qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

baap par aulad ka pehla haq yeh hai ki uska naam achcha rakha jaaye How to name children

Naam Kaisa rakha jaaye aur name kya rakhna chahie

Aulad beta ho ya beti donon Allah tala ki badi azeem nemat hain aur aisi nemat hain ki is nemat ke milne per Allah tala ka jitna bhi shukr Ada kiya jaaye Kam Hai koi bhi insan is nemat per Allah tala ka kama haqqahu shukrana ada nahin kar sakta hai lekin Allah tala Ka hukm Hai Ke jab Allah Kisi Banda ko koi nemat ata farmaye to uska shukr Ada Kare isiliye insan apni bisat wa wus,at bhar  nemat ke milne per Allah tala Ka shukr Ada karta hai aur isi shukr e ilahi ke izhaar ke liye musalman mahfil e milad un nabi Quran khani aur fatiha ka ineqad  karta hai aur yeh zaruri bhi ke jis insan ko Allah tala koi nemat ata farmaye woh beta ho ta beti dukaan ho ya makan zameen ho ya jaaydaad woh uska shukrana Ada Kare uski tarif Kare uski badai ka izhaar Kare uski nematon Ka khoob khoob charcha Kare isi Tarah Har man baap par farz hai ki jis pak parvar digaare alam ne use aulad jaisi ek azeem nemat ata farma kar us per ahsaan e azim Kiya jisne avlad ata  Karke waldain Ki aankhon ko thandak bakhshi jis Khaliq e kainat ne waldain ko unki aankhon ka Tara noore nazar ya lakhte Jigar ata farmaya uski tarif va tausif aur tasbih wa tehleel zikr va yad main ratbul lisan rahen apni zuban ko allah ke zikr se tar rakhen

aulad ki shakal mein Allah tala ne Jo nemat ata farmai Hai Walden per zaruri hai ke us nemat ki qadar Karen yani aulad ke huquq Jo shariyat ne man baap per aaid kiye Hain unka khyal wa lehaz rakhen aulad ki acchi tarbiyat wa taleem aur umda ikhlaq wa kirdar se aarasta Karen aur unki Sahi nigeh Bani Karen 

huzur sallallahu alaihi wasllam ne farmaya "tum mein se Har shakhs nigehban hai apne Matehat Ka to har shakhs se Uske bare mein poochha jaega" aur baap nigehban wa nigra hai apni aulad ka to is nigehban wa nigra  par aulad ke muta,adddit huquq main se ek haq yeh hai ke uska name achchha rakhe uske liye acche naamon ka intekhab Kare aur jin namo ka mani bhi achcha ho taki uska asar bhi achcha ho yani Islami naam rakhe jaen 

Huzur sallallahu alaihi wasallam ne farmaya "sabse pehla tohfa Jo mard apni aulad ko de Woh uska naam hai to chahie ki apni aulad ka naam achcha rakhe" aur ek hadees mein hai "aulad Ka haq baap par yeh hai ki uska naam achcha rakhe aur use achcha adab sikhaye" 

To aulad ka naam achcha rakhen Islami naam rakhen taki duniya wale bhi use pukaren aur awaaz den to acche naam se izzat ke sath pukaren aur akhirat mein bhi jab use pukara jaaye to usi acche naam ke sath pukara jaye kyunki qayamat mein Har shakhs Ke uske baap Dada ke naam lekar pukara jaayega  Huzur sallallahu alaihi wasllam ne farmaya "qayamat ke din tum apne aaba wa ajdad ke name ke sath pukare jaaoge isliye tum apne naam acche rakho"

Naam Kaisa rakha jaaye aur name kya rakhna chahie 

aapke zehan mein ek sawal paida ho raha hoga Ke baap par aulad ka pehla haq yeh hai ki uska naam achcha rakha jaaye to aakhir kaun sa naam achha hai aur kaun sa naam rakha jaaye Jo behtar aur Islami ho to suniye woh naam Rakhiye jiski nisbat Allah tala ki zaat wa sifat ki taraf abdiyat Ke sath ho 

Maslan  Abdullah Abdul Rahman Abdul Rashid Abdul gafoor Abdul wadood Abdul majeed Abdullah is Tarah Allah tala Ke jitne naam Hain unmen se koi naam muntakhab kijiye aur us naam se pehle abd laga dijiye 

ya ambiya e kiram Ke naam par ya Allah Ke Nek bandon saleheen awliya kameleen aur buzurgane din Ke naamo per apni aulad ka naam rakho yeh acche aur Islami naam hain aur woh naam na rakho jo filmi actor heroine aur model ke naam per rakhte ho 

hadees Sharif mein hai naamon ke bare mein "tumhare naamon mein behtarin naam Abdullah Abdul Rahman aur Haris Hain aur ek hadees mein hai teen nabiyon ke naam per naam rakho aur tamam naamon Mai sabse pyara naam Abdullah aur Abdul Rahman Hain 

isliye ke in naamon mein bande Ki abdiyat aur Allah wahdahu Ki mabudiyat   ka zikr hai aur jismein bande ki aajzi wa abdiyat Ka zikr ho aur Allah tala ki mabudiyat ka elaan ho woh naam Allah tala ko bahut pasand hai aur Kamal abdiyat yeh hai ki Banda Apne ko khuda Ka Banda Hona taslim Kare aur is baat ko zahir bhi Kare huzur farmate Hain ki "naamon mein Allah ko sabse ziyada mehboob aur pyara woh naam Hai jis main insan ko Allah ka Banda Hona zahir ho 

saleheen ke name par name rakha jaye

Huzur irshad farmate Hain ki "tum mein jo nek log Hain saleheen Hain unke naam per naam rakho aur apni hajat acche chehre walon ke pass talab karo muskurate aur khilte chehre walon se pesh karo jinse tumhen ummid ho ke jab tum apni Hajate aur zarooraten unse byan karo to Puri kar den" 

in tamam chizon se yeh maloom hua ki aulad ka naam pyara rakha jaaye achcha aur Islami rakha jaaye gair Islami naam bilkul na rakha jaaye aur tamam naamon mein behtar aur pyara naam Sarkar do alam sallallahu alaihi wasallam ka naam Mohammed aur Ahmad Hain yeh naam Sarkar Ki mohabbat mein sar shar hokar rakha jaaye


0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.