qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Quran paak ki tilawat kis tarah Karen

Ham Quran Hakeem ki tilawat kis tarah Karen 

Assalamu alaikum

duniya ki koi dusri kitab aisi nahin jisne Apne padhne walon Ko Apne mazameen par Gaur karne ki itni takeed ki Ho jitni Quran Hakeem Apne padhne walon se karta hai Quran ne baar baar ye taqaza kya hai ki uske zameen par gaur kiya jaye uske mani khoob soch samajhkar maloom kiye jaen aur uski batai Hui hidayaton par mukammal tawajjah aur pura pura Dhyan Diya jaye lekin yeh bhi ek Haqeeqat hai ke duniya ki shayad hi koi dusri aisi kitab Ho jise bila soche samjhe is qadar pada gaya ho jitna Quran Hakim ko padha jata hai mamuli se mamuli chiz bhi agar koi shakhs padta hai to barabar is koshish mein Laga rehta hai ki uska dimag hazir rahe aur woh jo kuchh padh raha hai uska kuchh Na kuchh matlab uski samajh mein zarur aata chala jaaye aur padhne ka yeh matlab ki zaban par padhe jane wale Alfaz hon aur zehan o dimag bilkul kisi dusre khayalat se bhare hue Hon kuchh Ajeeb sa maloom hota hai jo Shayad tilawat Quran ke alava kisi dusri padhi jaane wali chiz mein nazar hi nahi aata is baare mein bataur uzr yeh kaha ja sakta hai ki jo log Arabi nahin jante woh majbur Hain isliye Barkat wa sawab hasil karne ke liye Mahez tilawat kar liya karte hain yeh uzr bajaye khud bekar aur be Jaan hai isi ke sath afsos Bala a afsos to yeh hai ki Quran pak ko Mahez tabarruk aur sawab ke taur par padhne ka riwaj Arabi janne Wale Ko bhi mutasir kiye bagair Na Reh saka kitne log aise Hain Joarabi jante hain lekin jab woh tilawat ke liye baith te Hain to Suraton per Surat aur paaron par pare padhte chale jaate Hain aur is pure waqt mein unke zehan aur dimag mein qurani hidayaton ke mafhoom wa matalib nahi hote


[ads id="ads1"]


Quran pak Allah ka Kalam hai aur Mutabarrak Kalam hai


bila shubah iska yunhi dohrana padhna aur tilawat karna bhi mojab sawab aur baais e ajr  hai agar tilawat karne wala khuloos ke sath tilawat karta hai to Insha Allah khuda ke yahan uska bhi behtarin ajr wa badla milega Magar sawal yeh hai ki kya quran Hakim ka is tarah tilawat kar lena kafi hai ? khana khana zindagi ke liye zaruri hai aur sehat wa tandrusti ke liye mufeed hai Lekin khushrang Khano ko dekhna aur us ki bhookh badhane wali khushbuon ko Soongh na bhi to Farhat ka sabab hai ab agar koi shakhs khane ka matlab itna hi samajh le ki Bus use dekha hi Karen aur uski khushbu se lutf liya Karen to aisi Surat main uski sehat barqarar reh sakti hai ? aur kya aap uske zinda Rehne ka yaqeen kar lenge zindagi aur sehat ke mutalashi ko khana khana zaroori hai Jo koi pet bhar kar khaega yaqinan tandrust rahega aur jo koi ek dam baraye Naam khayega woh is se itna hi fayda utha sakega 

[ads id="ads1"]

Allah ka Kalam uski nazil ki Hui hidayat Insan ki ruhani aur ikhlaqi zindagi ke liye ek zaroori giza hai

iske bagair yeh zindagi baqi nahin reh sakti Jo shakhs is giza se jitna fayda hasil Karega uski ruhani aur ikhlaqi zindagi utni hi behtar hoti jayegi wo log jo is giza Ko istemal Na Karen aur sirf uski khushbu aur rang hi se lutf uthane ko kafi samajh len unki ruhani aur ikhlaqi zindagi ki Baqa ki kya ummid ki ja sakti hai aise log agar is baat ki khwahish rakhte Hain ki quran ke mafhoom se bhi waqif hon to unhe chahie ke tarjume wale Quran ka musalsal aur khoob Gaur fikr ke sath mutala Karen Quran pak ki ibarat ka sidha sada ba muhavra tarjuma samajhne ke liye ala Hazrat fazile Barelvi imam Ahmad Raza Qadri Rahmatullah Alaih ke tarjuma Quran se madad le sakte hain is tarjume ko aap Arabi ibarat ke sath bar bar padhen aur koshish karen ke aapko har lafz ka matlab alag alag maloom Ho jaaye ibteda main yeh kam kuchh mushkil nazar aaega lekin bahut jald aap andaza kar lenge ke is tarah alag alag alfaz ke Mani mutain karne mein aapki dushwari din BA din kam hoti ja rahi hai aur inshaAllah bahut jald iska fayda mehsus hone lagega bus lagan shart hai

 

[ads id="ads2"]


Niyat ki pakeezgi. 


Quran pak ke mutale ke liye niyat ki pakizgi shart hai yani iske mutale ka maqsad hidayat hasil karna ho is maqsad ke alava agar koi dusra maqsad samne rakh kar tilawat ki jayegi to is se woh fayda hasil Na hoga jiske liye Allah tala ne Quran nazil farmaya hai 

Quran ek aisi kitab hai jo Apne piche ek Ajeeb o Garib aur mustanad tarikh rakhti hai yahi woh kitab hai jisne dekhte dekhte ek Puri qaum mein aisa Inquilab barpa Kiya ki woh qaum aage badhkar Alamgir inqilab ki alamdar ban gai is kitab ne insani zindagi ki Kaya palat di logon ke sochne ka dhang unke samajhne ka Andaaz Nizam e siyasat tarz e muashirat garz ke Puri zindagi ka Naqsha hi Badal Diya Puri Insani tarikh mein is inqilab ki misal nahi milti 


[ads id="ads2"]


Apne Ko badalne ka irada 

Quran na to tareekh e Alam ki koi kitab hai aur na tafreeh aur Mahez Dil behlane ke liye jama kiye hue wazon ka majmua hai balke yeh kitab Insani zindagi ki hidayaton aur rehnumai yon ka Azeem tareen majmua hai ek zinda Tehreek ka Dastur ul Amal hai yeh Apne mukhatibon ko kuchh kam karne par ubharti hai aur kuchh kam karne se rokti hai apne maan ne walon mein kuchh sifat paida karna chahti hai aur kuchh kharabiyan dur karne per zor deti hai aur jis kitab mein itni sari khubiyan hon use Mahez padhne ke liye padhna uske maqsad ki takmeel mein madadgar nahi ho sakta isliye Jo log is par iman rakhte Hain unke liye zaruri hai ke woh is tarah is kitab ka mutala Karen ke uski bataei Hui har baat par Amal karne ko taiyar aur Amada Ho jaen


0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.