qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Allah ki raza ke liye mulaqat karne wala jannati hai

Allah paak ki raza ke liye mulaqat karne wala jannati hai 

Assalamu Alaikum  

Doston, aaj ham apne ird gird ke mahol par nazar daalain, to dil ko afsos hota hai. Har taraf nafrat aur aapas ki dushmani nazar aati hai. Padosi padosi ka dushman ban chuka hai, aur insaniyat aur bhai chara dheere dheere khatam hota ja raha hai.  

Agar ham islami taleemaat ka mutala karein, to hamein samajh aata hai ke aapas mein mohabbat aur bhai charay ki kitni fazilat aur ahmiyat hai. Jo nafrat aur burai ham samajh mein dekh rahe hain, woh sirf islami taleemat par amal karne se khatam ho sakti hain.  

Nabi Kareem alaihissalatu-wassalam ne farmaya:  

“Qayamat ke din Allah Ta’ala elan farmayega: Kahan hain woh log jo meri raza ke liye aapas mein mohabbat karte the? Aaj main unhe apne arsh ke saaye mein jagah dunga, jabke mere saaye ke siwa koi aur saaya nahi hoga.” (Muslim Shareef)  

Ek aur hadees mein hai:  

“Do log jo Allah ke liye aapas mein mohabbat karte hain, chahe ek mashriq mein ho aur dusra maghrib mein, Allah Ta’ala qayamat ke din unhein ikhatta karega aur farmayega: ‘Yeh woh shakhs hai jis se tu meri raza ke liye mohabbat karta tha.’” (Mazhari)  

Dekha aapne, ke aapas mein mohabbat aur Allah paak ki raza ke liye mulaqat karne ka kitna bada ajar hai.  

Hazrat Abdullah Ibn Abbas (Radi-Allahu Anhu) se riwayat hai:  
RasoolAllah alaihissalatu-wassalam ne ne farmaya:  
“Kya main tumhein na bataoon ke tum mein se jannati kaun hai? Nabi jannati hain, Siddiq jannati hain, Allah ke rasta mein shaheed hone wala jannati hai, aur woh shakhs jo door daraz ilaqe mein apne musalman bhai se sirf Allah paak ki raza ke liye mulaqat kare, woh bhi jannati hai.”  

Ek aur hadees shareef mein Nabi Kareem alaihissalatu-wassalam ne ne farmaya:  

“Jannat mein aise mehal hain jo itne saaf aur shaffaf hain ke unke andar se bahar ka manzar dikhai deta hai aur bahar se andar ka. Yeh mehal Allah paak ki raza ke liye mohabbat karne walon, aapas mein mulaqat karne walon, aur Allah ke rasta mein kharch karne walon ke liye hain.” (Tibrani)  

Doston, yeh sab hadeesain humein samjhati hain ke aapas mein mohabbat aur Allah paak ki raza ke liye mulaqat karna kitna afzal aur sawab ka kaam hai.  

Allah humein ek dusre se mohabbat karne aur mil jul kar rehne ki taufeeq ata farmaaye. Ameen.  
0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.