qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Dudh ek khushgawar peene ki chiz hai aur sehat ke liye best tonic bhi

 Dudh ek khushgawar peene ki chiz hai

Allah tala ne apni qudrat aur hikmet ki nishaniyon ko bayan farmate hue Quran majeed mein dudh ka tazkira in lafzon mein bayan farmaya ke  

(tarjuma) aur beshak chaupayon mein tumhare liye ibrat hai ham tumhen pilate Hain us chiz mein se jo unke pet mein hai gobar aur khoon ke bich mein se khalis dudh Jo peene walon ke halaq se baa aasani utar jata hai (Para 14 Surah nehel ayat 66)

 Khulasae kalam yeh hai ke dudh ek Khush gawar peene ki chiz Allah tala ne apne bandon ko ata farmai lihaza dudh ko dawa aur giza ke taur per Pina Jaiz hai doctoron aur Hakimon ka azmooda tajurba hai ke dudh nahayat hi sehat bakhsh giza aur bahut si bimariyon ki nahayat hi mufeed dawa hai aur Quran Majid ke isharat bhi isi haqiqat ki taraf hidayat aur rehnumai kar rahe hain aur hadeeson mein sarahatan huzoor Akram sallallahu alaihi wasllam ne dudh ki madah farmai hai 

Hikmat bhari baten

Ek padri ne ek alam sahab se kuchh sawal kiye aur Kaha agar aapne iska jawab de Diya aur main mutmaeen ho Gaya to musalman ho jaunga 

padri ka pahla sawal 

tooba jannat ka darakht hai uski Shakhen tamam jannat ke makanon mein pahunchengi ye kyon kar mumkin hai 

Aalim sahab Ka jawab

Suraj ek jagah qaaim hai uski Shuaaen aur uski roshani har jagah pahunch jaati hai yahi haal tooba ka Hoga 

padri ka dusra sawal 

jannati har nemat khae piyega aur usko peshab pakhana ki hajat Nahin hogi Aalim sahab Ka jawab 

baccha Man ke pet mein rehta hai use giza milti hai magar use pakhana ki hajat Nahin Hoti 

padri ka teesra sawal 

Mamba 1 aur usse 4 qism ki mukhtalif nehren nikli dudh shehad sharab Pani yeh  kyon kar mumkin hai 

Aalim sahab Ka jawab 

Kan Ka Pani kadwa aankh Ka Pani aansu pheeke  naak Ka Pani badboodar aur munh Ka Pani meetha halanke charon ka mamba dimag hai 

Yeh aalimana aur shafi jawabat sunkar woh paadri musalman ho Gaya 

(manama chashme bedar February 2011 Safar 91)

0

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.