qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Darood Paak Padhne Wale Par inaam e khuda wandi

Darood Paak Padhne Wale Par inaam e khuda wandi

Assalamualaikum

AAP uper title padh kar andaza laga liya hoga ke meri yeh post kaunse topic par hone wali hai 

Darood shareef ek aisa amal hai ke aadmi agar har roz Darood shareef ka padhne ka mamool banale to har kaam uske sawar jayen uske gunah muaaf ho jayen uske nama e aamal main sawab ka izafa ho aur uske Darjat bhi baland ho jayen

Jo shakhs Darood shareef padhta hai woh nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ka pyara ummati ban jata hai aur Allah tala us par karam farmata hai aur Darood shareef ki Barkat se Allah tala insan ki Bakhshish wa magfirat farma deta hai 


Darood sharif padhne ki wajah se gunahgar ki bakhshish

Ek buzurg farmate hain ke mere pados main ek gunahgar padosi tha jo nasha karta tha 24 ghante nashe main madhosh raha karta tha nashe ki wajah se use na subah ka ilm hota na sham ka ilm hota Buzurg farmate hain ke main use hamesha gunah se bachne ki talqeen karta use waaz aur naseehat karta woh qubool na karta tauba ki targeeb deta magar woh na karta 


Jab uska inteqal hua to baad main kya waqia hua 

Buzurg farmate hain ke uske inteqal ke baad maine us shakhs ko khwab main  baland maqam par faaiz dekha us par jannat ke izaaz wa ikraam ka libas tha maine us aadmi se sawal kiya ke kis kaam ke sabab tune yeh maqam wa martaba paya to usne jawab diya ke main ek roz mehfil e zikr main shamil hua maine ek muhaddis (hadees bayan karne wale) se suna woh farma rahe the jis shakhs ne nabi kareem sallallahu alaihi wasallam par baland aawaz se darood shareef padha uske liye jannat lazim ho gai 


Phir un muhaddis ne nabi kareem sallallahu alaihi wasallam par buland awaz se darood shareef padha maine bhi baland aawaz se darood shareef padha aur jo log waha par the unhone bhi baland aawaz se darood

shareef padha to usi din ham sabko bakhsh diya gaya magfirat ka mera yeh hissa Allah ne mujhe us nemat yani darood paak padhne ki barkat se ataa kiya hai 


Arabi shar ka urdu tarjuma 

Kamyab woh hai jisne aap sallallahu alaihi wasallam par darood padha isliye ke woh hamesha rehne wali aur nemat wali jagah yani jannat main khawahishat jama karta hai

Agar tu gumrahi ke baad hidayat hasil karna chahe to hidayat dene wale nabi sallallahu alaihi wasallam par darood padh 

Aye logon darood paak padho take kushada roi aur aaram deh mubarak zindagi pakar kamyabi hasil karlo 

Aur taake tumhain Allah qayamat ke din apne fazl aur jannat ko hasil karne ki kamyabi ke sath khas karde 

(al rozul faiq fil mawaiz war raqaiq) sallallahu alaihi wasallam


0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.