Shafqat aur rehmat ki taleem
Assalamu alaikum
Islam hamen shafqat aur rehmat ki taleem deta hai ab hamen yahan ye samajhna hai ke shafqat aur rehmat kise kehte hain to dosto aap yun samjhen ke hamko kisi insan chahe woh chhota ho ya bada ho us par zulm zyadati nahi karna chahiye balke uske sath achai aur meherbani se pesh aana chahiye yahi shafqat kehlati hai
Allah Tala ne huzoor Sallallahu Alaihi wasllam ko Sari kainat Ke Liye Karim wa shafiq bana kar Bheja Hai chunanche aapke rehmat aur shafqat ka tazkira karte hue Irshad farmaya “wama arsalnaka Illa rahmatal Lil Alamin”p17 “Tarjuma” “aur Humne Tumhen na bheja Magar rehmat Sare Jahan Ke Liye” ISI Tarah Ek dusre Maqam per Irshad farmaya “laqad ja,akum Rasulum min anfusikum azizun alaihi ma anittum harisun Alaikum bil muminina raufur Rahim” yani ” beshak tumhare pass Tashreef laye Tum me se woh Rasool Jin par Tumhara mashaqqat Mein padna Giran Hai Tumhari bhalai ke nahayat chahne wale musalmano par kamal Meherbaan” (p11)
[ads id="ads1"]
Jo doosron par Rehem nahi karta hai us par bhi Rehem nahi kiya jayega
Huzoor Sallallahu Alaihi wasallam zindagi Bhar rehmat o shafqat ka amli namuna pesh Karte Rahe Aur dusro ko bhi iski Dawat dete Rahe aur dusro par zulm o Sitam karne se Hamesha baaz Rehne ki taleem Di Chunanche Jo log dusro par Reham Nahin Karte aur Zulm o Jabar se kam lete hain unke liye bataur waeed aapne irshad farmaya ‘Jo doosron par Rehem nahi karta hai us par bhi ‘Qayamat ke din’ Rehem nahi kiya jayega (sahi bukhari)
ek Martaba Huzoor Sallallahu Alaihi wasallam Ek Aise unt ke pass se guzre jo Shadeed Bhuka Tha hatta ke Bhook ki vajah se uski Peeth pet Se Lag Gai Thi to junhi huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ki Nazar e rehmat us unt per Padi to aapne Logon Ko Mukhatab Karke Irshad farmaya tum log in gunge janwaron ke Mamle main Allah se daro in par Sawari Karo acchi tariqe se aur inhen Khao acche taur per (sunan abu dawood).. yani huzoor sallallahu alaihi wasallam hadees mazkoor mein Apni ummat ko taleem de Rahe Hain ke Insan to Insan Janwaron par bhi shafqat aur rehmat ka bartao karna chahiye aur hargiz unhen takleef nahin deni chahiye aur unhe acche tariqe se khilana pilana chahiye aur unhen quwwat e bardasht se Zyada bojh Nahi dalna chahiye aur na hi be rehmi se unhe Marna Chahiye Kyunki woh bhi Allah Tala Ki Ek makhlooq hain Aur Qayamat ke din unke bare bhi hisab dena Hoga (sahi bukhari)
[ads id="ads2"]
Aadmi ki magfirat aur aurat ka jahannam main jana
Hazrat Abdullah bin umar radiAllahu anhuma ki riwayat hai ki Huzoor Sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya “ek Aurat jahannam Mein Dali Gai Mahez is liye ke us ne ek billi ko bila wajah bandh kar rakha aur use khana pani bhi nahi diya aur na hi use chhoda ke ghas phus hi kha leti (aur apni jaan bacha leti) (bukhari shareef)
isi Tarah hazrat abu huraira radiAllahu anho ki riwayat hai ke huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya Ek shakhs Rasta tai kar raha tha to use shadeed pyas ka ehsas hua woh ek kuyen ke paas ruka aur pani pi kar jane laga to uski Nazar Ek kutte per Padi Jo tez tez hanp raha tha Aur Pyas Ki vajah se kichar kha raha tha to us shakhs ne apne dil Mein Socha ke ise bhi wahi chiz(sakht pyas) pahunchi hai jo Mujhe pahunchi thi Uske bad us ne Apne chamde ke moze Mein Pani Bhara aur usko Apne Munh se Pakda aur phir kuyen per Chadha aur usko serab karke Allah ka shukar ada Kiya to Allah Tala ne us shakhs ki magfirat farma di (sahi bukhari)
har jandar ke badle main ajr diya jayega
Sahaba e kiram ne arz kiya ya rasoolAllah sallallahu alaihi wasallam kya hamen janwaron ke sath husn e sulook main bhi Ajr Milega to huzoor sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya “har jandar ke badle main ajr diya jayega”yani jis tarah insan ke sath bhalai ya burai karne se is ka badla diya jayega isi tarah har jandar ke sath achai ya burai ka badla diya jayega aur is par sawab o azab bhi murattab honge
aap ne uper post padh kar ye samajh liya hoga ke hame har hal main shafqat aur meherbani karna chahiye aur yahi hamen islam taleem deta hai !
Post a Comment