kaunsa paani khade hokar piya jata hai aur kyon piya jata hai
ji han aapne jo uper padha ke kaunsa pani khade hokar piya jata hai aaiye jaan lete hain ke woh kaunsa pani hai jise khade ho kar piya jata hai aur woh pani ko baith kar nahi pite hain
kya har pani ko khade hokar pi sakte hain
ji nahi pani baith kar pina chahiye kyonke nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ne baith kar khane pine ki talqeen faimai hai aur sahaba kiram ko khade hokar pani ya koi aur mashroob pine se mana farmadiya kyonke baithkar pani pina huzur sallallahu alaihi wasallam ki sunnat hai lihaza majboori ki halat ke elawa pani baith kar hi pina chahiye
hazrat abu huraira radiAllahu anhu se riwayat hai ke nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ne farmaya tum main se koi shakhs khade hokar na piye aur jo bhool kar pile woh qai kar le
(muslim shareef)
pani jab pine lago to yeh kaam karo
pani pine se pehle bismillah padh lo
pani ko teen sans main piyo
pani baith kar piyo
pani main phoonk na maro
jab pani pi chuke ho to alhamdulillah kaho
kyonke yeh sab sunnat hai aur hamko sunnat par amal karna chahiye
ab aaiye zamzam pani pine ke bare main jan lete hain ke zamzam ka pani baith kar pina chahiye ya khade hokar pina chahiye
zamzam ka pani khade hokar pina
zamzam ka pani khade hokar pina chahiye kyonke iska khade hokar pina sunnat hai albatta agar kahin baithkar pina pad jaye to ismain koi haraj nahi lekin zamzam ke pani ko khade hokar pina sunnat hai jaisa ke hadees shareef main hai "hazrat ibn abbas radiAllahu anhu ne farmaya ke nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ki khidmat main aab e zamzam ka ek dol pesh kiya gaya to aap sallallahu alaihi wasallam ne khade hokar nosh farmaya" (muslim shareef)
is hadees shareef se maloom hua ke zamzam ka pani khade hokar pina sunnat hai
meri is tehreer ka pura khulasa yeh hai ke baqi paniyon ka baithkar peena sunnat hai hamen baithkar hi paani pina chahiye take sunnat par amal ho aur hamen sawab mile !
jaise aur pani baitkar pina sunnat hai isi tarah zamzam ka paani khade hokar pina sunnat hai lihaza sunnat par amal karte huye zamzam ke pani ko khade hokar pina chahiye
main ummid karta hoon ke baat samajh aagai hogi ke zamzam ka pani woh pani hai jise khade hokar piya jata hai
Post a Comment