qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Jo log mayoos logon ko ummid ki roshni dekar mayoosi se nikalte Hain aise log bahut hi khush qismat hote hain

Ham dusron ko kya de sakte hain -4

 Ham dusron ko kya de sakte hain is series ki pichhli Kadi main aapne padha Hoga ke ham dusron ki rehnumai Karke unki madad kar sakte hain 

ab isi silsile ko aage badhate hue yani ham kya kar sakte hain logon ko dene ke liye taki ham unki madad kar saken unki help kar saken to is kadi mein "ummid" bhi ek madad Karne Ka zariya hai 

ummid

Jin logon ne gurbat yani gareebi dekhi Hai woh jante Hain Ke be kasi aur lachari kya hoti hai aise logon ko agar ummid ki Kiran dikha di jaaye to woh apne aap ko bahut ziyada behtar kar sakte hain aise log rooh Ki gehrai se apne andar tabdeeli mehsus Karte Hain jab ki ummid dilane wale Ke bhi bahut ziyada shukr guzar hote Hain 

Jo log mayoos logon ko ummid ki roshni dekar mayoosi se nikalte Hain aise log bahut hi khush qismat hote hain kyunki khud unki  rooh bhi Khushi se sar saar ho jaati Hai har shakhs ko apni zindagi mein ummid Ki zarurat hoti hai kyunki har shakhs Chahta Hai Ki koi Na koi shakhs To aisa ho Jo us per bharosa Kare aur har shakhs yeh bhi Chahta Hai Ki koi Na koi uska qaribi Dost ho Jo uska raazdar bhi ho 

Kisi ko ummid dila na uske liye bahut bada tohfa hai ummid ki roshni bahut taqatvar Hoti Hai maazi ko faramosh karne aur Kai duniyaen Talash karne mein madad gar Hoti Hain aise logon mein ummid dilane se tamam salahiyaten jaag uthti hain isliye dusron ko ummid dilana bhi ek bahut bada kam hai yeh ummid ki taqat pehle hamen apni zaat ko dena hogi is se khooni rishte  ziyada mazboot honge mustaqbil ziyada Roshan Hoga aur hamari salahiyaton mein izaafa ho jaega 

agar ham masaaib per dheyan dene ki bajae mawaqe moqa Ki Talash mein rahen to maazi ki talkhiyon ko bhool jaenge aur mustaqbil Ki jaanib Nai ummid aur toqat se badhenge 

jazba e hamdardi dusron Ki baat gaur se sunna yeh aise anaasir Hain Jin se UN logon ko ummid milti Hai Jo ummid se mayoos ho chuke hote Hain 

to doston Apne upar padha ke ham dusron ke liye kya kar sakte hain to dusron ke liye karne ka ek tariqa aur ek kisam yeh bhi hai ki Jo na ummidi Ka shikar ho chuke hain mayoos ho chuke hain unko umeed bandhai jaaye unko ummid dilai jaaye taki woh pur ummid ho jaen agar woh Kisi bhi wajah se apna hosla har baithe Hain Yani ummid kho chuke hain aur unhen koi rasta nazar Nahin aa raha hai To aise shakhs ke liye yahi hamari taraf se ek madad ho jayegi help ho jayegi ki ham unko bharosa dilaen ummid bandhaen taki woh hosla mand ho jaaye aur Pur ummid ho jayen  

jari

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.