qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

azan ka lugvi mani Shariat main khas alfaaz se namaz ki ittela Ka naam azan hai

Azan ki ahmiyat aur uski fazilat

Sabse pehle aap yeh samajhte chale Ki azan kise kehte Hain azan kya hai to aaiye jaan lete hain

Shariat main khas alfaaz se namaz ki ittela Ka naam azan hai  aur sabse pehle azan hazrat jibreel Alaihissalam ne Di baitul muqaddas mein meraj Ki Raat jahan per aakar do jahan ke aaqa sallallahu Alaihi wasllam ne tamam ambiya Kiran ki imamat farmai magar musalmano main hijrat ke baad san 1 hijri main shuru hui 

Azan ki ahmiyat 

Aazan ki ahmiyat ke bare main aap sirf yeh jaan len ke "azan islam ka bada nishan hai iska tark karna jaiz nahi hai" aur panchon waqt ki namaz farz ke liye jis main juma bhi hai azan sunnat mokkida hai ( yani namaz Ke liye azan ka kehna lazim wa zaroori hai)

Azan ki beshumar fazilaten Hain 

Ji han lekin main Yaha par unmain se kuchh tehreer kar Raha hoon jisse aap azan ki ahmiyat wa fazilat se waqif ho jayenge 

Huzoor Nabi Kareem sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya agar azan aur safe awwal mein shamil hone ki fazeelat logon ko maloom ho jaaye to qura dalne ki naubat aa jaaye aur sab qura se yeh darja hasil Karen 

is se maloom hua Ki azan ka koi aisa Azeem-O-Shaan badla Hai Jo Allah tala hi ko maloom Hai agar insan ko maloom ho jaaye to azan per Jung shuru ho jaaye aur phir qura ki nobat Aaye Aur Qura se azan kahen (Bukhari)

Azan Dene Wale ki fazilat

Aajkal Kisi naujawan se azan Dene Ko  Kaha jaaye to yeh jawab hota Hai ki mujhe nahin aati hai ya yeh kaha jata Hai Ki mujhe sharam aati Hai lekin Hadees Sharif mein jo fazeelat aai hai huzur sallallahu alaihi wasallam ne azan Dene Wale mauzzin ko jannati farmaya hai  

"hazrat ibn Abbas  riwayat Karte Hain Ke ek shakhs Nabi Kareem sallallahu Alaihi wasallam ke paas aaya aur yeh darkhaast ki ke aap mujhe koi aisa Amal bata dijiye Jo mujhe jannat mein le jaaye tab aap sallallahu ala wasallam ne farmaya ki tum mauzzin muqarrar ho jao" 

is se zahir hai ki azan aisa Amal hai jo jannat main Jane Ka zariya hai aur mozzin jannati hai aur yeh jannat main Jane ka tohfa azan ki barkat se naseeb ho Raha hai  

Aur bhi bahut si fazilaten Hain azan ki jitni tehreer hui Hain us se azan ki ahmiyat Ka andaza bakhoobi lagaya ja sakta hai !



0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.