qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Aurton ki Namaz pdhne ka tareeqah (sunni)

 Aurton ki Namaz pdhne ka tareeqah (sunni)

Namaz padhne ka tareeqah 

Namaz padhne ka tareeqah yeh hai ke wazu karke qiblah ki taraf munh karle aur is tarah khadi ho ke donon pairon ke darmiyan 4 ungal ka fasla rahe aur dono hathon ko kandhe tak uthaye ke dono hatheliyan qiblah ki taraf hon aur nigah sajdah ki jagah par ho phir niyat karke Allahu akbar kehti hui hath niche lakar bayin hatheli sine par rakh kar us par dahini hatheli  rakhen phir sana padhe ( subhanakallahumma: pura padhen) phir aozubillah pura phir bismillah pura padhen phir alhamdu shareef pura padhen aur aahista se aamin kahen uske baad koi ek surah padhen ya teen chhoti aayaten padhen ..phir Allahuakbar kehti hui ruku main jayen aur ruku main ziyada na jhuken yani sirf is qadar ke hath ghutno tak pahunch jayen is tarah ruku main peeth sidhi na karen aur ghutnon par zor na den balke mehaz ghutnon par hath rakh den aur hathon ki ungliyan mili hui rakhen aur paon kuchh jhuke huye rakhen mardon ki tarah khoob sidha na karen aur nazar pairon ki pusht par ho aur kam se kam 3 martaba subhana rabbiyal azeem kahe phir samiAllahuliman hamidah kehti hui sidhi khadi ho jaye  aur uske baad

rabbana lakalhamd bhi kahe aur dono hath latkae rahe hathon ko bandhe nahi

Sajdah.

Phir Allahuakbar kehti hui sajdah main jaye is tarah ke pehle ghutne zameen par rakhe phir hath phir dono hathon ke darmiyan main sar rakhe is tarah ke pehle naak zameen par rakhe phir matha aur naak ki haddi ko daba kar zameen par jamaye aur nazar naak ki taraf rahe bilkul simat kar sajdah karna chahiye yani bazuon ko karwaton se miladen aur pet ko rano se aur rano ko pindliyon pindliyon ko zameen se dono paon ko dahini janib nikalte huye aur bayin sureen par baithte huye aur hatheliyan bichhi hon aur ungliyan qiblah ki taraf hon aur kam se kam 3 bar subhana rabbiyal aala kahe .

Jalsah 

Phir sar uthye is tarah ke pehle matha phir naak phir munh phir hath aur dono paon dayen janib nikal den aur bayen sureen par baithen mardon ki tarah na baithen aur hatheliyan bichha kar rano par ghutno ke pas rakhe is taur par ke dono hathon ki ungliyan qiblah rukh hon aur ungliyon ka sira ghutno ke pas

ho aur phir zara thehar kar Allahu akbar kehte huye dusra sajdah kare yeh sajdah bhi pehle ki tarah kare 

Dusra qayam

Phir sar uthaye aur dono hathon ko donon ghutno par rakh kar panjo ke bal khadi ho jaye uthte waqt bila uzr hath zameen par na teke yeh ek rakat poori ho gai ( jab dusri rakat ke liye khadi ho to Allahuakbar kehti hui sidhi khadi ho aur sine par hath bandh len ) ab phir bismillahirrehmanirrahim padh kar alhamdu poori aur koi surat padhe aur pehle ki tarah ruku aur sajdah kare

 Qayedah

phir jab sajdah se sar uthaye to qayedah main uper bayan kardah tareeqe par bethe aur yeh dua padhe 

Tashahud 

yani Attahiyat puri padhen aur iske baad Darood shareef padhen yani darood e ibrahim iske baad duaye masoora padh kar salam phere salam is tarah se pheren dahini shane ki taraf munh karke assalamu alaikum warahmatullah alaih kahe phir bayen shane ki taraf 

Dahini taraf salam main munh itna phere ke dahina rukhsar dikhai de aur bayen main bayan 

Ab namaz khatam ho gai iske baad dono hath seene ki sidh tak baland kare hath ki hatheliyan aasman ki taraf khuli hui hon dono hathon ke darmiyan munasib fasla rakhte huye dua mange 

Ye tha auraton ki namaz padhne ka tareeqah is andaz se aurton ko namaz padhna chahiye 


0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.