qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Allah tala Apne fazl o karam se har dua mangne Wale Ki dua ko qubool farmaata hai lihaz kasrat se dua mango

 

Khuda ke Siwa Kisi se dua na mangi jaaye

dua ke bare mein huzoor Akram sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke "dua ibadat hi hai" aur ek hadees Sharif mein yeh irshad farmaya ke "dua ibadat ka mugz Hai" (mishkat jild 1 Safa 194) 

jab in donon hadeeson se yeh maloom ho Gaya ke dua bhi ibadat hi hai aur Allah tala ke Siwa Kisi Ki bhi ibadat Jaais Nahin to sabit ho Gaya ki Allah tala ke Siwa Kisi se dua Nahin mangni  chahie 

chunanche khuda wand alam jalla jala lahoo Ka Quran mein yeh farman hai ki "Allah se dua mango Uske mukhlis bande hokar" (para 8 Surah Al araf ayat 29) 

Aur Allah ka farman hai "aur agar Allah tujhe koi taklif pahunchaye to uska koi talne wala Nahin Uske Siwa aur agar Tera bhala chahe to Uske fazl ka radd karne wala koi Nahin use pahunchata hai apne bandon mein jise chahe aur wahi bakhshne wala meherban Hai" (Para 11 Surah yunus ayat 107)

khulasa kalam yeh hai ki jis Tarah Allah tala ke Siwa dusre Ki ibadat Nahin isi Tarah khuda ke Siwa dusre se dua mangni bhi jaaiz Nahin Hai

Allah tala be qararon Ki dua qabool karta hai

Quran Majid mein hai "main dua qabool karta hun pukarne Wale Ki jab mujhe pukare" (para 2 Surah Al Baqra aayat 186) 

is aayat se maloom hua ki Allah tala Apne fazl o karam se har dua mangne Wale Ki dua ko qubool farmaata hai lekin la Charo aur be qararon ki duaon ko khususiyat ke sath qabool farmata Hai 

uska irshad Hai Ki "kaun Hai Jo lachar ko sunta Hai jab use pukare aur dur kar deta hai burai ko aur tumhen zameen ka waris karta hai kya Allah ke sath aur koi aur khuda hai bahut hi kam tum log dhyan karte ho"(para 20 Surah Namal ayat 62) 

isliye har lachari aur beqarari ke waqton mein khas kar Aajiz wa laa chaar bandon ko chahie ke bahut ziyada Allah tala se duaaen mangte rahen ki us waqt Ki dua khas taur per maqbool hone Ki ummid Hai jaisa ke us Rab Karim ne quran Majid mein khud hi irshad farmaya Hai lihaza musalman hargiz hargiz  dua mangne se gafil na rahen kyunki dua musalman ke liye behtarin dhal bhi hai aur aala treen talwar bhi yahi wajah hai ki rasool e Akram sallallahu alaihi wasallam jangon aur dusri musibaton ke waqton ba kasrat duaaen manga karte the .

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.