quran main sab se aakhir main kaun si ayat nazil hui hai
assalamu alaikum ..
quran e kareem ki woh aayat e mubarak jo nuzool ke etbar se sabse aakhir main nazil hui hai us aayat ke bare main jan len lekin us se pehle do char baten quran majeed ke bare main aur padh len inshaAllah momin ka imaan taza ho jayega !
duniya main sab se ziyada padhi jane wali kitab kaunsi hai
ji han duniya main jo sabse ziyada kitab padhi jati hai woh kitab quraan majeed hai aur quran shareef aasmani kitab hai jo nabi kareem sallallahu alaihi wasallam par nazil hui
quran kareem duniya ke tamam insanon ki hidayat ke liye hai
quran shareef ke kul 30 pare yani tees hisse hain aur unke undar 114 suraten hain in suraton main 2 tarah ki suraten hain
kuchh surah makki hain
kuchh surah madani hain
makki surah kise kehte hain makki un suraton ko kehte hain jo us zamane main nazil huin jab hamare huzur sallallahu alaihi wasallam makka muazzama main the ..
madani surah kise kehte hain madani un suraton ko kehte hain jo madeena munawwarah main nazil huin
ab aaiye jo uper sawal hai uska jawab padh len sawal yeh hai quran shareef ki kaunsi aayat sabse aakhir main nazil hui hai ?
to iska jawab yeh hai ke quran majeed ki jo sabse aakhri aayat nuzool ke etbar se jo hai woh surah baqrah ki aayat mubarak ::wattaqu yauman turjaoona fihi ilallahi summa tuwaffa kullu nafsim maa kasabat wahum la yuzlamoon :(surah baqrah para 3 ) hai jiska urdu tarjama yeh hai " aur daro us din se jis main Allah ki taraf firoge aur har jaan ko uski kamai puri bhar di jayegi aur un par zulm na hoga "
mujhe ummid hai post pasand aayegi to like and share zaroor karen
Post a Comment