DAROOD SHAREEF KI FAZILAT
sabse pehle aap ko batana chahunga ke durood shareef ki fazilat aur uske fayde kya hain phir 2 sawal hain unka jawab dunga sawal yeh hain ke darood ke mani kya hain aur darood shareef ko short cut main likhna kaisa hai to in sawal ke jawab likhne se pehle durood shareef ki fazilat padhen
jo durood shareef padhta hai Allah us par apni rehmaten nazil farmata hai durood shareef padhne wale ke maal aulad main Allah tala barkat ata farmata hai uske gunah bhi muaf farmata hai uske darjat bhi buland farmata hai aur sabse badi baat ke durood shareef padhne wale se Allah tala khush hota hai aur razi hota hai naraz nahi hota hai
aap durood shareef ki fazeelat main ek durood shareef padhiye ummid hai ke aap ishq o mohabbat main doob kar dil ki athaah gehraiyon se durood paak padhenge
hazrat anas radiAllahu anhu kehte hain ke huzur nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs mujh par ek martaba durood padhta hai Allah us par 10 rehmaten nazil farmata hai nama e aamal se 10 gunah mita deta hai aur 10 darjat buland farma deta hai . subhanAllah
is hadees paak se maloom hua ke ek martaba durood paak padhne main kam az kam 30 fayde hain
10 rehmaten nazil hongi
10 gunah kam honge
10 darjat buland honge
jab ek martaba durood paak padhne main itna sawab aur fayde hain to jo ziyada se ziyada darood shareef padhega uske sawab aur fayde ka andaza aap khud laga sakte hain
durood ke maani kya hain ?
durood ke bahut se mani hain jaisa ke ek mani hai "salat" aur "rehmat" aur "salam dua" ye bhi mani hain
aur istelahan woh dua aur salam jo huzur nabi kareem sallallahu alaihi wasallam par padha jaye (firoz ul lugat)
short main durood shareef likhna kaisa ?
jaisa ke kuchh log ( saw. s. a. w.) aise short cut main durood shareef likhte hain to aise short cut main durood shareef likhna haram hai (bahare shariat)
jab bhi durood shareef likha jaye to pura pura durood shareef yani "sallallahu alaihi wasallam" likha jaye
Post a Comment