qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

ham Dil wa jaan se Kisi Ki madad karna chahte hain to sabse badi chiz Jo ham dusron ko de sakte hain woh ilm hai

 Ham dusron ko kya de sakte hain -2

Shayad aapne pichhli tehreer main isi topic per yeh padha hoga ki Kisi se muskurakar milna bhi madad kehlata hai 

pareshan hal hai aur us se milen to muskurate hue mile taki uska gam halka ho jaaye aur woh achcha mehsus karne lage To ham jo dusron ko Jo chiz de sakte hain woh muskurahat Hai aur dusri chiz Jo de sakte hain woh ilm hai

Ilm

har Kisi Ke pass koi Na koi kahani sunane ko hoti hai aisi kahaniyan dusron ki madad kar sakti hain jab ham Dil wa jaan se Kisi Ki madad karna chahte hain to sabse badi chiz Jo ham dusron ko de sakte hain woh ilm hai tajurbat per mabni aise ilm se dusron Ki Kai rukawaten dur ho sakti hain isliye jab bhi ham kisi ke sath ilm ke hawale se baat chit Karen guftagu karen to ismein sacchai Aur tajurbe Ka Hona zaruri hai is vajah se ham per dusre log ziyada bharosa karne lagenge ilm ki sacchai bahut taqatwar sacchai hai isliye yeh amli taur per bhi behtarin nataij deti Hai 

hamen Akhbar television radio aur dusre zarae se Kai Tarah Ki maloomat milti Hain lekin behtareen ilm sirf kitab se sikha ja sakta hai isliye ham dusron ko Tohfe main kitaben dekar unke ilm mein izaafa kar sakte hain kitab ka intekhab kafi mushkil kam hota Hai har aadmi Apne zauq ke mutabiq padhna chahta hai isliye jisko kitab di jaaye Uske zauq ko bhi malhooz rakha jaaye ke uska mizaj kya hai 

kitaben hamesha se muaashron ko badalti aai Hain jis qadar kitab muaashron ko badal sakti hai koi aur chiz Nahin badal sakti acchi si kitab Kisi ko Tohfe main dekar use kamyabi se ham kinar kar sakte hain iske alava C,D  maloomati kitabcha ya aham nikat ki nishan dahi Karke bhi dusron ki madad ki ja sakti Hai doston ko library ka member banne Ki Targeeb dena bhi dar haqeeqat uski madad karna hi Hai har shakhs ko chahie ke dusron ke sath ilmi guftgu Karke na sirf Apne Dil aur dimag ko Roshan Karen balke apni Zindagi Ke raste bhi khud talash Kare 

yad rakhen halat kaise bhi hon kitab zarur padhiye isliye ke kitabon se ideas milte Hain aqal wa feham aur idrak mein izaafa hota Hai kitaben ilm deti Hain iqdar Sikhati hain aur shakhsiyat ko aham banati hain taleem ka asal maqsad zindagi ke maqasid ko samajhne mein madad Deta Hai 

talim lecture sunna ya college mein jana hi Nahin Hai balki talim har roz ke tajurbat aur mushahidat ke  nichod ka naam hai talim degree or diploma hasil karne ke bad bhi jari rehti hai kuchh log to Sari zindagi talim hasil Karte rehte Hain is Tarah Woh apni ilmi asbi Nizam ko mazeed mazbut Karte rehte hain is se aqal mazeed pukhta Hoti Hai is tezi se tabdeel Hoti duniya mein musalsal Apne fun aur hunar ko mazeed behtar karna padta hai kamyabiyan usi waqt hasil hongi jab apni salahiyaton ko musalsal behtar Karte jaenge 

rasmi talim hasil karne ke alawa har kisi ko aisi talim bhi hasil Karni chahie jis se kirdar ki tameer ho wasi ul qalbi tahammul mizaji aur dusron Ki izzat karna bhi hamen taleem hi sikhati hai 

iqra ke lafz se shuru hone Wali pehli vahi bhi ilm hi ki ahmiyat ko vazah karti hai Rabbi zidni ilma ke alfaaz bhi ilm ki afadiyat ki taraf sarihan ishara hai 

aur iske alawa huzoor sallallahu alaihi wasallam ka farman hai ke "Maa Ki God se lekar lehad tak ilm hasil karo" hamari tavajjah is jaanib mabzool karta hai ke baqa ka raaz bhi ilm mein hi muzmir hai Kisi ko musbat Aur ilm dena Kisi ko zindagi ke haqiqi mano se roshnas  karna hai 

Jin logon ko Allah tala ne talim aur ilm diya hai un par ye zimmedari hai ki woh Apni talim aur ilm dusron tak bhi pahunchayen khuda ki taraf se jo tohfe hamen ata kiye gaye hain agar ham unka Sahi istemal Na karenge to iska matlab hai ki ham in tohfon ko zaaye kar denge agar ham apni talim Aur ilm ko dusron ke liye istemal karenge to us se unki zindagiyon mein behtari paida hogi aur khud hamare ilm mein bhi izaafa Hoga 

Tib sehat technology ke maidan mein auron Ki din Raat Ki mehnat aur talim se Puri duniya Ke insan mustafeez ho rahe hain is Tarah hamen bhi apna ilm aur talim aane wali naslon tak muntaqil karke apna farz pura karna chahie danishwar tabqe per bhi yeh farz aaid hota Hai keh woh aqal ke azeem tohfa ko dusre logon mein baten aqalek chiz ka naam Nahin Hai balki yeh ilm tajurbe Aur sakhawat Ke majmua ka naam hai kuchh logon ka kehana hai ki aqal aur taqat ham mani Hai jab ham apni aqal istemal karte hain to uska matlab hai ham dusron ki madad kar rahe hain kuchh log mahdud talim rakhte hain lekin aqal wa fehem main Kai taleem yafta logon se aage hote hain kyunki aise log zindagi ke bahut se pehluon ke bare mein acchi Tarah jante Hain

To dosto ham Jo dusron ko kuchh de sakte hain to woh ilm bhi Hai ke ilm ke zariye ham dusron ki madad kar sakte hain ! jari

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.