qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Milad ki khushi manana iman ki pehchan hai

Milad ki Khushi Manana Iman ki Pehchan Hai  

Assalamu Alaikum  
Milad ki khushi manana iman ki pehchan hai. Har saal, jab 12 Rabi-ul-Awwal Shareef ki aamad hoti hai, tamam duniya ke sahi ul aqeeda musalman Nabi Kareem alaihissalatu-wassalam ki aamad ki khushi manate hain. Aamad ka charcha hota hai, aap alaihissalatu-wassalam ka zikr kiya jata hai, aur mohabbat ka izhar kiya jata hai.  

Milad ki khushi manana iman ki pehchan hai 

Ji haan, har saal jab 12 Rabi-ul-Awwal Shareef ki aamad hoti hai to tamam duniya ke sahi ul aqeeda musalman Nabi Kareem alaihissalatu-wassalam ki aamad ki khushi manate hain, aamad ka charcha karte hain, aap alaihissalatu-wassalam ka zikr karte hain. Aur yeh baat badi mashhoor hai ke koi kisi ka zikr isliye karta hai aur zikr wohi karta hai jisko us se mohabbat hoti hai. Aqeedat jitni zyada hogi, mohabbat jitni zyada hogi, tazkira bhi utna hi zyada hoga.  
Nabi Kareem alaihissalatu-wassalam ka farman hai:  
"Baap, bete, balke sare aafaq-o-nafs se zyada jis dil mein meri mohabbat na ho, woh momin nahi."  

Mohabbat kya hai?  

Mohabbat ek qalbi kaifiyat hai, dil ki ek chhupi hui haqiqat hai, jo poshida hoti hai. Iska zahoor zikr-o-azkar aur masarrat o shadmani ke izhar se hota hai, jis se duniya jaan leti hai ke falan ke deewane hain. Woh zikr ki mehfilen saja kar, juloos nikal kar, jhande lehra ke aur tarane gaa kar apni deewangi ka izhar karte hain. Yeh sabit ho jata hai ke Milad ki khushi manana iman ki shanakhat aur alamat hai.  

Ham khushi kyun na manayein?  

Nabi Paak alaihissalatu-wassalam ne tamam sahaba kiram ko jama farmaya aur unhen apni aamad ka zikr aur apni azmat batai:  
*"Main har daur mein behtar jamat mein raha, yahan tak ke main sabse behtar giroh mein paida hua. Main apne baap Ibrahim alaihissalam ki dua, Hazrat Isa alaihissalam ki basharat aur apni ammi jaan ka woh khwab hoon jo unhone meri paidaish se pehle dekha tha, ke unse noor bar aamad hua jinki wajah se un par Shaam ke mehlat roshan ho gaye."(Sahih Bukhari)  

Sabit hua ke khud Nabi Paak alaihissalatu-wassalam ne bhi apni wiladat ka zikr sahaba ki jamat ke samne farmaya. Ab ahle iman ko is amal par mazeed kaun si daleel darkar ho sakti hai?  

Milad manane ke fawaid: 

1. Tauheed ka elan aur shirk ki nafi:  
   Milad mana kar ham yeh wazeh karte hain ke huzoor alaihissalatu-wassalam Mehboob-e-Khuda hain, na ke Khuda, kyunki Allah ki shan hai "Lam yalid walam yulad."  

2. Shukriya ada karna  
   Milad mana kar Khuda ki sabse azeem nemat ka shukriya ada kiya jata hai.  

3. Shan-e-Rasool alaihissalatu-wassalam ka bayan:
   Milad mana kar duniya walon ko huzoor alaihissalatu-wassalam ki shan-o-shaukat aur rifat-o-manzilat se aagah karte hain.  

4. Khatm-e-Nubuwwat ka elan:  
   Milad mana kar yeh bata dete hain ke huzoor alaihissalatu-wassalam ke baad koi naya nabi nahi.  

5. Mohabbat aur pervi ka jazba:  
   Milad manane se mohabbat-e-Rasool alaihissalatu-wassalam mein izafa hota hai aur aap alaihissalatu-wassalam ki seerat muqaddasa ko sun kar pervi ka jazba ubharta hai, jo momin ke liye sarmaya-e-hayat hai.  

Khulasa 

Milad-un-Nabi alaihissalatu-wassalam ki khushi manana sirf ek tahwar nahi, balke mohabbat-e-Rasool ﷺ ka izhar aur iman ki pehchan hai. Is se na sirf huzoor alaihissalatu-wassalam ki shan aur rifat ka izhar hota hai, balke momin ke dil mein aap alaihissalatu-wassalam ki mohabbat mazboot hoti hai. Har ahle iman ka farz hai ke woh Milad manaye aur duniya ko huzoor ﷺ ki azeem shan se roshnaas karwaye.  
0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.