Balon mein khizab lagana ya rangna kaisa hai
"Sawal" Az rooe shariyat balon aur darhi mein rang lagana kahan tak durust hai
"Jawab" is masale ki sharai haisiyat jan ne ke liye yeh ahaadees mubaraka padhen
1) hazrat Abu huraira radiAllahu anhu bayan karte hain ke Nabi Kareem sallallahu alaihi wasllam ne farmaya "yahood o nasara apne balon ko Nahin rang te so tum unki mukhalifat karo" (Sahi bukhari jild 2 Safa 875 sunan Abu dawood jild 222)
2) hazrat Abu huraira Radi Allahu anhu bayan Karte Hain ke rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya "safed balon ko motagayyar karo aur yahood ki Mushabihat Na Karo" (jam e tirmizi Safa 266)
3) hazrat Abu huraira Radi Allahu anhu kehte Hain ke rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya "Jin chizon se balon Ka rang tabdeel Kiya jata Hai un mein sabse acchi chiz menhdi aur kutm hai" (jam e tirmizi Safa 266)
4) hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu anhu se riwayat hai ki "Nabi Kareem sallallahu alaihi wasllam bagair balon ke chamde ke Joote Mubarak(nalain shareef) pehente the aur apni darhi ko surkh aur zard rang se rang te the" (sunan Abu dawood jild 2 Safa 222)
5) rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya "safed balon ko Na ukhado jis shaks Ke bal bhi safed honge woh qayamat ke din uske liye noor ban jaenge" (sunan Abu dawood jild 2 Safa 224)
6) hazrat Abdullah bin abbas radiAllahu anhu se riwayat hai ke rasool Allah sallallahu alaihi wasllam ne farmaya "aakhir zamane mein ek qaum kabutar ke poton Ki Tarah se siyaah rang Ke sath Apne balon ko rangegi woh maidan e hashr mein jannat Ki khushbu Nahin payegi" (sunan Abu dawood jild 2 Safa 222)
7) Nabi Akram sallallahu alaihi wasllam ne farmaya "aakhir zamane mein ek qaum hogi Jo Apne balon ko Siyaah rang Ke sath range gi Allah tala unki taraf nazre rehmat Nahin farmaega (majma uz zawaid jild 5 Safa 161)
huzoor sallallahu alaihi wasallam ki darhi Mubarak mein aap sallallahu alaihi wasallam ke Visal Mubarak tak ziyada se ziyada 20 bal safed the baaz riwayat mein hai ki Surkh aur zard rang se range hue the aur baaz mein hai ke safed the in riwayat mein tatbeeq Ki Surat yeh hai ke jis sahabi ne jis haal mein mushahida Kiya use byan kar diya "safedi asal halat Hai" Aur surkh ya zard rang wasf zaaid hai aur usool yeh hai ki jis riwayat mein wasf zaaid ho woh qabil e tarjeeh hoti Hai baaz sahaba wa Tabaeen se siyaah rang ke istemal ki riwayaat bhi sabit Hain in tamam ahadees wa aasar Ki roshni mein khulasa kalam hasb e zail hai
imam Shafai ke nazdeek safed balon ko rang Na mushtaq Hai (yani Surkh zard unabi wagaira) aur Siyaah Khizab makrooh tehreemi hai imam Malik ke nazdeek balon ko rangna mustahab aur siyaah rang khilaf e aula Hai imam Ahmad ke nazdeek safed balon ko rangna mustahab hai aur siyaah rang makrooh hai baaz ke nazdeek bila karahat jaaiz hai ( yahan ye baat zehen main rakhen) baaz sahaba wa Tabaeen se Jo Siyaah rang sabit Hai woh halat e Jung per mehmool hai aur us daur mein jihad taqriban tasalsul ke sath jari Raha
Siyaah Khizab ke bare mein chunke ahaadees mubaraka mein waeed aayi hai isliye makrooh hai aur isse ijtinab karna chahie
In tamam baton se ye sabit ho Gaya ke Kala Khizab lagana jaaiz Nahin Hai Albatta safed balon main Surkh ya zard rang laga sakte hain !
Post a Comment