Ham dusron ko kya de sakte hain -5
Iski ki pichhli series mein shayad aapne padha hoga Ki ham dusron ko ummid bandhakar unki madad kar sakte hain aur haare huye logon aur mayusiyon main jakde huye logon ko zindagi Ki ek nai roshni dikha sakte hain
AB aage padhiye ke ham "waqt" Jo bahut hi qimti chiz hai usse bhi dusron ki madad kar sakte hain unke andar tabdiliyan laa sakte hain
waqt
waqt ek bahut hi qimti chiz hai agar ham apna waqt zaaye karenge to bharpur tariqe se apni Salahiyaton Ka izhaar Na Kar sakenge waqt Ke ziyaa (barbadi) se khandani masail pesh aaenge career khatre mein pad jaega aur rooh ki taqat bhi kam ho jayegi zindagi dar asal makhsoos waqt ka naam hai is waqt mein se ham dusron ko waqt dekar unki zindagi mein tabdeeli paida kar sakte hain jab aap Kisi ko apna waqt dete Hain To iska matlab yeh hai ki ham apni zindagi Ka kuchh hissa use dete Hain hatta ke dusron ki falaah wa behbood (kamyabi) ke liye waqt dena insan ke bure Amal ka kaffara ban jata hai aur insan sukoon mehsoos karta Hai Kisi ko waqt dena rooh ko ruhani taqat Deta Hai hamen chahie ki ham bhi Apne waqt Ka mufeed Aur behtarin istemal Karen aur apne waqt mein se kuchh waqt nikal kar dusron ko den subah Apne waqt Ke istemal ka time table banaen aur taye Karen ke kaun kaun sa kam karna hai aur har kam ko Kitna waqt dena hai yeh faisla bhi Karen ki farig (khali) waqt humne kiske sath share karna hai dar asal hamen zindagi aur maut Ke darmiyaan Jo waqt Mila Hai humne uska ek ek lamha istemal Karke apni aur dusron ki zindagi behtar banani hai azeem aur kamyab logon ki aadat hai ki woh ek hafte ke waqt Ka budget banate hain waqt Ke budget ke teen hisse hote Hain
1) woh waqt jis main rozi kamani hai
2) Woh waqt Jo Apne khandan ke sath guzarna hai
3) woh waqt Jo dusre ke sath guzarna Hai
is Tarah se taqseem se hamara waqt zaaye(barbad) Nahin Hoga behtar Tareeqe se rozi kama sakenge
Apne khandan ko Khush Rakh sakenge lehaza waqt ki ahmiyat ko tasleem karte hue apni pehli fursat mein ek hafte ka budget banaen Aur is per Amal Karen
Beharhaal doston ham apna qeemti aur mufeed waqt dusre ko de kar dusre ke kam aakar uski zindagi mein tabdiliyan la sakte hain aur is Tarah se ham apna qeemti waqt dekar dusre ki madad kar sakte hain
jari
Post a Comment