qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Namaz ka Faida

 

Namaz  

Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuh  

Doston, namaz ke bare mein, yani namaz ki fazilat, namaz ki barkat, namaz ki ahmiyat wagairah, jitna bhi likha jaye, kam hai. Namaz ki beshumar fazilat hai. Namaz ke bare mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya hai ke, "Is mein meri aankhon ki thandak hai." Ab yahan par hamko zara gaur karna chahiye ke jis namaz ke bare mein Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) farma rahe hain ke ismein meri aankhon ki thandak hai, to kya hum us namaz ki pabandi kar rahe hain? Humein is baat par gaur karna chahiye. Namaz ek ahem fariza hai, use ada karna chahiye, aur ye yaad rakhiye ke namaz ahem fariza hai. Iska munkir (inkar karne wala) kafir hai, aur tarik (namaz chhodne wala) sakht gunahgar hai.  

Quran mein Namaz ka Hukm  

Allah Ta'ala ne Quran mein irshad farmaya hai: *"Namaz qaim karo."* Quran Majeed mein bahut si jagah namaz padhne ka, namaz qaim karne ka hukm diya gaya hai. Namaz padhne ka sawab bhi bayan farmaya gaya hai aur namaz padhne walon ki tareef bhi ki gayi hai.  

Namaz ka Faida  

Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne panch namazon ke mutalliq ek behtareen misal bayan farmai hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya:  
"Batao, agar kisi ke darwaze par ek naihar (nahar) jari ho (behti ho) aur woh shakhs har roz panch martaba us naihar mein nahaye (ghusl kare), to kya uske badan par koi mel (gandagi) reh jayegi?"  
Sahaba (Radiallahu Anhum) ne arz kiya: *"Nahi, Ya Rasulullah (Sallallahu Alaihi Wasallam)."  
Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: **"Pas yeh hai misal panch namazon ki. Jo shakhs ye panch namazen padhta rahega, to Allah Ta'ala inke zariye uske gunahon ko mita dega." (Mishkat Shareef)  

Namaz ki Ahmiyat  

Namaz badi hi ahem aur mufeed hai. Musalmano par ye farz hai, balki sabse zyada mehboob Allah Ta'ala ko yahi amal hai, yani namaz.  

Natija

Bas aakhir mein yahi bolunga ke namaz ki ahmiyat ko pehchano aur namazi ban jao! Allah Ta'ala hum sab ko namaz ki pabandi karne aur iski ahmiyat samajhne ki taufiq ata farmaye. *Ameen.*  

*JazakAllah Khair!*
0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.