Namaz ki Barkat se Jaan Bachi
Assalamu Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuh
Aaj main is post mein namaz ki barkat ke bare mein batane wala hoon. Waise to namaz ki barkat aur fazilat be-shumar hai, lekin main yahan par sirf ek waqia likhne ja raha hoon, jo ke namaz ki barkat se ek quli (mazdoor) tajir ki jaan bhi bachi aur uska maal bhi salamat raha.
Jaan aur Maal ki Salamati
Kufa mein ek bahut hi ameen aur qabil-e-aitmad quli (mazdoor) tajir rehta tha, jo logon ki qimti amanaten door-door ke shehron mein pahunchaya karta tha. Ek martaba woh logon ka qimti saman aur naqdi wagairah lekar khachar par sawar hokar safar mein rawana hua. Raste mein ek makkar daku, jo apahij (langda) ban kar baitha hua tha, mila. Makkar daku quli se gidgida kar kehne laga:
"Bhai, main chalne-firne se majoor hoon. Khuda ke liye, tum mujhe apne khachar par sawar kar lo. Mein tumhein ek deenar kiraya dunga."
Bhola bhala quli makkar daku ke daam-e-fareb mein aa gaya aur reham khakar daku ko khachar par sawar kar liya. Quli aam sadak par chalne laga. To makkar daku ne kaha:
"Bhai, yeh rasta to bahut lamba hai. Main tumhein bahut qareeb ka rasta batata hoon. Is raste mein ghas-pani bhi bahut zyada milega."
Quli us makkar daku ke fareb mein aa gaya aur uske bataye hue raste par chal pada. Lekin abhi thodi hi door chala tha ke ek khaufnak jangal aa gaya. Quli ne dekha ke wahan bahut si lashon ki haddiyan aur khopdiyan padi hain aur aage rasta band hai. Wahan pahunch kar yeh makkar daku khachar se utra aur kamar se khanjar nikal kar quli ko qatal karne ka irada kiya.
Quli ne hairan ho kar kaha:
"Bhai, yeh kya kar rahe ho?"
Makkar daku ne garaj kar kaha:
"Khabardar! Ab tum bachkar yahan se nahi ja sakte. Dekh lo, yeh sab tumhare jaise musafiron ki khopdiyan hain, jinko fareb se lekar maine yahan qatal kiya hai aur unka maal loot liya hai."
Quli ne nihayat aajizi se kaha:
"Bhai, tum sara maal aur saman le lo, magar Khuda ke liye mujhe qatal na karo."*
Har chand aajizi ke sath rota aur gidgidata raha aur jaan ki aman maangta raha, magar woh saffak daku, jiske dil ki jagah shayad sakht patthar ka tukra tha, bilkul reham nahi khaya. Har taraf se mayoos hokar quli ne kaha:
"Acha, tum mujhe do rakat namaz padh lene do. Uske baad tum mujhe qatal kar dena."
Jallad daku ne qehqaha lagaya aur kaha:
"Acha, jaldi kar."
Quli ne namaz shuru kar di. Alhamdu Shareef padhne ke baad pareshani mein koi surat yaad nahi aai. Idhar jallad daku khanjar chamka-chamka kar taqaza kar raha tha ke jaldi namaz khatam kar. Be-ikhtiari mein quli ki zaban par yeh aayat mubarak jari ho gayi:
"Amma yujibul mudtarra iza da’aahu"
*(Yani, Khuda ke siwa kaun hai jo majboor ki pukar suney, jab woh majboor usko pukare?)*
Quli is aayat ko padhne laga aur uski aankhon se aansu ki dhar uske rukhsar par behne lagi. Abhi ek rakat bhi puri nahi hui thi ke achanak jangal mein se ek sawar namudar hua aur us makkar daku ki gardan par aisi shamshir mari ke uska sar kat kar gir pada. Aur ek dam uski lash par gaibi aag ke shole baland ho gaye.
Quli ne salam pher kar dekha to daku ki lash jal kar khak ho chuki thi. Quli ne sajdah-e-shukr ada kiya aur gaibi sawar se daryaft kiya:
"Khuda ke liye, itna bata dijiye ke aap kaun hain aur kis tarah tashreef laye?"
Gaibi sawar ne kaha:
"Main 'Amma yujibul mudtarra' farmane wale Malik o Maula ka ek banda hoon, aur usi ke hukm se main tumhari madad ke liye yahan aaya hoon. Ab tum be-khauf ho jao aur jahan chaho chale jao."
(Nuzhatul Majalis)
Khulasa
Dekha aapne, yeh hai namaz ki barkat! Namaz ki barkat se jaan bhi bachi aur sara maal bhi mehfuz raha. Allah Ta'ala hum sabko namaz ki pabandi karne aur uski barkat se mustafid hone ki taufiq ata farmaye. *Ameen.*
*JazakAllah Khair!*
Post a Comment