Salam ki ahmiyat aur uski barkat
Jab ham Kisi musalman bhai se milte hain ya Apne rishtedar ke yahan jate hain ya kisi dost aziz se mulaqat hoti hai to jo pehla hamara jo kaam hota hai woh salam karna hota hai yani hamari shuruaat salam se Hoti hai aur islam ki bhi yahi taleem hai ke chhota ho ya bada pehle salam karo phir kalam karo yani baat karo mulaqat ya baat cheet karne se pehle salam kiya jata hai
Salam ek mufeed amal hai
To aaiye jante hain ke salam ki ahmiyat aur fazeelat kya hai
Salam ki ahmiyat jaan ne ke liye main 2 ahadees mubarak ka tarjuma likh raha hun jis se aap andaza laga sakte hain aur aapko maloom ho jaega ke salam karne mein kis qadar Khair o barkat aur mohabbat wa moaddat hai aur kis qadar sawab Ka wada Allah tala ke muqaddas rasool sallallahu Alaihi wasllam ne farmaya hai
Aap ne is baat par gaur kiya hoga ke aaj hamare gharon mein maal o daulat aa rahi hai lekin mohabbat rukhsat hoti ja rahi hai aur salam aisa mufeed Amal Hai jiski barkat se Mal aulad Aur mohabbat sab mein izafa hota Hai
AB hadees Mubarak Ka mafhoom padhiye " hazrat anas radiAllahu anhu bayan karte hain Ke mujh se mere aaqa sallallahu Alaihi wasllam ne irshad farmaya bete jab bhi ghar mein dakhil hua kar ya Ghar walon se mil to salam kiya kar yeh salam karna tere aur tere Ghar walon ke liye Khair o barkat ka sabab hoga" (tirmizi shareef)
aur ek maqam per aap sallallahu alaihi wasallam irshad farmate Hain ye hadees mubarak hazrat Imran bin hasin Radi Allahu anhu se marvai hai
ke ek shakhs ne huzoor sallallahu Alaihi wasllam ki bargah mein hazir hokar "Assalamu alaikum" Kaha rasool mukarram sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya iske liye 10 nekiyan Hain Uske baad dusra shakhs hazir baargah hua usne salam karte hue "Assalamu alaikum wa rahmatullah" Kaha huzoor Syed alam sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya iske liye 20 nekiyan hain phir Uske bad ek Aur Sahab hazir hue aur unhone "Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuh" salam pesh Kiya aaqa Kareem sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya iske liye 30 nekiyan Hain (tirmizi shareef)
Aapne ahadees e Mubarak ko padha ke salam karne mein hamara kitna fayda hai ke salam karne main khair o barkat hai mohabbat hai aur ajr o sawab hai
ab aadat bana len ke jab bhi Kisi musalman se baat karenge to salam zarur Kiya karenge.
Post a Comment