Har nafa wa nuqsan Allah tala hi ke ikhteyar mein hai
yeh bhi islami aqeedah hai ki har nafa aur nuqsan pahunchana yeh zaati aur haqiqi taur per Allah tala hi ke ikhteyar mein hai bagair uske izn aur hukm ke koi Kisi ko zarra barabar nafa ya nuqsan nahin pahuncha Sakta
bazahir dekhne mein log ek dusre ko Nafa ya nuqsan pahunchaya karte hain ya baaz chizen nafa ya nuqsan pahunchaya Karti Hain to is qism Ka nafa ya nuqsan pahuncha na yeh sab Allah tala ki Di hui qudrat wa taseer aur uske izn o hukm se hua karta hai lekin haqiqi aur zaati taur per nafa ya nuqsan pahunchana yeh Allah tala ki sifat e khassa hai jo usi ke qabza wa ikhteyar mein hai Allah tala ke Siwa dusra koi is Tarah ke nafa wa nuqsan pahunchane Ka ikhteyar Nahin Rakhta
Quran Majid mein Allah tala ka irshad hai ke "tarjuma"(aye paigambar aap farma dijiye ke main apni Jaan ke nafa wa nuqsan ka khud mukhtar Nahin magar Jo Allah chahe para 9 Surah Al araf ayat 188)
aur dusri jagah irshad farmata hai
(aur agar Allah tujhe koi taklif pahunchae to uska koi talne wala Nahin Uske siwa aur agar Tera bhala chahe to Uske fazl ko rokne wala koi Nahin use pahunchata hai apne bandon mein jise chahe aur wohi bakhshne wala meherban hai Para 11 Surah yunus ayat 107)
Nafa Aur Nuqsan
Al hasil jahan jahan Quran o hadees mein yeh Aaya hai ki har nafa wa nuqsan Allah tala hi ke ikhteyar mein Hain is se Murad yahi hai ki zaati taur per dar haqiqat har nafa wa nuqsan ka Malik e haqiqi Allah tala hi hai aur jahan jahan Quran o hadees main yeh Aaya hai ke khuda ke gair dusron ne nafa wa nuqsan pahunchaya to is se yahi Murad hota hai ki Allah tala ki ataa aur uske izn o hukm se dusron ne Nafa ya nuqsan pahunchaya Jo yeh keh ke Allah tala ki Tarah koi dusra bhi haqiqi taur per nafa wa nuqsan ka Malik hai woh bila shubah yaqinan mushrik hai aur jo yah kahe ke Allah tala ke Siwa dusra koi bhi kisi Tarah ka nafa wa nuqsan Nahin pahuncha sakta woh bhi aala darje ka gumrah wa bad aqeedah hai kyunki quran ki bahut si aayaton se sabit hai ki Allah ke siwa dusre logon se bhi Nafa wa nuqsan pahunch sakta hai aur log ek dusre ko nafa wa nuqsan pahunchate rehte hain maslan Quran majeed mein hai ke (tumhare baap aur bete tumhen kuchh maloom Nahin ke unmen se kaun tumko nafa pahunchane mein ziyada qareeb hai para 4 Surah nisa ayat 11)
Dusri aayat mein hai ki
(Aur hamne loha utara usmein sakht aanch aur logon ke fayde Hain para 27 Surah Al hadid ayat 25)
pehli aayat mein baap beton ko nafa pahunchane wala Kaha Gaya aur dusri aayat mein lohe ko faayda dene wala Kaha Gaya isi Tarah ek aayat mein farmaya Gaya ke (na Katib zarar pahunche na gawah para 3 Surah Al Baqra aayat 382) is aayat mein Katib aur gawah ko zaar yani ke nuqsan pahunchane wala farmaya Gaya.
haqeeqi nafa v nuqsan ka malik Allah
hasil kalam yeh hai ke quran Kareem ki sab aayaton per nazar dalne se yahi natija nikalta hai ki haqiqi taur per nafa wa nuqsan pahunchane wala to sirf Allah tala hi hai lekin Allah tala ki ataa ki hui qudrat aur uske izn o hukm se khuda ke Siwa dusre bhi nafa wa nuqsan pahuncha sakte hain lihaza is dusre mani ke aitbaar se agar koi yeh aqeedah rakhe ke mehboobane bargahe ilahi yani ambiya wa saohda wa awliya Allah ki Di hui qudrat wa taqat aur Allah ke izn o hukm se logon ko nafa wa nuqsan pahunchate Hain to hargiz hargiz is main Na koi shirk hai Na koi gunah balke yeh aqeedah bilkul quran ke mutabiq hai han Albatta woh log sarasar gumrahi per Hain Jo yeh kehte Hain ki ambiya alaihissalam aur shuhda ekram awliya e izaam bilkul majbur Mehez aur intehai be bas Hain ke Kisi ko Kisi qism ka koi nafa wa nuqsan Nahin pahuncha sakte halanke an maqbul bandon ko khuda ki ata aur uske izn o hukm se bahut se ikhteyarat hasil hain lihaza khoob acchi Tarah zehen Nashin Kar lijiye ke haqiqi taur par to har nafa wa nuqsan ka Malik sirf Allah tala hi hai lekin Allah tala ki Di hui taqat wa qudrat aur uske hukm se khuda ke Siwa dusre log bhi nafa wa nuqsan pahuncha sakte hain chunanche yahi ahle sunnat wa jamaat ka aqeedah hai ki ambiya alaihimussalam aur khasane khuda logon ko nafa wa nuqsan pahunchate rehte hain yeh woh haqiqat hai ki duniya mein koi iska inkar nahin kar sakta Allah tala har EK ko samajhne aur haq ko Jan ne aur haq ko Man ne ki taufeeq ata farmaye ameen
Post a Comment