qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

milad kyon manate hain | fajar zohar asar magrib isha ki namaz sabse pehle kisne ada ki

milad kyon manate Hain jaan lo

Ahle sunnat Wal jamaat Har sal 12 rabi ul awwal ko huzur sallallahu Alaihi wasllam ka milad khas taur se manate Hain vaise to sal ke bara mahine hi ashiqane rasool sallallahu Alaihi wasallam milad manate Hain lekin khususi ehtemam ke sath saal main 12 rabi ul awwal ko manate hain aur ham yeh Milad kyon manate Hain aaiye jante Hain jisse aapka imaan taaza ho jaega

Deen Islam mein aksar Amal ambiya kiram aur buzurgon ki yad taaza karne ke liye kiye jaate Hain 'haj' Aur 'umra' ke mauke per 'Safa' aur 'Marwa' ki Saee hazrat hajira ki yad taaza karti hai 'qurbani' hazrat Ismail alaihissalam ki yad taaza Karti Hai 'Rami' 'jimaar' hazrat Ibrahim alaihissalam ki yad taaza karti hai 

Fajar ki namaz sabse pehle kisne Ada ki

Aur Yaad taaza kaise hoti hai woh is Tarah Ke Jab hazrat aadam alaihissalam jannat se zameen par utare Gaye to Raat Ki Kali Surat Dekh Kar khauf zida hote ek tanhai aur dusri wehshat thi jiski Bina per rote Rahe Jab subah hui to wehshat dur ho gai aapne iske shukriya mein 2 rakaten Ada ki wohi do rakaten khuda ne ham per farz farma di Jo fajar ki do farz padhega uska hashr qayamat ke din hazrat aadam alaihissalam ke sath hoga

Zohar ki namaz sabse pahle kisne Ada ki

Hazrat Ibrahim alaihissalam ko hukum hua ke apne bete ko hamare naam per zibah karo woh hazrat Ismail alaihissalam ko maidan mina mein le Gaye qareeb dophar aapne hazrat Ismail alaihissalam ko zibah ke liye litaya us waqt hazrat Ibrahim alaihissalam ko char fikr the ek bada fikr hukme ilahi ka pure tor se Ada karna jo bada mushkil kam tha Jo Mehez Uske Fazl se ada hua dusra fikr hazrat Ismail alaihissalam ka ke unhone chhoti umr mein zibah Hona manzoor kar liya teesra fikr yeh tha ke walda ismail ko kya jawab dunga chautha fikr tha ki ab hajra tanha jungle mein rehkar kaise umr basar karengi magar Jab haq tala ne charon gam dur kar diye dumba baataur fidiya aa Gaya hazrat Ismail alaihissalam ki jaan Bach gai is arsa main Suraj dhal chuka tha hazrat Ibrahim alaihissalam ne char fikr dur hone ki vajah se 4 rakatain Ada ki wohi 4 rakatain zohar ki 4 rakaton ki shakal mein ham per farz ho gai Allah tala ne goya yun farmaya Ke zohar ke 4 farz Ada karega uska hashr qayamat ke din hazrat Ibrahim alaihissalam ke sath hoga maloom hua ki namaz zohar 2 paigambar hazrat Ibrahim alaihissalam aur hazrat Ismail alaihissalam ki yad taaza Karti Hain

Asar ki namaz sabse pahle kisne Ada ki

Hazrat yunus alaihissalam ko Allah tala ne char andheron mein girftar Kar Diya awwal dariya ka andhera phir machhli ke pet Ka andhera phir machhli ko ek Aur machhli ne nigal liya Uske pet Ka andhera chautha andhera Raat Ka hazrat yunus alaihis Salam ne in andhero se ghabrakar khuda Ki bargah main sajda Kiya aur yeh tasbeeh padhi 'la ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu minaz zalimin' usi waqt machhli ko hukm hua ke fauran hazrat yunus alaihissalam ko zameen per nikal do yeh hukm sunte hi machhli ne aapko dariya ke kinare nikala us waqt asar ka waqt tha aapne us waqt 4 andheron se nijat pa kar Allah Ki bargah main  shukriya Ada karte hue 4 rakat padhi wohi rakatain khuda ne ham per asar ke 4 farzon ki shakal mein farz farm di aur Goya farmaya Ke Jo asar ki 4 rakat padega uska hashr qayamat ke roz hazrat Yunus alaihissalam ke sath Hoga maloom Hua ke namaz  Asar hazrat yunus alaihis Salam ki yad taaza karti hai

Magrib ki namaz sabse pahle kisne Ada ki

Hazrat yaqub alaihissalam 40 sal ya 80 sal hazrat Yusuf alaihissalam ke firaq mein gamgeen rahe rote Rahe magar khuda ne fazal farmaya aur hazrat Yusuf alaihissalam ka kurta qasid laya  aapke chehre per dala khuda tala ne uski barkat se hazrat yaqub  alaihissalam ki binai Roshan kar di aur aapka Sara Gam dur ho Gaya aur kul ranj  rahat mein badal gaya hazrat yaqub alaihissalam ne is shukriya mein teen rakatain padhi ek basarat wapas aane ka shukriya dusri rakat hazrat Yousuf alaihis Salam ke zinda hone Ka shukriya teesri rakat hazrat Yusuf alaihissalam ke deen Islam per qaim rehne Ka shukriya yahi 3 rakatain khuda ne ummat Mustafa per farz farma di aur chunke hazrat yaqub alaihissalam ne yeh rakatain magrib ke waqt padhi thin isliye ham magrib ke waqt 3 farz Ada karte hain take qayamat ke din hamara hashr hazrat yaqub alaihissalam Ke sath ho pas maloom hua ki namaz magrib hazrat yaqub alaihissalam ki yad taaza karti hai

Isha ki namaz sabse pahle kisne Ada ki

Jab hazrat Musa alaihissalam apni qaum ko lekar Misr se nikle to ek waqt aisa a Gaya ke aage dariya aur pichhe firaun ka lashkar us waqt hazrat Musa alaihissalam per Char gam  the Apni Jaan ka gam qaum ka gam dariya ka khauf  aur firauni lashkar ka Gam Allah ki bargah mein arz ki Allah ab ham kya Karen hukm hua apna Asa dariya mein maro aapne apna asa dariya mein mara Allah tala ne us dariya mein barah raste paida kar diye kyunki aap ki qaum ke 12 qabile the Har qabila EK raste per ho liya Aur is Tarah aap aur aapki qaum dariya ko aboor Kar Gaye Jab firon aur uska lashkar dariya mein garq ho Gaya us waqt Isha ka waqt ho chuka tha hazrat Musa alaihissalam ke Charon gam dur ho Gaye aapne us waqt 4 rakatain ada farmai jo bad mein Isha Ke char farzon ki shakal mein ham per farz ho gaye Aur khuda tala ne farmaya Goya Jo Isha Ke char farz padhega uska hashr qayamat ke roz hazrat Musa alaihissalam ke sath Hoga maloom hua ki namaz Isha hazrat Musa alaihissalam ki yad taaza karti hai

Ham rozana panch waqt Ki jo namaz Ada karte hain

Rozana 5 namaz padhi jaati Hain taki un ambiya alaihissalam ki yaad taza rahe jo aapne upar padha isi Tarah Har sal mehfil milad munaqqid ki jaati Hai har sal mehfil milad manai jati hai take imam ul ambiya ki yad taaza ho aur Awamun naas Jo ilm se be behra hote hain unke zehnon mein azmat e rasool Nabi Akram Ka adab wa ahtram aur tazeem raasikh ho jaaye aap ki talimat apka  uswa e hasana aur aap ki sunnat se waqfiyat hasil ho 

Aamal  saleha Ki targeeb  munkirat se tarheeb Di jaati Hai take log sirate Mustaqeem par chal kar manzil maksud tak pahunch saken 

to ek wajah yeh bhi hai jo abhi aapane padha to isiliye ham Milad rasool sallallahu Alaihi wasllam manate hain aur inshallah  manate rahenge

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.