Shab e barat aur nafil namaz padhne ka sawab
Shaban ki 15 vi shab ko shabe barat manate hain is raat ke bahut se naam hain jin main se ek naam lailatul barat bhi hai yani bakhshish wa magfirat ki raat to is raat ko hamen chahiye ke ibadat karen is raat ko digar raton ki tarah gaflat main na guzaren balke ibadat karke Allah ko razi karen isi silsile main yani shabe barat main Jo khas taur par nafil namaz ada ki jati hain woh tehreer kar raha hoon aap padhen aur amal ki koshish karen
Mah shaban ki 14 tarikh ko magrib se pehle padhne Ka mukhtasar amal lekin sawab aur ajr be misal shaban ki 14 tarikh ko magrib se pehle 40 martaba "la hawla wala quwwata illa billahil aliyyil azeem" aur 100 martaba darood Sharif padhne ke natije mein 40 bars ke gunah maaf hote Hain bahisht mein khidmat ke liye 40 huren mamoor kardi jaati Hain (miftahhul Jinan)
Magrib ki namaz ke bad 6 rakat namaz nafil Ada karna
Magrib ke bad 6 rakat nawafil is Tarah padhen Ke 2 rakat namaz nafil bara e darazi Umar ke liye 2 rakat namaz bara e balaon se hifazat ke liye aur 2 rakat namaz Allah Apne siwa kisi Ka mohtaj na kare
Har rakat main surah fateha ke baad 3-3 baar ya 7-7 baar surah ikhlas padhe aur
Har 2 rakat ke baad 1 martaba surah yaseen padhe aur 1 baar dua e shaban bhi padh liya kare
To is tarah se aap namaz ada karen to samajh Len ke Allah tala ki taraf se aapki zindagi ka bima ho gaya yani aainda ek saal tak mohtaji aur aafat qareeb nahi aayengi
Salat Khair se 4900 hajat Puri hoti hain
Hazrat khwaja Hasan basri rahmatullah alaih farmate Hain Ke mujhe 30 sahaba Alaihimurridwan ne bayan kiya hai ki is rat yani shabe barat ko jo shakhs yeh namaz padta hai to Allah tala uski taraf sattar martaba nazre rehamat farmata hai ek nazar mein 70 hajaten Puri farmata hai jinmen sabse adna hajat gunahon Ki magfirat Hai is Tarah kul 4900 hajaten Puri hoti hain
Salat khair padhne ka tariqa
iska tariqa yeh hai ki 2-2 rakat Karke salat khair mustahab ki niyat bandhen Har rakat mein Surah fatiha ke bad 10 bar Surah ikhlas padhen 50 namazon ki 100 rakaton mein 1000 martaba Surah ikhlas padhenge
Tamam sagira wa kabira gunahon Ki maafi
8 rakat nafil do do Karke padhiye Har rakat mein Surah fatiha ke bad 25 martaba Surah ikhlas padh kar Dil se toba Karen aur niche Di hui dua khade hokar baithkar aur sajde mein 44 martaba padhen gunaho se aise pak ho jaenge Jaise Ke aaj hi paida hue hon "Allahumma innaka afuwwun karimun tuhibbul afwa fa'fu Anni ya gafuru ya gafuru ya Kareem"
Rizq mein barkat aur karobar ki taraqqi ke liye
2 rakat namaz har rakat mein Surah fatiha ke bad aayatal kursi ek martaba Surah ikhlas 15 martaba padhen Salam ke bad 100 martaba darood Sharif padhen phir 313 Martaba "ya wahhabo ya basitu ya razzaqo ya mannano ya latifu ya gani ya mughni ya azizu ya qaadiru ya muqtadir" Ka wazifa padne se karobar mein barkat Aur rizq mein wus'at ho jaati Hai
Maut Ki Sakhti aasan Aur azab qabar se hifazat
4 rakat padhen Har rakat mein Surah fatiha ke bad Surah takasur ek Martaba aur surah ikhlas 3 dafa padhakar Salam ke bad Surah mulk 21 martaba aur Surah tauba ki akhri do aayaten 21 dafa padhne se inshallah maut Ki sakhtiyon aur qabr ke azab se mehfooz rahenge
Ye nawafil ki namaz Jo khas shabe barat main ada ki jaati hain uski fazilat hai hamen chahiye ke shabe barat main jinke zimme qaza namaz hain woh qaza padhen aur jinke zimme qaza nahi hai woh nawafil ki namaz ada kare aur Puri raat Allah ki ibadat karte huye guzare aur shabe barat main ibadat karna sunnat hai
Post a Comment