Das sahaba RadiAllahu anhum ko jannati hone ki basharat
assalamualaikum
is post main ye batane wala hoon ke woh khush naseeb sahaba jinko rasoolAllah sallallahu alaihi wasallqam ne duniya main hi jannat ki basharat dedi woh kaun hain aur unke naam mubarak kya hain
sabse pehle aap yeh bhi jaan lijiye ke sahaba kise kehte hain sahabi rasool kaun hain to iska jawab yeh hai ke sahabi use kehte hain jisne iman ki halat main nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ki ziyarat ki ho dekha ho aur imaan ki halat main is duniya se parda farmaya ho yani imaan ki halat main jiska wisal hua ho use sahabi kehte hain !
[ads id="ads1"]
dunya hi main jannat ki basharat pane wale sahaba kiram
yeh woh mubarak jamat hai jisko nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ne khususi taur par dunya hi main jannat ki basharat ataa farmadi
kitne sahaba hain jinko duniya hi main jannat ki basharat dedi gai aur unhain kya kaha jata hai
Das ( 10 ) sahaba kiram ko jannat ki basharat dedi gai duniya hi main aur unhain ashrah mubasharah kehte hain yani ashrah mubasharah ka matlab hota hai "woh das sahabi jinko huzur sallallahu alaihi wasallam ne unki zindagi hi main jannat ki basharat di thi"
[ads id="ads2"]
jannat ki basharat pane wale sahaba ke name
jannat ki basharat pane wale sahaba ka name hadees shareef main hai
riwayat hai hazrat abdur rahman bin auf se ke nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya
abubakr jannati hain
umar farooq jannati hain
usman gani jannati hain
ali jannati hain
aur talha jannati hain
aur zubair jannati hain
aur abdur rahman bin auf jannati hain
aur saad ibn abi waqas jannati hain
aur saeed ibn zaid jannati hain
aur abu ubaidah bin jarrah jannati hain.
(tirmizi shareef ibn maja)
[ads id="ads3"]
yeh woh hadees shareef hai jiski bina par is jamat ko ashrah mubasharah bil-jannah kaha jata hai yani ek hadees shareef main in dason ko naam banaam jannat ki basharat di gai warna huzur sallallahu alaihi wasallam ke har sahabi mubashar bil-jannah hain
Allah paak ka farman hai * wa kullaon wadallahul husna * Allah ne sahaba se husnaa ka wada kar liya matlab har sahabi jannati hai subhanAllah
apni raai ka izhar comment box main zaroor den
Post a Comment