qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Ladke walon ka ladki walon se Jahaiz mangna Kaisa ?

Ladke walon ka ladki walon se Jahaiz mangna Kaisa ?

ismeinn shubah Nahin Hai Ke jahaiz Ki maujuda shakal ek tabah kun rasam hokar Reh gai Hai ladki ko Man baap Apni mohabbat wa shafqat mein rukhsat hote waqt Jo kuchh dete Hain woh ek amr mustahsan Aur insani fitrat Ka taqaza Hai magar gairon Ki Dekha dekhi ab musalmanon mein bhi rasm e bad jabri mutalba Ki Surat ikhteyar kar chuki hai jahaiz ke mutalbon ko pura karne ke liye aaj kitne Ghar tabah ho chuke hain aur ladki ki paidaish jo bila shubah Islam wa paigambar Islam sallallahu Alaihi wasallam ki talimat ki roshni mein khush Bakhti ki alamat hai humne Apne hathon use bad bakhti mein badal Diya Hai hairat To is per hai ki ladki agar Apne Walden se kuchh mutalba kare to kar sakti hai ke man baap se farmaish uska paidaishi haq hai agarche use bhi mutalba karte waqt Apne Walden ki bisat wa wus at ka jayza Lena zaruri hai magar hone wale damad ya unke Ghar walon ko kahan se yeh haq pahunchta hai ki ladki ya Uske Walden se Kisi qism ka sawal Karen yeh to yaqinan ek Tarah Ki Mehzab bheek hai jise rasmo riwaj ke naam per qabool Kiya ja raha hai Islam dohi suraton mein mangne ki ijazat Deta Hai ya to Saail ka koi haq dusre se mutaliq ho ya phir woh saail itna tang dast ho ki uski guzar basar mushkil ho aur sawal ke bagair uska koi chara Kar hi Na ho To uske liye sawal karna jaiz hai woh bhi ba qadre hajat hajat wa zarurat se ziyada to use bhi mangna jaaiz Nahin zahir Hai Ki hone wale damad ka hone Wali biwi ya sas sasur per koi wajbi haq to hota Nahin jiska mutalba uske liye Jaaiz ho lihaza ab dusri Surat tangdasti wali Reh jaati Hai Jab Ke samaj mein uski bhi gunjaish Nahin ke koi tangdast damad apni tangdasti Ka izhar Karke sasural walon se kuchh mange halanke waqai dangdast ho to baqadar zarurat mang sakta hai Jab donon Suraten Nahin to yaqnan ye mutalba sawal mamnu ki qabeel se hai yani bila zarurat mangna shariat jiski sakht mazammat Karti balke haram gardanti Hai is silsile mein Chand hadisen padhiye aur dekhiye aaqa e do alam sallallahu alaihi wasallam aise saailon ke bare mein kya farmate hain Tarjuma hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu tala anhu se marvi hai ke nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ne farmaya aadmi sawal karta rahega yahan tak ke woh Allah se is HAL mein milega ki Uske chehre per gosht Ka koi tukra Na Hoga (Sahih Bukhari v Sahi muslim) isi Tarah ek hadees Sharif mein sawal yani mangne ko Saail ke chehre per kharashon ka sabab farmaya Gaya Hai tarjuma hazrat samurah bin jundb se marvi hai ke huzoor paak sallallahu alaihi wasallam ne farmaya beshak sawalat kharashen Hain ke aadmi sawal Karke Apne munh ko nochta hai to jo chahe Apne chehra per use baqi rakhe aur jo chahe chhod de magar yeh ke aadmi sahib e saltanat se apna haq mange ya is Surat mein mange Ke Uske siwa chara e kaar na ho (sunanAbudawood) ek aur hadees Sharif mein hai hazrat Abdullah bin Amar radi Allahu tala anhu se marvi hai farmate hain maine Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ko farmate Suna "mangna baroz e qiyamat mangte ke chehre par kharashen sabit Hoga to jo chahe Apne chehre per ise bapi rakhe (shuabul Iman) mangne Wale Ka chehra bhi bigad jata Hai tarjuma hazrat masood bin Umar Radi Allahu tala anhu se marvi Hai Ke huzoor sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya aadmi gani hone ke baujood mangta rehta hai hatta ke uska chehra bosida ho jata Hai woh Jab Allah tala ki bargah main hazir hoga to uska chehra Nahin Hoga (almuajmul Kabir) ek aur hadees Sharif mein hai tarjuma hazrat Abdullah bin Abbas radi Allahu tala anhu se marvi hai farmate Hain Huzur sarkar do alam sallallahu Alaihi wasllam ne farmaya Jo shakhs logon se sawal Kare halanke Na use Faqah pahuncha aur na hi itne bal bacche Hain Jin Ki taqat Nahin rakhta to baroz e qayamat youn aaega ki Uske chehre per ghost Na Hoga (shoabul imaan) agar maloom ho jaaye ki mangne mein kya karahat hai to koi Na mange hazrat aaiz bin amru Radi Allahu tala anhu se marvi hai ki huzoor sallallahu Alaihi wasallam Ki bargah mein ek shakhs ne aakar sawal Kiya aapne ata farmaya Jab laut te hue us shakhs ne dehleez par qadam rakha to rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya agar logon ko maloom hota ke sawal karne mein kya hai to koi Kisi ke pas mangne na jata (Sunanul kubra) Sahib e Iman aur hosh Ghosh rakhne wale ke liye yahi Chand irshadat tayyeba kafi Hain Jin se bagair zarurat sawal karne ki zillat wa mazammat ka ba khubi andaza Kiya ja sakta hai aur bila shubah damad ka jahaiz mangna bila zarurat mahez zar andozi tafakhur wa dikhawa ya husool aasaish wa gina ke liye hota hai use aisi zarurat Nahin Hoti Hai Ki mangna halal ho aur na uska koi Sharai haq mutalliq hota Hai jise wasool karne ko sawal Jaaiz ho lihaza aise sawal ke Mamnu aur is per israar ke haram hone mein koi shubah hi Nahin aur aur woh sari ahadees Jo sawal Karne Wale ke liye varid hain jahaiz ka mutalba karne walon per bhi zarur sadiq Hain ab tak sari guftgu to Jahaiz mangne ya uska lalach karne se mutalliq thi jiski mazammat wa burai badarja atam byan ki ja chuki magar is balae be derma ke asbab per Jab gaur Kiya jata hai to iska ek bada sabad yeh bhi samajh mein aata hai ki basa auqat ladka mutalba to nahin karta lekin ladki Ka baap Mahez wah wah aur naam o namood ke liye us,at se ziyada is qadar jahaiz deta hai jo dusron ke liye namuna aur Tarageeb ka baais hota hai natija ke taur per pas pados ke dusre log bhi mutasir hokar is se badhkar dene aur baaz lene ke khwahish mand ho jaate Hain aur gaur kiya jaaye To yahi mafasid Ki buniyad Hai jis per munasib bandish zaruri hai Har aadmi etedal aur bisat hi ke mutabiq be mange apni Khushi se ladki ya ladke ko kuchh de diya Kare to iska asar itna galat Na Hoga aur agar muaashre ke sarbarah hazrat mil baith kar kuch halka fulka Saman motaayyan kar den Ki Har amir v garib yaksha taur ba aasani de sake To ye sabse behtar hai jaisa ke musalmanon mein baaz maqamat per iska riwaj bhi Hai magar afsos ke is madah paras daur mein deen wa mazhab husne kirdar wa Amal ko bala e taaq rakh kar Mahez Seemo zar aur Malo daulat per dhiyan Diya jaane laga Hai jiska wabal va azab akhrat mein jo hoga woh to Hoga hi khud duniya mein bhi Uske mafasid had o shumar se bahar hain iske duniyavi muzirat Ka andaza lagane ke liye yahi kafi hai ke Jin gairon ki taqleed mein is rasm e bad ke aadi ho chuke hain ham se ziyada woh aaj jahaiz aur Tilak ke khilaf awaaz buland kar rahe hain woh hazrat Jo samaj mein apni baat manwane ki position rakhte Hain Woh khas tor se tawajjah den to is rasm e bad ka khatma ho sakta hai !

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.