woh yeh hai ke woh us inaam ko usi ki nafarmani ka zariya na banaye jis ne woh inaam us par kiya hai 


Shukr ke jazbe ko bedar rakhen


Is shukr ke jazbe ko bedar rakhne ke liye chand baten nihayat zaroori hain 

Pehli to yeh hai ke aadmi ko uske zahir o batin mein Allah tala ki jo nematen mili hui hain unko barabar nigah mein rakhne ki koshish kare insan ke andar yeh badi kamzori hai ke agar woh kisi takleef mein mubtela ho jaye to woh uske zehan par chaubees ghante musallat rehti hai aur har kisi se uska zikr karta hai lekin Allah tala ki be shumar nematen jo usko har waqt hasil hain unse wo is tarah gafil wa be parwah rehta hai goya ke unka sire se wajood hi nahi hai agar aadmi ko nematon ke nemat hone aur nematon se berayab hone ka koi ehsaas hi na ho to woh mun,im ki qadar kya karega aur uske liye uske andar shukr ka jazba kya paida hoga is gaflat ko door karne ke liye zaroori hai ke jo usko Allah tala ne uske zahir o batin dono mein bakhshi hain balke iske mazahir is kainat ke goshe goshe aur chappe chappe mein phaile huye hain 

Tanhai mein kabhi kabhi gaur karte karte woh is pehlu se bhi soche ke bil,farz yeh nematen usko hasil na hoti to kya hota? Yeh aankh jis se wo dekhta hai us se woh mehroom hota yeh kaan jis se woh sunta hai yeh behre hote yeh hath jin se woh zor aazmai karta hai shil hote yeh paon jin se woh chalta hai maflooj hote to uska hashr kya hota? Aur sabse ziyada is baat par dhyan kare ke yeh dimagh jiski karfarmaiyon par woh sabse zyada naza hai khuda na khawasta ya maoof hota to uski gat kaya banti?

Dusri zaroori baat yeh hai ke aadmi is amr par bhi sath hi sath gaur kare ke Allah tala ne jo nematen hamen bakhshi hain bila kisi istehqaq ke bakhshi hain na hamara khuda par koi haq qaim tha na ham ne kisi nemat ka muaoza ada kiya hai aur na kisi nemat ka muaoza ada kar sakte hain phir woh jab chahe apni har nemat ko hum se chheen sakta hai koi uska hath nahi pakad sakta aaj apko takht shahi ki azmaten hasil hain kal woh aapke hath mein kasa e gadai pakda de to aap uska kya bigad sakte hain is wajah se kabhi bhi zillat o musibat mein pade huye aadmi ko nazr andaz karte huye guzar jane ki koshish na kijiye ke agar Allah tala usi halat mein mubtila kar deta ya aainda karde to aapko is cheez se kaun bacha sakega duniya mein musibat zida se musibat zida aur maflook se maflook aadmi jo aapne dekha ho yaad rakhiye ke Allah tala theek uski jagah par aap ko khada kar sakta tha aur usko aapki jagah de sakta tha lekin yeh uska fazl o ehsan hai ke usne aisa nahi kiya balke aapko us se nihayat behtar halat mein rakha 

Teesri zaroori baat apne andar shukr guzari ka jazba bedar rakhne ke liye yeh hai aadmi hamesha unhi logon ko dekhne ki koshish na kare jo apne asbab o wasail aur apne halat o zarai ke aitbar se us se behtar halat mein hoon balke un logon ko bhi samne rakh kar apna mawazna karta rahe jo har pehlu se us se farotar zindagi rakhte hain jo aadmi hamesha apne se behtar halat rakhne walon hi par nigah rakhta hai woh hamesha apni taqdeer se shaki aur apne rab se bad guman rehta hai uske dil ko sachi khushi kabhi hasil nahi hoti agar usko behtar halat mayassar aajayen jab bhi uska dil aasudah nahi hoga kyon ke yeh darja to usko behar haal hasil hone se raha ke is aasman ke neeche koi shakhs kisi etbar se bhi us se behtar halat main  na rahe is wajah se khuda ki shukr guzari ka sahi haq ada karne ke liye wahid rasta yahi hai ke aadmi un logon ke halat par nigah dale jo usi khuda ke bande hain jiska banda woh hai lekin in logon ko in chizon mein se koi ek chiz bhi hasil nahi hai jo usko badi wusat ke sath hasil hain 

sheikh saadi ki hikayat

Hazrat saadi rehmatullah alaih ki ek hikayat is haqeeqat ko nahayat khoobi ke sath pesh karti hai woh farmate hain ke apni ser o siyahat ke silsile mein woh damishq ya kisi aur shehar mein jab pahunche to unki jooti fat chuki thi aur unke paas itne paise bhi nahi tha ke woh nai jooti kharid saken woh farmate hain ke apni is gurbat ke sabab se mein dil mein nihayat malool tha aur bar bar yeh khayal zehen mein paida ho raha tha  ke is fazl o kamal ke baujood khuda ne mujhe is haal mein rakha hai ke mere paaon mein jooti bhi nahi hai farmate hain mein isi giraftgi ke sath shehar ki masjid mein dakhil hua wahan pahuncha to meri nazar ek aise shakhs par padi jis ke sire se paaon hi nahi the usko dekhte hi mein daf,atan apne rab ke aage sajde mein gir pada ke uska lakh lakh shukar hai ke usne mujhe jooti nahi to paaon to diye hain  yeh bechara to sire se hi paaon se mehroom hai 

Hazrat saadi ne apni is sarguzasht mein nihayat khoobi ke sath yeh baat samjhadi hai ke khuda ka shukar guzar banda ban ne ke liye duniya ko kis nigah se dekhna zaroori hai jo log duniya ko saadi ki nigah se dekhte hain unko qadam qadam par Allah tala ki wo nishaniya milti rehti hain jo unko khuda ke shukr par ubharti rehti hain lekin jin logon ka haal yeh hai ke woh yeh dekhte huye bhi ke kitno ke paas paaon hi nahi hain apni is mehroomi par khuda se saaki rehte hain ke unke paas kaar nahi hai woh kabhi bhi khuda ki shukr guzari ki taufeeq nahi paate ~

Mazmoon ka paigham yeh hai ke har hal mein Allah ka shukar ada karna chahiye, chahe halat kaise bhi hon. Shukr ada karna insan ko Allah ke kareeb le jata hai aur uske aamaal aur zindagi ko behtareen banata hai.


0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.