qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

balon ko kala yani color lagakar siyah karna kaisa In Islam can we use powder for hair dye

             

balon ko kala yani color lagakar siyah karna kaisa 

aksar insan ke baal jab waqt se pehle safed ho jate hain to log balon ki safedi ko door karne ke liye kai qism ke tariqe dhundte hain koi doctor se rabta karta hai to koi hakimo ke yahan hazir hota hai to koi ghareloo nuskhe apnata hai take balon ki jo safedi sar aur dadhi main chamak rahi hoti hai use door kiya jaye aur balon ka rang badal jaye yani baal kale ho jayen aur phir se jawan dikhne lagen 

balon ko kale karne ke formule bahut hain

ji han aap jab balon ko kala karne ke formule ke liye google main search karenge to bahut sare ilaaj aur tareeqe bahut sare powder mil jayenge jo aapke safed balon ko kala karke aap ko jawan dikha sakte hain 

sar ke baal bhi Allah ki nemat hain

ji han hamare jo sar ke baal hain ye bhi Allah ki ek nemat hain ke balon se aadmi ki khubsoorti main izafa hota hai aur balon se hamare sar ki bhi hifazat hoti hai wagairah beherhal ab main asal topic ki taraf aata hoon yani safed balon ko kala siyah karna kaisa (islam main)

[ads id="ads1"]

safed baal noor hain 

insan ke baal jo safed ho jate hain to safed balon ko nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ne noor farmaya hai ke safed baal noor hain aur inko ukhadne se bhi mana farmaya hai yahi safed baal qayamat ke din noor honge 

baalon ko siyah (kaala) karna kaisa ?

yahan kuchh baton ka khayal rakhen maslan agar aapke baal safed ho gaye hain aur aap unko color karna chahte hain ke jis se balon ki safedi ka color badal jaye to aap balon ko color kar sakte hain sirf is baat ka aap khyal rakhen ke kala khizab ko chhod kar aap koi bhi rang color istemal kar sakte hain is main koi haraj nahi hai 

[ads id="ads2"]

balon ko siyah kala karne walon ke liye waeed 

nabi kareem sallallahu alaihi wasallam farmate hain ke "aakhir zamane main kuchh log honge jo siyah khizab karenge jaise kabootar ke potte woh log jannat ki khushboo nahi payenge "

aur baalon ka safed rang badalne ke bare main huzur ka farman hai 

"sabse achchhi chiz jis se balon ka rang badla jaye mehndi ya kutum hai" yani mehndi lagai jaye ya kutum 

ek aur riwayat hai main hai ke nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ke samne ek shakhs guzra jisne mehndi ka khizab kiya hua tha farmaya ye bahut acha hai fir ek dusra shakhs guzra jisne mehndi aur kutum ka khizab kiya tha farmaya yeh us se bhi acha hai phir ek teesra shakhs guzra jisne zard khizab kiya tha farmaya yeh un sab se achha hai 

khulasa yeh hai ke aadmi sar aur dadhi main khizab kar sakta hai magar siyah (kala) khizab lagana jaaiz nahi hai albatta kala khizab chhodkar aap zard surkh rang wagairah ka istemal kar sakte hain is main koi  harj nahi hai 

(not) bazaron main jo tarah tarah ke powder milte hain jinko lagane se baal kale hote hon to aise powder ka istemal karna bilkul bhi jaiz nahi hai 


0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.