qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

aaj Jo log sakht mehnat Karke Apne khandan ke halat ko teji se tabdeel kar rahe hain woh bhi leader Hain

Ham dusron ko kya de sakte hain -3

Assalamu alaikum is kadi ki pichhli kist main shayad aapne padha ho ke ham dusron ko kya de sakte hain ki series mein ilm ke bare mein padha hoga Ki ham dusron ko ilm dekar unki madad kar sakte hain unke kam aa sakte hain aur ab silsile ko aage badhate hue is Kari Mai Ke ham dusron ko kya de sakte hain to "rahnumai" bhi hai ki ham dusron ki rahnumai Karke bhi unki madad kar sakte hain aaiye tafseel se jante Hain ke ham dusron ki rahnumai kaise Kar sakte hain 

Rahnumai

ham dusre logon ki rahnumai Karke bhi unhen bahut kuchh de sakte hain aam log un leaderon ki izzat Karte Hain Jo azeem kamyabiyan hasil karte hain unki zaati zindagiyan bhi dusron ke liye ehteram Ka baais hoti hain 

Haqeeqi leadership mein haqiqi leader zaati taur per aur ijtimai taur bahut hi musbat tabdiliyan paida Karte Hain 

aaj Jo log sakht mehnat Karke Apne khandan ke halat ko teji se tabdeel kar rahe hain woh bhi leader Hain sabse pehle leader ko khud zimmedaariyon ko qabool karna hota hai apne aap ko tamam pehluon se kamyab insan banana hota hai iqdar ka pass karna hota hai aur zaati maqbooliyat Ki khwahish nahin karna hoti 

asal chiz kirdar hota hai jo mukhlis leadership se hi paida hota Hai har shakhs mein azeem banne ki Salahhiyat hoti hai agar har shakhs sirf 2 kam kar le to woh leader ban sakta hai 

1)Woh  zaruri hunar Sikh le jiski maujuda zamane mein zarurat hai 

2)Apne zehan per chhaye khauf ko dur kar le 

ziyadatar log aage badhne se khauf zida hote hain unhen khauf hota hai ke log un par tanqeed karenge ya unhen bewqoof khayal karenge yahi chiz aam logon ke liye leader banne mein rukawat banti hai lekin jab leaderon Ke chahne wale badi tadad mein unke sath hote Hain To woh Apne aap per bahut fakhr Karte Hain leaderon ke chahne wale jis qadar badhte jaate Hain unka khauf bhi kam se kam hota jata hai aur phir unhen iska sila bhi milta Hai 

ham main se har EK apni zaat Ka leader ban sakta hai uske liye Mehalle ki falahi commity mein shamil ho Sakte Hain taiyari ke liye kam kar sakte hain tehreek ke liye kaam Kar sakte hain is Tarah kam ke dauran hamen kuchh challengers Ka samna karna padega jis se hamari ikhlaqi kamzoriyan dur hongi ham Kisi bhi shobe mein kam Karen lekin Apne ikhlaq Aur kirdar ko hamesha behtarin rakhen Uske bahut hi musbat nataij paida honge aur hamare kirdar aur Ikhlaq se log zarur mutassir honge haqiqi leader khud Apne andar aur dusre logon ki zindagiyon mein Kai Tarah Ki musbat tabdiliyan paida kar sakte hain leader apni team mein apni baseerat se kamyabi takhleeq kar sakte hain ek kamzor leader logon ko sirf batata Hai ek achcha leader tashreeh karta hai aur ek behtarin leader Karke dikhata hai jab Ke azeem tareen leader dusron ko har lehaz se mutassir karta Hai baa asar leader kharab halat mein bhi Apne kirdar aur salahiyaton se  kamyabi hasil kar leta hai aise leaderon mein kuchh khubiyan aur salahiyaten hoti hain aur woh kya Hain janiye

1) leaders har Tarah ke halat mein masail Ka hal nikal lete hain woh masail Ki bajae unke HAL per nazar rakhte Hain 2) leader Aham tareen mamlat per gehri nazar rakhte hain na ke fori mamlat per woh dusron se bhi kehte Hain Ke aham tareen mamlat per nazar rakho 

3) leader jazbati Nahin hote balke mamlat ko tarjihi bunyadon par HAL karte hain 

4) leader Apne talluqat mazboot karne mein ziyada waqt sarf karte hain woh sacchai aur ehteram ko bahut ziyada ahmiyat dete Hain 

5) leaderon ki chhati hiss bahut ziyada kam karti hai isliye woh mohabbat Ke sath dusron ki khidmat karte hain 

6) leader dusron ko moqa dete Hain ke woh apni salahiyaton ko behtar se behtar kar saken

To behar HAL ham dusron ki acchi aur behtreen rehnumai Karke ham logon ka rehnuma ban Ke unhen acchi Tarah se  guide Karke logon ko har field mein kamyab kar sakte hain jari


0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.