Biz,zaat shifa dene wala Allah tala hi hai
Bimaron ko Biz,zaat yani apni zaati qudrat wa taqat se shifa ata farmana yeh Allah tala ke Siwa Kisi dusre ke ikhteyar mein Nahin Hai Jo yeh aqeedah rakhe ke Allah tala ke Siwa dusre bhi Biz,zaat shifa dete Hain To woh mushrik Hai kyunki Biz,zaat yani apni zaati qudrat wa ikhteyar se shifa ata farma dena yeh Allah tala hi ki khaas sifat Hai lihaza jo ghairullah ke liye yeh sifat sabit karega woh mushrik thehrega quraan kareem mein hazrat Ibrahim alaihissalam ka aqeeda naqal karte hue khudawand quddus ne farmaya ke "woh Allah jisne mujhe paida Kiya To woh mujhe raah dega aur woh jo mujhe khilata aur pilata hai aur jab main bimar ho jaaun to wohi Shifa deta hai aur woh mujhe wafat dega phir mujhe zinda karega" (para 19 Surah shura ayat 81)
Kya kuchh log aur dawaen bhi shifa deti hain
Biz,zaat yani apni zaati qudrat se marizon ko shifa dena yeh to Allah tala ki sifat e khassa Hai jismein koi uska sharik Nahin magar Allah tala Ki ata ki hui qudrat wa taseer aur uske izn o hukm se shifa dena to yeh aayat quraniya aur dawaon wagaira dusri cheezon ke liye bhi sabit hai chunanche quran Majid ki bahut si aayaton mein yeh aaya hai ki quran ki aayaten aur dawaen bhi shifa deti Hain
maslan irshad e khuda wandi hai "aye logon tumhare paas tumhare Rab ki taraf se nasihat aai aur dilon ki shifa aur hidayat aur rehmat imaan walon ke liye" (para 11 Surah yunus ayat 57)
dusri jagah irshad hota Hai "aur ham quran mein utarte Hain woh chiz Jo Iman walon ke liye shifa aur rehmat hai aur is se zalimo ko nuqsan hi badhta Hai"(para 15 Surah Bani Israel ayat 82)
tu abhi jo aayaton ka tarjuma pesh Kiya aur aapne padha To in donon aayaton mein saaf saaf yeh elaan e khudawandi hai ke quraan Majid ki aayaten momineen ko shifa deti hain aur zalimo yani kufr o shirk mein ade rehne walon ko bahut ziyada nuqsan pahunchati Hain
aur Quran majeed mein hai ke "shehad ki makkhi ke pet se ek peene ki chiz rang birangi nikalti Hai jismein logon ke liye shifa Hai beshak us mein khuda ki nishani Hai dhyan Karne walon ko" (para 14 Surah nehal aayat 69)
is aayat main nahayat waazeh bayan hai ki Shehad logon ko bimariyon se shifa deti Hai
khulasa e kalam yeh hai ke Allah tala to Biz,zaat shifa dene wala Hai magar Allah tala ke izn o hukm aur uski ataa se quran Majid ki aayaten aur dawaen aur Allah tala ke khas muqaddas bande yani malaika ambiya alaihimussalam wa awliya kiram wagairah bhi Shifa Dene Wale Hain
Maslan hazrat isa alaihissalam ki taqreer Quran majeed mein sitaron ki Tarah chamak rahi hai ki aapne apni qaum ke samne Ali ul elaan farmaya ke "aur main shifa deta hun madarzaad andhe aur safed daag walon ko aur mein murdon ko Allah ke hukm se zinda karta hun" (para 3 Surah Al Imran ayat 49)
hazrat isa alaihissalam ne "Allah ke hukm se" kehkar is masala ki wazahat farmadi ke Allah tala to apni zaat e qudrat aur apne zaati sifaat aur apne zaati ikhteyar se shifa deta hai aur murdon ko jilata hai aur mein Allah tala ki Di hui qudrat aur uske izn o hukm se shifa deta hun aur murdon ko zinda karta hun maloom hua ke Allah tala ke izn o hukm se khasane khuda bhi marizon ko shifa dete Hain
lihaza is mani ke aitbaar se agar hazraat ambiya alaihimussalam awliya kiram shohda e izaam ko aur dawaon ko shafi shifa dene wala keh Diya jaaye to is mein koi haraj Nahin Hai lihaza in khasane khuda ko agar is maani ke lihaaz se shafi shifa dene wala keh Diya jaaye aur un buzurgon ko bi iz nillah shafi mankar un hazraat se shifa talab ki jaaye To hargiz hargiz ismein koi shirk wa gunah ki baat Nahin Hai bal ke buzurgaan e deen Ka hamesha se ye Amal Raha hai ke woh Allah tala ke Nek bandon aur dawaon neez Quran majeed ki aayaton se shifa talab Karte rehte hain aur yahi ahle sunnat Wal jamaat ka aqeeda hai ke Biz,zaat shafi to faqat Allah tala ki zaat Hai magar uski Ata aur uske izn o hukm se dusre bhi shifa ata kar sakte hain balke aata Karte rehte hain !
Post a Comment