qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

islam kehta hai logon ko maaf karo aur insaf karo

Afo darguzar ki talim 

Afo darguzar ki mani kya hain aur kise kehte hain ise ek misal se samajhiye ke agar aap par koi zulm karta hai ziyadati karta hai marta hai to badla lene ke bajaye us shakhs ko maaf kar dena affo dar guzar kehlata hai yani khata wa qusoor ko maaf karne wala 

Islam ki tarqqi aur nashr o Isha,at mein afo dar guzar ka bahut aham kirdar raha hai huzoor sallallahu alaihi wasllam ne hamesha afo darguzar se kam liya hai aur apni ummat ko bhi iski talim di hai yahi wajah hai ki Fatah Makka ke mauqe per aapne tamam kuffar Makka ko maaf farmaya aur afo darguzar ki aisi misal qaim farmai ke jiski kahin Nazeer Tak nahin mil sakti hai aapne kuffar Makka ko mafi ka parwana dete huye Irshad farmaya Aaj tumse koi muwakhza nahin hoga Allah tala tumhare sare gunahon ko maaf farmaye aur woh sab se zyada Reham farmane wala hai jao aaj meri taraf se Tum sab Azad Ho aur phir iska natija yah hua ki kuffar Makka jauq dar jauq dakhil e Islam hone Lage 

[ads id="ads2"]

huzoor sallallahu alaihi wasallam ne apni ummat ko afo darGuzar ki taleem dete huye Irshad farmaya Jo tumse qata talluq Kare Tum us se talluq qayam karo Jo tumhen mehroom Karen Tum use aata karo aur jo Tum par zulm kare Tum use maaf Karo yani agar koi zulm o jabar Karta hai to hamen iska intqam Lene ki bajaye maaf kar dena chahiye taki qayamat mein uske badle mein sawab mile lekin yad rahe Islam mein afo darGuzar ki ek had mutayyan hai aur woh yeh hai ki kisi ke huqooq ki pamali na hone paye aur na hi kisi qism ki Sharai kharabi lazim aaye 


Adal aur Insaaf ki talimat 


Adil ke Mani har Saheb haq ko uska haq pahuncha 

adal khwah adalat main ho ya ikhlaq o sifat main etedal aur tawassut huzoor sallallahu alaihi wasallam ki zaat girami mein badarja e atam maujud tha Allah tala ne aap ko Puri kaynaat mein sabse bada Amin Sabse badhkar aadil aur raast baaz  banaya yeh woh Roshan Haqiqat hai jisko aap ke bade se bade dushmano ne bhi barsar o chashm qabool kiya hai chunanche aapke elaan e nabuwat se pahle hi pahle ahle Makka aapko sadiq aur Amin ke muazzaz laqab se yad karte the aur aapke paas apni amanaten bhi rakhte the 

huzoor sallallahu alaihi wasallam jis tarah khud adal o Insaaf ke paikar the ISI tarah dusron ko bhi iski talim dete rahe chunanche jab Hazrat Osama Radi Allahu anhu ne ek makhzumi aurat ke liye hudud mein takhfif ki sifarish ki niyat se huzur sallallahu alaihi wasllam ki bargah mein hazri di aur sifarish ki to huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Khade hokar Irshad farmaya aye logon beshak Tum se pahle Jo qaume thin woh Gumrah Ho gain kyunki jab unka koi Sharif aur ba rutba shakhs chori Karta to use chhod dete aur un par koi hadd qaim nahi karte  lekin jab koi kamzor aur Garib shakhs chori Karta to us per had qaim karte khuda ki qasam agar Fatima bint Muhammad sallallahu alaihi wasallam bhi chori Karti to muhammad sallallahu alaihi wasallam uska bhi hath kat ta

[ads id="ads1"] 

ISI tarah jab huzoor sallallahu alahi wasallam marzul wisal main the to aapne member per Khade hokar logon ko mukhatab karke Irshad farmaya jis kisi ki peeth par maine kora mara hai to meri peeth hazir hai woh mujhse badla le le aur jis kisi ke Mal Ko maine (na haq) Liya hai to Mera Mal Hazir hai woh mujh se le le aur jis kisi Ko main ne Bura kaha hai aur use be izzat Kiya hai to main Hazir hoon mujhse uska badla le le 

Ahadees mazkoora mein huzoor sallallahu alaihi wasallam ne hamen is baat ki taleem Di hai ki haalat kaise bhi hon hamen adal o Insaaf se kam Lena chahie Amir ho ya Garib Badshah ho ya faqir har EK par yaksa nazar honi chahie kisi ki haq talfi nahin karni chahie balke har Sahib haq ko uska pura pura haq pahunchana chahiye


0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.