qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Zindagi ke har shoba mein tawazun isliye bhi zaruri hai ki ham Apne mustaqbil ke mansubon ko kamyab kar saken


 ham doosron ko kya de sakte hain -8 ..and

dosto aapne pichhli post main is kadi ke hisse main hunar aur fun ke bare main padha hoga ke ham dusre logon ki madad hunar aur fun ke bhi zariye kar sakte hain ab is kadi ki aakhri post hai is main aap sab ka nichod padhenge sabse pehle ham tawazun ke bare main jan lete hain 

tawazun

21 vi sadi ke insano ko mazi ki nisbat  Bahut bade bade challengon ka samna hai un main sabse bada challenge Apne Jism zehan aur rooh mein tawazun paida karna hai yeh hamen maloom hai aur ham is baat per yaqin rakhte Hain Ke insan ki zindagi mein jis qadar tawazun ziyada Hoga Uske tamam kam aur uski sehat ziyada behtar hogi isliye tawazun ki haqiqat ko samajh Kar uske liye koshish Karni chahie taki ham zindagi Ki nematon se bharpur fayda utha saken agar humne ek hi dafa sab kuchh de Diya To fir mustaqbil mein hamare pass dusron ki madad karne ki Salahiyat kam ho jayegi isliye koi kam bhi jazbati hokar nahin karna chahie dusron ki madad karne mein bhi ek tawazun Ka Hona zaruri hai taki tasalsul ke sath dusron ki zindagiyon mein tabdeeli paida kar saken is tawazun Ka inhesar halaat ke mutabiq Hona chahie agar hamari zindagi hi gair mutawazun hogi to fir sehat ki kharabi ke alava Kai Aur khudshat ka samna bhi karna padega 

Zindagi ke har shoba mein tawazun isliye bhi zaruri hai ki ham Apne mustaqbil ke mansubon ko kamyab kar saken agar hum Zindagi ke kisi shobe mein mukmmal taur per tawazun paida nahin kar sakte To kuchh Na kuchh tawazun zarur qaaim Karen uske liye apni bachat ko samne rakhen aur digar zarooriyat ko pura karne ke bad dusron Ki Dil kholkar madad Karen Apne zehen mein yeh bhi rakhen ke aap zindagi mein kya hasil karna chahte hain taki aap Zindagi Ke us maqsad ki taraf bhi dhire dhire badhte jaen 

agar aap apne kaam ko bahut ziyada waqt denge lekin khandan ko kam waqt denge to usse aapke khandani talluqat sehat aur ruhani nasho numa par fark padega zindagi Ke har Shoba main tawazun aapko ziyada kamyab aur behtar insan banne mein madad dega is Tarah aap dusron ki madad bhi ek khas tawazun se musalsal kar sakenge 

Har HAL main ye kaam karen 

Har shakhs kuchh Na kuchh de sakta hai agar aap paisa Nahin de sakte to aap dusron ko waqt ilm mashwara tawajjah ummid muskurahat Aur mohabbat de sakte hain ine chizon Ki har Kisi ko zarurat  Hai yeh chizen bila imtiyaz mazhab o rang wa nasl kisi ko bhi de sakte hain 

Jin logon ko Allah ne ilm aur fahem de Rakhi Hai un per zimmedari hai ki woh Apne ilm aur fahem main dusron ko bhi shamil Karen 

waqt aur daulat donon hi qabile qadar chizen Hain jis qadar bhi ho sake yeh dusron ko deni chahie 

agar aap Kisi ko Honar sikhaenge to aap us shakhs ko rozgar dene mein madadgar honge 

insani talluqat ek dusre ki zarurat hain aap talluqat se dusron ko fayda denge To yahi talluqat aapko bhi fayda pahunchenge 

jab aap tavajjah se Kisi Ki baat sunenge To aapki izzat o ehteram mein izaafa Hoga 

aap ka tajurba haqiqat main aapko bataega ki dusron ko madad dene mein aap kis qadar taqatvar ho jaenge zindagi Ke har Shoha mein tawazun paida Karen.

end


0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.