Akhlaq e hasna ki taleem
Assalamualaikum
Allah ta’ala ki azeem nematen aur daulaten jo musalmanon ko mili hain un main akhlaq e hasana nahayat hi aham hai
Akhlaq e hasna kya hai aur kise kehte hain
Akhlaq ke bare main aap jan lijiye ke akhlaq ke kya ma’ani hote hain akhlaq ye khalq ki jama hai yani pasandida adaten achi khaslaten acha bartao milansari achi baten kushada peshani aur khatir dari aao bhagat bhi akhlaq ke ma’ani main aate hain aur hasana ke ma’ani hote hain “acha achi umdah” to akhlaq e hasana ka ma’ani hoga “umdah aadaten achi khaslaten naram khoi wagairah”
Akhlaq e hasana ye hamare liye azeem nemat hai khud nabi sallallahu alaihi wasallam akhlaq e hasana ke aa’ala meyar ke namunae kamil the jiski gawahi quran kareem ne bhi di hai chunanche Allah ta’ala farmata hai tarjuma “aur beshak tumhari khu badi shan ki hai” (alqalam)
[ads id="ads1"]
Huzur ka irshad Akhlaq e hasana ke talluq se
Khud huzur sallallahu alaihi wasallam apne akhlaq kareema ke bare main irshad farmate hain “main akhlaq hasana ki takmeel ke liye bheja gaya hoon” (musnad ahmad jame sagir)
Huzur sallallahu alaihi wasallam apni ummat ko ache akhlaq ki ahmiyat aur uski taraf ragbat dilate huye irshad farmate hain “ momino main uska imaan kamil hai jiske akhlaq sab se ache hain aur tum main woh behtar hai jo apni aurton ke sath ache akhlaq se pesh aata hai” (tirmizi sharif)
ek dusre maqam par irshad farmate hain “tum main sabse behtar woh hai jis ke akhlaq sab se ache hain” (sahi bukhari)
Yaqinan ye huzoor sallallahu alaihi wasallam ke akhlaq kareemana ka hi natija hai ke aap ne logon ke dilon se zulmat aur jahalat ko door kar ke noor sadaqat wa marifat ilahi se bhar diya
[ads id="ads2"]
Musalman agar apne akhlaq sudhar len to ?
ye baat musallam hai ke agar aaj bhi musalman apne akhlaq wa kirdar ko umda bana len aur apni zindagi ko taleemat nabvi sallallahu alaihi wasallam ke mutabiq dhal len to aaj bhi duniya main ba izzat aur surkh ru hokar jiyen aur akhirat main kamyabi wa kamrani ke mustahiq hon -
Post a Comment