qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Duniya main sab se ziyada padhi jane wali kitab Quran hai | quran ko quran kyon kehte hain ?

Duniya mein sabse zyada padhi jane wali kitab Quran hai

Assalamu alaikum 

Quran kareem ki khususiyat main se ek khususiyat ye bhi hai ki yah kitab quran majeed duniya ki sabse zyada padhi jane wali kitab hai 

Quran majeed poori insaniyat ke liye Allah ta’ala ka itna bada inaam hai ke duniya ki koi badi se badi daulat iski hamsari nahi kar sakti yeh woh nuskha e keema hai jiski tilawat jiska dekhna jiska sunna sunana sikhna sikhana aur jis par amal karna aur kisi bhi haisiyat se jiski nashro ishaat ki khidmat sar anjam dena kaunain ki sa’adat uzma ke husool se kam nahi 


[ads id="ads1"]

Hadees shareef 

Nabi sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya “tum mein se sabse behtar wo shakhs hai jo khud quran ki taleem hasil kare aur logon ko iski taleem de” (bukhari shareef)

Asl topic ke taraf aate hain ki quran sabse zyada padhi jane wali kitab hai is main koi shak nahi ke quran duniya ki sabse zyada padhi jane wali kitab hai 


[ads id="ads1"]

Daleel saboot 

quran duniya ki sabse zyada padhi jane wali kitab hai iski daleel yeh hai ki din mein 5 namazen farz hain aur har namaz quran ki tilawat se hi ada ho sakti hai aur chaubees ghante main se har ghante main duniya ke mukhtalif mumalik main mukhtalif auqat main panchon namazen baik waqt padhi ja rahi hain maslan agar hindustan mein waqt asar hai aur asar ki namaz padhi ja rahi hai to aage usi waqt indonesia main maghrib padhi jati hai mazeed aage usi waqt australia vagairah mein isha ka waqt hota hai aur usi waqt suraj aur zameen ke upar se chakkar kaat kar america ki aakhri maghribi riyasato par tulu hone wala hota hai aur log namaz fajar main masroof hote hain is tarah 24 ghante main har ghante mein poori rue zameen par 1 arab se zaaid musalmano ki zaban “alhamdulillahi rabbil alamin ar rahmanir rahim maliki yaumiddin iyyaka na'budu wa iyyaka nastaeen ihdinas siratal mustaqeem siratal lazina anamta alaihim girl magdubi alaihim walad dallin “ surah fatiha ke padhne mein magan hoti hain 


[ads id="ads2"]

Sabit ho gaya 

To bila mubaliga duniya ki koi kitab is qadar nahi padhi ja sakti jis qadar quran amalan padha jata hai isliye lafz quran ka madah ishteqaq “qira’at” bataya gaya hai jiska ma’ani padhna hai ba ma’ani “maqruo” yani padhi jane wali kitab chun ke yeh sabse zyada padhi jane wali kitab hai isliye iska naam QURAN hai 


[ads id="ads2"]



0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.