Shab e barat aur salatul tasbeeh ki namaz
Salatul tasbeeh ki fazilat
Huzoor Akram noor-e-mujassam sallallahu Alaihi wasallam ne hazrat Abbas Radi Allahu anhu se farmaya aye chacha kya main tumko ataa na karun kya main tumko bakhshish na karun kya main tumko na dun kya main tumhare sath ehsan na karun 10 fawaid hain ke jab tum yeh karo to Allah tala tumhare gunah bakhsh dega agala pichhla purana naya Jo bhule se Kiya jo qasdan Kiya chhota ho bada ho poshida ho ya zahir ho Uske bad salatut tasbeeh ki tarkeeb taleem farmai phir farmaya ke ke agar tum se ho sake to har roz ek bar padha karo ya phir juma ke din ek bar ya Har mahine mein ek bar ya saal mein ek bar yeh bhi na ho sake to zindagi mein ek bar zarur padho
Salatul tasbeeh ki namaz Ka tariqa
Salatul tasbeeh ki namaz Ka tariqa yeh Hai Ki niyat ke bad takdeer tehreema kehkar Sana padhen phir tasbeeh "subhanallahi walhamdulillahi wala ilaha illallahu wallahu Akbar"15 bar phir taooz yani auzoo billa phir tasmiya yani bismillah phir Surah fatiha Puri padhen aur iske bad koi bhi Surat padhkar ruku mein jaane se pehle 10 bar yahi tasbeeh"subhanallahi walhamdulillahi wala ilaha illallahu wallahu Akbar" padhen phir ruku mein 10 bar ruku se sar utha Kar qauma main tahmeed ke bad 10 bar phir sajda mein 10 bar donon sajdon ke darmiyaan jalse mein 10 bar dusre sajda mein 10 bar is Tarah charon rakat mein padhen Har rakat mein 75 bar Charon rakaton mein 300 bar padhi jayegi
Yeh wazeh rahe ke dusri aur teesri aur chauthi rakatain ke shuru mein fatiha se pahle 15 bar aur ruku se pahle 10 bar yani qayam mein 25 bar aur ruku wa sujood mein subhana rabbiyal azeem aur subhana rabbiyal a'la teen martaba padhakar phir tasbeeh 10'10bar padhenge
Ye salatut tasbeeh ki fazilat aur uska tareeqa likha hamen khususan jo mubarak raten hain shab e qadar shab e meraj shab e barat wagairah in main salatul tasbeeh ki namaz Ka ehtemam karna chahiye
Post a Comment