Ham Milad Kyon Manate Hain?
Milad-un-Nabi alaihissalat-wassalam ka jashn musalmanon ke liye ek azeem ibadat aur huzoor ki wiladat ki khushi ka izhar hai. Iska maqsad Nabi Kareem alaihissalatu-wassalam ke saath apni aqeedat aur mohabbat ka izhar karna hai. Yeh amal na sirf musalmanon ke liye barkat ka zariya hai, balke iski asar kafir tak pahunchti hai, jaise ke Abu Lahab ki misaal se samajh aata hai.
Daleel Number 2:
Jashn e Milad e Mustafa alaihissalat-wassalam ka izhar ~ masarrat o khushi ka naam hai jis se kafir bhi mustafeed hua hai
Chunanche Bukhari Shareef mein hai ke Hazrat Urwa farmate hain ke Subiya Abu Lahab ki kaneez thi jise usne (Huzur Nabi Kareem alaihissalatu-wassalam ki paidaish ki khushi mein) aazad kiya tha usne Huzur alaihissalat-wassalam ko doodh bhi pilaya tha. Abu Lahab ke marne ke baad uske baaz ahal (Hazrat Abbas radiAllahu anhu) ne use bahut buri halat mein khawab mein dekha aur us se pucha, "Marne ke baad tera kya haal hai?" Abu Lahab ne kaha, "Tum se juda hokar maine koi rahat nahi paai siwae iske ke mein thoda sa serab kiya jata hoon isliye ke maine (Huzur alaihissalat-wassalam ki wiladat ki khushi mein) Subiya ko aazad kiya tha." (Bukhari Sharif, Jild 2, Safah 764)
Iski sharah mein Fath-ul-Bari mein hai ke Hazrat Abbas radiAllahu anhu farmate hain ke jab Abu Lahab mar gaya to maine 1 saal baad use khawab main dekha ke woh bahut bure haal mein hai aur keh raha hai ke "Tumhare baad mujhe koi rahat naseeb nahi hui, lekin itni baat zaroor hai ke har peer ke din mujh se azab ki takhfif ki jati hai." Hazrat Abbas radiAllahu anhu ne farmaya yeh is wajah se ke Nabi Kareem alaihissalatu-wassalam peer ke din paida huye.
Natija
Abu Lahab, jo ek kafir tha aur huzoor alaihissalat-wassalam ka mukhalif tha, sirf wiladat ki khushi mein apni kaneez ko azaad karne par har peer ke din azab ki takhfif pa sakta hai. To andaza lagaiye ke ek musalman, jo huzoor alaihissalat-wassalam ka aqeeda rakhta hai aur unki mohabbat mein Milad-un-Nabi ka izhar karta hai, to uska darja aur ajar kitna buland hoga.
Milad-un-Nabi manane ka asal maqsad huzoor ki wiladat par Allah ka shukar ada karna aur apni aqeedat aur mohabbat ka izhar karna hai. Yeh amal Allah ki rahmat aur barkat ka sabab hai aur momino ke darjaat ko buland karta hai.
Post a Comment